Symptoms of Pancreatic Cancer: जानिये इस बीमारी के लक्षण

Pancreatic Cancer in Hindi: Cancer manushyo mai hone wali sabse khatarnak bimariyo mai se ek hai. Cancer hone ke kai karan hote hai lekin unme se sabse pramukh karan sharir ki koshikao ka asamanya rup se viksit hona hota hai. Pancreatic Cancer bhi pet mai hone wala cancer hai jo ki pet ke agnashay mai maspeshiyo ke gaanth ke rup mai ya fir aniyantrit rup se badhne par hota hai.

Agnashay, vyaktiyo ke pet ka sabse mahatwapurna bhag hota hai jo ki bhojan ke pachan mai madad karta hai. Yeh pet mai samanantar aakar mai faila hua rehta hai. Yeh pet mai enzyme ko sthavit karta hai jo ki sharir mai sharakra ke pachan aur use ghulasnsheel banane mai madad karta hai.

Waise to agnashay cancer kai prakar hote hai lekin 85% logo ko adenocarcinoma namak agnashay cancer dekhne ko milta hai.

Yeh cancer 60 varsh se adhik umra ke vyaktiyo mai jyada hota hai. Iss cancer ke hone ke kai karan hote hai jaise mass ka sevan karna, karkhane mai upyog hone wale rasaynik padartho ke dhuwe ke sampark mai rehna, dhumrapan se aadi. Dhumrapan se agnashay cancer hone ka khatra 3 se 4 guna tak badh jata hai.

Symptoms of Pancreatic Cancer mai aaiye jane iss cancer ke hone ke karan, lakshan aur upcharo ke bare mai aur rakhe apne aap ko swasth.

Symptoms of Pancreatic Cancer: Iske Lakshan, Karan aur Upchar

Agnashay cancer ko shuruati tour mai samajhna thoda mushkil hota hai kyuki iske lakshan pachan sambandhi samasyao jaise hote hai. Iss wajeh se kuch log iss cancer ki sahi se jaanch bhi nahi karwate hai aur na hi sahi se ilaj.

Yeh cancer jab bahut adhik badh jata hai to kabhi kabhi mout ka karan bhi ban sakta hai isliye iska sahi tarah se aur jald hi ilaj kar lena chahiye.

Lekin ghabraiye nahi iss article mai ham aapko batayenge agnashay cancer ke lakshano ke bare mai. Jinhe jankar aap bhi iss cancer ka sahi tarah se ilaj kar sakte hai. To aaiye padhe Pancreatic Cancer Symptoms.

Pet Mai Dard Hona

Vyaktiyo mai 70% pet dard agnashay cancer ki wajeh se hota hai. Iss cancer ke hone se pet ke upar ya nichle hisse mai dard hota hai. Kabhi-kabhi yeh dard itna badh jata hai ki pittashay, agnashay aur jigar mai sujan ho jati hai aur yaha chune par dard bhi mehsus hone lagta hai.

Vajan Kam Hona

Agnashay cancer se grasit vyaktiyo ka vajan bahut kam hone lagta hai aur unme bhuk na lagne ki samasya bhi ho jati hai.

Pachan Shakti Kharab Hona

Agnashay, enzyme namak padarth nikalta hai jo ki bhojan ke pachan mai madad karta hai. Lekin cancer ki wajah se yeh padarth nikalne mai kathinai hoti hai jisse hamare bhojan ka sahi tarah se pachan nahi ho pata hai. Iss wajeh se vyaktiyo ko pachan sambandhi samasyaye hone lagti hai.

Symptoms of Pancreatic Cancer: Anya Lakshan Inhe Bhi Padhe

  1. Mansik sthithi mai badlav hona
  2. Pairo mai khun ke thakke jamne lagna
  3. Khujali hona
  4. Buri gandh wali matli ya ulti hona
  5. Aankhe safed hona aur kale rang ki peshab aana
  6. Sujan, gas, pet mai dard aadi hona

Sharir mai hormones mai parivartan ke karan bhi agnashay cancer hota hai. Aaiye jane iske pramukh lakshano ke bare mai.

  1. Bahut pasina aana aur sath mai dil ki dhadkano ka tej hona
  2. Twacha mai laal dhabbe ka hona
  3. Tej pet dard ke sath dast lagna

You May Also Like:- Home Remedies for Menstrual Cramps: Dard Se Paye Chutkara

Agnashay Cancer Ke Karan

Agnashay cancer hone ke kai karan hote hai to aaiye jane causes of Pancreatic Cancer

  1. Sharir ke vajan ka umra aur sharir ke mutabit bahut jyada hona
  2. Pet ke agnashay mai bahut adhik sujan hona
  3. Genetic mutation
  4. Madhumeh ke karan bhi agnashay cancer ho sakta hai
  5. Dhumrapan bhi agnashay cancer ka sabse bada karan hota hai.

Cancer ke lakshano aur karano ko janne ke bad hi iska ilaj kiya jata hai. Agnashay cancer ka ilaj vyakti ki umra, cancer ka samay, cancer ka sthan aur vyakti ke swasth ko dhyan mai rakhkar kiya jata hai. Yeh cancer vyaktiyo mai bahut teji se failta hai isliye iske karno ko sirf pachan sambandhi samasya samajhkar talna nahi chahiye. Balki sahi samay ke rehte chikitsak ki salah lena chahiye.

Agnashay Cancer Ka Ilaj

Agnashay cancer ke ilaj ke liye aaiye padhe Treatment Process for Pancreatic Cancer

  1. Surgery
  2. Radiation Therapy
  3. Chemo Therapy
  4. Targeted Therapy

Upar aapne jana Symptoms of Pancreatic Cancer iske karan aur upcharo ke bare mai. Yadi aap ya fir aapke aaspas kisi ko bhi agnashay cancer se jude lakshan dikhayi de rahe to aaj hi chikitsak ki salah le aur rahe swasth.

Loading...

This website uses cookies.