Tadasana Yoga in Hindi – Jane Iski Vidhi, Labh aur Savdhaniya

Yog pure vishva ko di gai bharat ki anuthi den hai. Yog ko sirf bharat mai hi nahi balki pure vishva mai kiya ja raha hai aur kai hajaro log iska fayda utha rahe hai. Yog ya yoga karne se sharir ko kai fayde milte hai sath hi kai bimariya bhi dur bhag jati hai.

Yoga adhyatam se judi hui prakriya hai jise karne se man, sharir aur aatma ek sath aakar sthir ho jati hai. Yoga karne se aap kai salo tak tandurust bane reh sakte hai. Yoga mai kai tarah ke aasan hote hai. Har aasan ka apna alag mahatva hai kuch aasan vajan ko niyantrit rakhte hai. Kuch twacha ke liye faydemand hote hai aadi.

Yog ke kai aasano mai se ek hai Tadasana. Iss aasan ko karne se lambai badhti hai. Khubsurat aur aakarshak dikhbe ke liye vyakti ki lambai bhi bahut mayne rakhti hai. Jinki bhi lambai kam hoti hai, unki personality mai kuch kami ho jati hai. Lambai kam hone ke kai karan ho sakte hai.

Kai bar anuvanshik guno ke karan bhi sharir puri tarah se nahi bad pata hai. Iske atirikt bhojan mai protein ki matra puri nahi hone par bhi sharir ki lambai ruk jati hai. Iss kami ko tadasana ke dwara dur kar sakte hai, to aaiye jante hai Tadasana Yoga in Hindi.

Tadasana Yoga in Hindi – Swasthya Ke Liye Faydemand

Tadasan aasan ko Samasthiti aur Mountain Pose ke naam se bhi jana jata hai. Sharir ka kad badhane ke sath sath iss aasan ka abhyas aapke hriday ke liye bhi accha hai. Aaiye jante hai Tadasana Yoga Pose ke bare mai.

You May Also Like:- Butterfly Yoga Benefits in Hindi – Titli Aasan Ke Fayde Janiye

 

Tadasana Steps in Hindi: Jane Ise Karne Ki Vidhi

Tadasana ko karne ke liye sabse pehle to ek swaccha aur samtal jagah ka chunav kare. Waha par aasan bhicha kar us par khade ho jaye aur dono pairo ko aapas mai mila le tatha dono hatho ko kamar ke bagal mai sata kar rakhe.

Dhyan rakhe iss stithi mai aapka sharir ek dum sthir hone ke sath sharir ka vajan ek saman hona chahiye. Tatha hatho ko dheere dheere karke kandhe ke pass leke aaye.

Ab dono hatho ki ungliyo ko milaye aur upar ki taraf le jaye. Aur tab tak upar ki taraf khiche jab tak ki hath aur kamar mai khichav na aa jaye. Jab aap hatho ko upar ki taraf le jaye uske sath hi aediyo ko bhi upar ki taraf uthaye aur pure sharir mai khichav mehsus kare.

Tadasana karte samay aapki gardan ek sidh mai hatheli aasaman ki taraf aur pair pario ki ungliyo par pure sharir ka vajan rakh kar santulan hona chahiye.Isse aasan mai saans lete huye upar jaye aur saans lete huye niche aaye tatha isko lagatar 10 bar kare aur fir kuch samay ke liye ek stithi mai khade rahe. Ab dheere dheere aediyo ko jamin par rakhe aur dono hatho ko niche leke aa jaye. Aur vishram mudra mai aakar khade ho jaye.

Tadasana Benefits in Hindi: Isse Milne Wale Labh

  1. Iss yoga ko karne se sharir ki lambai badti hai.
  2. Ise rojana karne se gathiya rog chhumantar ho jata hai.
  3. Iss aasa ko karne se pet aur chhati ke rog nasht ho jate hai.
  4. Iss yoga ko karne se sharir mai lachilapan aata hai.
  5. Iss aasan ko karne se aalas aur susti dur bhag jati hai.
  6. Tadasan ke niyamit abhyas se pair tatha panje majboot hote hai.
  7. Tadasana Benefits kai hai. Ise karne se hriday sambandhit bimariya bhi dur ho jati hai.
  8. Jab aap tadasana karte hai to saans prakriya sudharti hai aur kandhe bhi majboot banate hai.
  9. Tadasan ko apni dincharaya mai shamil karne se slip disk hone ki sambhavana kam ho jati hai.
  10. Grabhvati mahila yadi tadasana ko lagatar karegi to unhe tahkan kam hoti hai aur prasav ke samay unhe kam dard hoga.

 

You May Also Like:- Pranayam in Hindi: Tanav, Chinta Dur Karne mai Sahayak

 

Inn Baato Ka Rakhe Khayal:-

Jab bhi aap kisi yog mudra ko karte hai uska ek apna tarika hota hai aur uska fayda aapko tabhi milta hai jab aap use sahi tarike se karte hai. Tadasan ko karte samay bhi kuch baato ko dhyaan rakhna bahut aavshayak hai. Taki ise karne se upar diye gaye saare labh aapko mile.

  • Garbhavati mahila dhyan rakhe iss asana ko sirf 5 mahine tak hi kare.
  • Yadi aap bimar hai ya aapka operation hua hai to isse yoga ko na kare.
  • Tadasana ko karte samay yadi Kisi bhi tarah ki pareshani ho to iss aasan ko na kare.
  • Yadi aapko sar mai dard hai ya low blood pressure se pidit hai to iss aasan ko na kare.
  • Jab aap iss asaan ko karte hai to aapke dono hath upar aur pura sharir ka bhar aediyo par hota hai. Yadi aapke pairo mai kisi bhi tarah ki koi pareshani hai to iss aasan ko na kare.

Upar aapne jana Tadasana Yoga in Hindi. Yadi aap bhi uprokt labh pana chahte hai to iss aasan ka abhyas jarur kare.

Loading...

This website uses cookies.