Syphilis Symptoms: Youn Sancharit Bimari ke Lakshan

Syphilis ek vyakti se dusre vyakti mai failne wali youn sancharit bimari hai. Iski shuruaat treponema pallidum namak jivanu se hoti hai. Yadi garbhvati mahila ko yeh bimari hai, to yeh uske garbh mai pal rahe bacche ko bhi ho sakti hai. To aaiye jante hai Syphilis Symptoms ke bare mai jaruri jaankari.

Yadi kisi aadmi ko syphilis hai, to usse sharirik sambandh banana wali mahila ko bhi yeh bimari ho sakti hai. Kuch logo ka manana hai ki yeh sochalay ke baithne ki jagah, darwaje ki muth, talab, nahane ke garm tub, dusre ke kapde pahane se bhi ho jati hai. Aisa manana bilkul galat hai.

Syphilis isliye bhi ghatak hai kyuki kai vyaktiyo mai varsho tak iske lakshan dikhai nahi dete hai. Iss article mai hum aapko iss biamri ke bare mai visar se batayege.

Syphilis Symptoms: Janiye Kese Shuru Hoti Hai Yeh Bimari?

Jab aap kisi Syphilis se sankramit kisi vyakti se sambandh banate hai, the yeh bimari 9 se 10 din baad shuru ho jati hai. Isme hone wale ghav sankraman ke sthan par funsi yani sujan ke saath shuru hota hai. Kuch dino baad uss jagah par chhala ban jata hai. Mahilao mai ghav youni ke bahar ya andar ya garbhashay griva mai ho sakta hai.

Purusho mai sabse jyada ling ke upari sire par hota hai. Muh ke raste youn sambandh hone par yeh muh mai bhi ho sakta hai. Isme hone wala chhala kafi thons aur dard rahit hota hai.

Isme hone wale ghav mai badi tadad mai jivanu hote hai, jo sukshm darshi se hi dikhai dete hai. Syphilis ke pehla, dusra aur antim level hote hai. To aaiye jante hai Syphilis Symptoms ke bare mai jaruri jaankari:

You may also like:- Youn Rog (Sexually Transmitted Diseases) ke Lakshan

Level 1:
  • Syphilis ke prarambhik level mai jananag ek aas-paas ek ya kai funsiya dikhai deti hai. Iska sankraman ke shuruaati lakshan mai average 21 din lag jate hai.
  • Yeh funsi sakht, gol, chhoti aur dard rahit hoti hai. Yeh funsiya 3 se 6 hafte tak rehti hai aur bina kisi upchar ke thik ho jati hai.
  • Yadi inka upchar nahi kiya jata to yeh sankraman dusre level mai bhi ja sakta hai.
Level 2:
  • Syphilis ke dusre level mai twacha mai daad ho jata hai, aur inme aamtour par khujali nahi hoti hai. Hatheli aur paav ke taaluo par huya daad khurdura, laal ya bhure rang ka hota hai.
  • Iss tarah ke daad sharir ke anya bhaago mai bhi paye ja sakte hai. Daad ke alawa madhyamik syphilis mai bukhar, lasika granthi mai sujan, gale mai kharash, kisi ang se baal jhadna, sar dard, vajan kam hona, mashpeshiyo mai dard aur thakawat ke lakshan bhi dikhai dete hai.
Level 3:
  • Syphilis ke antim level ka asar aankh, rakt vahika, jigar, asthi aur jod jesi bhitari indriyo par padta hai. Iska asar haal main a dikhai dekar lambi avadhi mai dikhai deta hai.
  • Antim level ke lakshan mai mashpeshiyo pareshani, pakshghat, sunnata, dhire-dhire aankh ki roshani jana aur yaddhasht par asar bhi shamil hai.

You may also like:- Sex Problem: Youn Samasya ka Samadhan Hua Aasan

Syphilis ki ghav mai sankraman jyada hota hai, isliye iski jaach karte samay dastane pahanane chahiye. Shuruaati charan mai hi yeh ilaj thik ho jata hai.

Upar aapne jane Syphilis Symptoms ke bare mai kuch jaruri jaankari. To agar aapko bhi aise koi lakshan dikhai de rahe ho to aap bhi apne doctor se jald se jald sampark akre. Taki aap iss bimari ki chapet mai na aa sake aur aapke partner ke saath swasth rah sake.

Get more details about Syphilis from Sex & Love.

Loading...

This website uses cookies.