Sensitive Skin ke Liye Khas Homemade Face Scrub

Sensitive skin ke liye aap ghar par hi face scrub tayar kar sakte hai. Chahe vah Akhrot, santre ke chilke ho ya phir kele ke chilke ka hi scrub kyu na ho, yeh chehre ko andar se damka dega. Market ke face scrub kharidne se accha hai ki aap khud ghar par hi yeh face scrub tayar kar le.

In gharelu scrub ko lagane se aapke chehre ko koi nuksaan nahi jhelna padega. Chehre ko scrub karna bahut Jaruri hai kyuki isse chehre par jami hui dead cells saaf ho jati hai, jisse chehra aur bhi jyada chamakdar ban jata hai. Aaiye jante hai Sensitive Skin ke liye Homemade Face Scrub kese banaya jata hai.

Homemade Face Scrub se Nikariye Apni Sensitive Skin

1) Akhrot Scrub

Ek spoon Shahad, ek spoon barik pisa hua akhrot, 1 spoon piya badam aur half spoon nimbu ka ras milaiye. Ise chehre par lagaiye aur 10 minutes ke bad ise halke haatho se ragad kar pani se dho lijiye. Yeh Sensitive Skin ko andar se saaf karta hai.

You may also like: Curd Face Pack se Chehra Banae Chamakdar aur Swastha

2) Orange Scrub

Santre ke chilke ko puri tarah sukha kar pahin ka powder bana le. Phir 2 spoon santre ke chilke ka powder le kar usme 2 spoon oatmeal powder, 1 spoon Shahad aur 1 spoon pani milaye aur phir ise apne chehre par lagaye. Isse aapki sensitive skin me glow aaega.

Homemade Face Scrub

3) Banana Scrub

Ek katore me kela masal le. Phir usme 1 spoon oatmeal aur 1 spoon Shahad daal kar mix kare. Isse chehre par lagaye aur halke haato se golai me ragad kar thande pani se dho le. Isse chehre ki dead skin saaf hogi aur chehre par glow aayega.

4) Tamatar Scrub

Ek piece tamatar ka le aur use chini me duboye fir pure chehre aur garden par ragde. 5 minute tak aisa kare. Ab kate hue tamatar ka usra piece le kar usse pure chehre par lagaye. Isse chehre par nami aayegi. Kuch minutes ke baad jab chehra suckh jaye tab ise halke garam pani se dho le.

5) Oatmeal Scrub

Is face scrub ko banane ke liye ek spoon oatmeal le kar use pis le. ¼ spoon namak aur olive oil mix kare. Ise tayar karne ke baad chehre aur garden par lagaye. Kuch minute chodne ke baad ise saaf pani se dho le. Oatmeal scrub aapke chehre par pade acne ke daag ko mitaega aur rookhi twacha ko saaf karega.

Apnaiye kuch homemade face scrub jo degi aapki sensitive skin me jaan. Aaj se hi inn scrub ko tayar kar apne chehre par lagana shuru kar dijiye. Ye aapki skin ke liye bahut accha rahega aur aapka chehra bhi is se adhik nikhrega.

Get more details about face scrub from Beauty.

Loading...

You may also like...