Importance of Sex Education in Hindi: Aaj hum baat karenge yaun siksha ke vishay me. Aaj bhi humare desh mai sex jaise topic par baat karna bahut badi baat hai, kyoki humare yaha ise thik nahi mana jata hai. Lekin log iss baat ko nahi samjhte ki sex education kitni jaruri hai.
Agar anya desho ki baat ki jaye to waha sex ya relation par baat karna bahut common hai. Yaha tak ki waha ki sarkar bhi iss vishay par school aur college mai educations provide karwati hai.
Lekin humare yaha agar iss bare mai sarkar sochna bhi chahe to aam janta iss par unhe suppot nahi karti hai. Aaj hum aapko batayenge ki aakhir yaun siksha avashyak kyo hai aur iske bare baccho ko bhi jankari kyo hona chahiye. Aise kya karan hai jo har desh iss vishay par khulkar baat karne ko tyyar hai.
Jis tarah dusre vishayo ke bare jankari hona avashyak hai usi prakar sex shiksha bhi aaj ke yug mai har varg ke liye bahut jaruri hai, phir vo chahe bacche ho ya yuva. Humare desh mai medical college tak mai iski sikhsha nahi di jati hai. Jiske parinaam swaroop aaj sex sambandhit bhrantia aur andhvishvas utpannhoti ja rahi hai.
Iske vishay mai hume jankari na hone ka abhav kai tarah se humare liye durbhagyapurn bhi sabit ho raha hai. Isliye aaj hum aapko iss Vishay vo sampurn jankari dene ja rahe hai. Jinse aap ab tak anbhigya the. To aaiye han hai Sex Education in Hindi.
Sex Education in Hindi: Jane Iska Mahatv aur Fayde
Sex Education in Hindi ka mahatv isliye hai kyoki iske jariye manav yaun sharir vigyan, yaun gatividhi, lengik prajnan, yaun sambandh, prajanan swasthya, garbh nirodhak aur kamukta jaise vishayo ko paribhashit kiya jata hai.
Yaun sikhsha ya sex education ko baccho aur yuvao tak pahunchane ka sabse accha madhyam hai mata–pita, lekin sankochvash vo apne baccho se iss Vishay par baat nahi kar pate hai. Isliye 19vi shatabdi mai Uttar America mai yaun shiksha ko vidhalayo mai padhana shuru kiya.
Dhire-dhire anya desho nai bhi iska samarthan kiya au rise apnaya, kyoki yah baat vo bhi samjh gaye ki school aur college mai iss Vishay par baat hogi to dhire-dhire iska prabhav pure desh ke logo par padega aur vah bhi iska samarthan karne lagenge.
Iske baad 2005 mai bharat sarkar ne bhi ‘Adolescent Education Program’ shuru kiya tha, lekin teachers, parents aur any rajnetik dalo ne iska virodh kiya. Jiske baad 2007 mai iss par pratibandh laga diya gaya, lekin baad Kerala, Gujrat aur Rajasthan sarkar ne yaun siksha ke alag sanskaran ki sthapna ki, jo aaj bhi waha chal rhi hai.
Benefits of Sex Education in Hindi: Jane Iske kya hai Fayde
Ab hum aapko sex siksha se hone wale fayde batane wale hai. Jinhe jankar aap bhi hairan ho jayenge aur yah fayde hum nahi balki desh mai baithe bade-bade visheshagyo dwara bataye gaye hai. Aaiye jante hai Sex Education Benefits.
Education of Sexuality Educators Counselors and Therapist ke adhyaksh Mr. Mahesh Nawal ke anusar agar sahi samay aur age mai yaun siksha jaise vishay par har nagrik ko educate kiya jaye to yaun apradh, anchahe garbh, gupt rog aur Aids jaise ghatak rogo se bachav sambhav hai.
Sath hi sex sambandhi any samasyayo jaise hastmaithun, swapndosh, napunsakta, dhatu rog tatha anya yaun sambandhit rogo se judi bhrantiyo aur andhvishvaso se bhi hume mukti mil sakti hai.
Jab unse pucha gaya ki yaun siksha ko kis age group se shuru kiya jana chahiye, to unka javab tha ki badalte parivesh aur yuvao mai utpanna jigyasao ko dekhte huye 9th ya 10th class se iss vishay par jankari dena sahi hoga, kyoki iss samay ladke aur ladkiyo mai kai sharirik parivartan hote hai aur agar sahi samay par sahi shiksha mil jaye to vo apne andar ho rahe sharirik parivartan se ghabrayenge nahi aur na hi ise nakaratmak taur par lenge.
Aage batate huye unhone kaha ki, yah bahut durbhagya ki baat hai itne sensitive topic par baat karna humare desh mai varjit hai, jabki yah bhi humare sharir ke anya ango ki tarah hi hai.
Ek sawal mai unse pucha gaya ki “kya sex jaise Vishay par khulkar baat karne se ladke-ladkiyo mai ise prayog mai lane ki jigyasa nahi badegi.”
Iss sawal ka javab sun aap bhi hairan ho jayenge, unhone iska javab dete huye kaha, jin desho mai sex education aaj chal rahi hai, vaha dekha gaya ki iss shiksha ke baad logo mai sex sambandhit prayog ki ruchi kam huyi hai aur sahi jankari milne se unke andar ki galat dharnaye tatha jigyasaye bhi shant huyi hai. Iske alawa un desho mai yaun apradho mai bhi bahut kami aayi hai.
Sex Education Dene ke Anya Labh:
- Sex shiksha milne se yuva varg ko yaun tatha prajanan sambandi sahi jankari to milegi hi sath-hi-sath ashlil websites, patrikao aur apne mitro se milne wali galat jankariyo se hone wale dush-prabhav rokne mai bhi sahayata milegi.
- Iski sahi jankari na hone se yuva yaun rogo ko samjh nahi pate hai aur ladkiya masik dharma ke uchit prabandhan ko samjh nahi pati hai. Jo unke liye ghatak sabit ho sakta hai.
- Yaun shiksha ke abhav ke karan kam aayu mai ladke aur ladkiya galat sangat mai padh jate hai, jiska khamiyaja unhe bhavishya mai bhugtna padta hai.
- Sex shiksha ki kami se yaun samasya sharirik aur mansik taur par insan ko kamjor bana deti hai, isliye iska gyaan hona avashyak hai.
Aaj aapne jana Sex Education in Hindi. Inn sabhi sawalo aur javabo se yah baat to aap bhi samjh gaye honge ki yaun shiksha kyo jaruri hai aur sahi samay par iska sahi gyaan hona kitna avashyak hai.
Tho aap bhi iss vishay par apne ghar-pariwar mai charcha jarur kare. Apne baccho ko iski sahi jankari de, taki vo ek ujjwal bhavishya ki aur agrasar ho sake tatha kisi bhi tarah ki visangati se bach sake.