Smokey Eye Makeup Tips in Hindi: Aankho Ko De Naya Andaj

Aaj har ladki apni sundarta aur khoobsurati badhane ke liye har sambhav tareeka apnati hai. Iske liye agar makeup ka istemal kiya jaye to khoobsurati doguni ho jati hai. Chehre ke har bhag ke liye alag alag tarah ke products hote hai aur unhe lagane ke liye alag alag tareeke ka makeup ka istemal kiya jata hai.

Udaharan ke liye, chehre par foundation lagaya jata hai, hontho par lipstick lagayi jati hai aur isi tarah aankho ko khoobsurat banane ke liye eye-makeup kiya jata hai.

Aamtour par ladkiya aankho ko sundar banane ke liye rozana kajal lagati hai, aur kuch ladkiya eyeliner ka bhi rojana istemal karti hai. Agar eye makeup ki baat ki jaaye, to aajkal smokey eye makeup bahut hi prachalan mai hai.

Bahut bar aapne smokey eye-makeup kiye hui celebrities ko TV par ya magzine mai dekha hoga, jise dekhkar aapka man huwa hoga ki kash hum bhi aesa makeup kar pati. Yeh sach hai ki smokey eye-makeup karne ke bad aankhe glamorous aur classy lagti hain. Parantu, kuch ladkiyan ise bahut hi time consuming aur mehnat ka kam samajhti hai. Isliye aaj hum aapko Aasan Smokey Eye Makeup Tips in Hindi bata rahe hai, jisse aapka sundar aankho ka sapna sakar ho jayega.
 

Smokey Eye Makeup Tips in Hindi: Aakarshak Aankho Ke Liye

 

 

Aankho Ke Aaspas Concealer Lagaye

Sabse pehle aankho ke aaspas ke area mai concealer ka light shade lagaye. Iske liye mineral makeup foundation ek behtar concealer hai, jo ki aapki aankho ko Eyeshadow lagane ke liye prepare karta hai.
 

You may also like:- How to Apply Eyeliner in Hindi: Jane ise lagane ke Stylish Tarike

 

Aankho Ke Anusar Shadow Ka Chayan

  1. Scotch-Tape (Transparent Tape) ka ek tukada le aankho ke lash line ke niche aur aankh ke kone tak laga de. Ab yahi prakriya dusri aankh ke liye bhi doharaye.
  2. Aankho ke colour ke anusar Matte Shadow lagaye aur puri aankh ko cover karne ke liye ek bade brush ka istemal kare aur ise blend kar le.
  3. Ek Dark Grey Eyeshadow ko palak ke upar brush ki madad se lagaye. Aap ise thoda dark kar sakte hai, lekin bahut jyada dark na kare, kyonki abhi aur bhi shadow lagana baki hai. Isliye shadow ko dhyan se lagaye.
  4. Ab dark gray eye shadow ko blend karke twacha ke rang se bhi jyada light shade kar de. Yeh aapki aankh ko bright kar dega aur dark rang ise adhik natural kar dega.

 

Agar Ho Sham Ka Wakt

Agar aap evening party ke liye aur jyada smokey eye chahte hai, to aap aankho mai gray shadow ke upar ek black eyeshadow laga sakte hain. Chunki, gray shadow apne pelhe se hi laga rakha hai, to aapki aankhe ka look gradual dikhega. Cat-Eye ke look ke liye aap black shadow ka istemal kar sakti hai.
 
 

Liner Ka Upyog Karna Na Bhule

Ab Eye Liner ka upyog kare. Pahle eye-pencil se aankh ke kone ko line kare, lash line mai lagate samay khas dhyan rakhe. Agar aapki aankhe chhoti hai to liner ko aankho ke madhya se lagana shuru kare or fir eye ke bahari taraf le jaye. Aur yadi aapki aankhe badi hai, to aaram se aankh ke ek kone se dusre kone tak liner lagaye. Agar aap liquid-liner ka istemal kar rahi hai, to aankho ki lash line mai dots banakar un dots ko milaate hue straight line bana sakte hai.

Final touch ke liye, aap scotch-tape ko nikal sakte hain. Ab ek bade eye shadow brush ki madad se neutral-tone mai ek light shadow lagaye. Pure aankh ke area ko acchi tarah se janch le aur dhyan rakhe ki aankho ka soft aur perfect blended look dikhe.
 
Smokey eye makeup karne ka matlab keval eye shadow lagana nahi hota, balki yeh aankho ke overall look par nirbhar karta hai. Jaise aap sahi eye-shadows ko sahi jagah par lagane ka kam bakhoobi ke sath karti hain, usi tarah aapko palako par bhi utna hi dhyan dena jaruri hai. Palko ko curl karke aap ki aankhe aur bhi khoobsurat dikhengi aur bheed mai aapko ek alag hi pehchan dengi.
 

You may also like:- Day Makeup Tips in Hindi: Aakarshak aur Khubsurat Dikhe

 

  1. Palako ko curl karne ke bad, aap mascara laga sakte hain. Kuch log ko esa lagta hai ki waterproof mascara lagane se palak jyada samay tak curl rehti hai. Parantu, kuch waterproof mascara palako ko thoda dry kar dete hai, isliye waterproof mascara ko har bar lagana ek achha vikalp nahi hai.
  2. Jis tarah evening-parties ya night out ke liye black shadow lagana optional hota hai, usi tarah agar aap chahe to False-Eyelashes ko bhi pehan sakti hai, jo ki smokey-eye ko ek cat-eye look ke liye accha option hai. Lekin yadi aap noon-parties ya din ki parties mai ja rahi hain to false-eyelashes achha vikalp nahi hai.
  3. Ab Aakhir mai fluffy-brush ki madad se aankho ke niche yadi koi galti se shadow aajaye to use dur kare aur achhi tarah se aaspas ke area ko saaf kare.
  4. Agar aap adhik dramatic look chahti hai to shadow aur mascara aur jyada lagaye. Palako ko curl karne ke bad black-mascara ke 2-3 coats lagaye. Agar aap apni aankho ko bada dikhana chahti hai, to niche wali lashes ko lining karte samay liner ko upar se niche lagane ke bajaye niche se upar le jate hue lagaye. Isse aapki aankhe badhi aur akarshak dikhengi.
  5. Agar aap apni aakho ko puri tarah se achha look dena chahti hai, to aapko eyebrows par bhi dhyan dena chahiye. Smokey Eye ke sath bold-eyebrows achhi lagti hain, jisse aap aankhe aur bhi gorgeous lagegi.
  6. Yadi aap classy Smokey Eye look chahte hain, to ek natural color se apne hoonth ko line kare aur kuch dusre color jaise ki peach, caramel aadi. Aap Smokey-Eyes ke sath mude lip look bhi rakh sakte hai. Iske alawa, adhik dramatic-look ke liye lips mai deep color ke sath darker-lip liner ka istemal kare. Aaj ke dino mai Smokey-eye ke sath nude-lip aur deep dark lip dono hi prachalan mai hai.

 
Upar aapne jana Smokey Eye Makeup Tips in Hindi. Agar aap bhi apni aankho ko smokey aur classy look dena chahti hai to iss tips ko jarur apnaye.
 

Loading...

This website uses cookies.