Pranayam in Hindi: Tanav, Chinta Dur Karne mai Sahayak

Vyast jivansheli mai kisi ke paas vyayam ke liye samay nahi hai. Shararik kam ka abhav aur galat jivansheli ke chalte hamare sharir ko bimariyao ne jakad rakha hai. Sharir ko swasth rakhne ke liye ham keval khanpan par hi aashrit nahi reh sakte. Hame isse jyada ki jarurat hai. Yogasan aur pranayam isme madad kar sakta hai.

Hamare sharir ko swasth rakhne ke liye inka abhyas bahut jaruri hai. Yog se sharir ko milne wale fayde ko dekhte huye iski upyogita ko pehchan mili hai. Hamare bharat desh mai hi nahi balki pure vishva mai inhe apnaya ja raha hai.

Yog aur pranayam ke abhyas se vyakti kai labh pa sakta hai. Aksar kuch logo ne yog sadhna ko keval yogasan tak hi simit mankar uska vichar kiya hai. Jabki iske aath anga hai. Unhi aatho ango mai se ek anga hai pranayam. Jin logo ko yoga ka vistarit gyan nahi hai wo log sochte hai ki yog aur pranayam bhinn bhinn hai. Lekin aisa nahi hai pranayam yog ka hi choutha ang hai.

Pranayam karne se man aur mastiksh ki safai hoti hai. Iska niyamit abhyas karne se man se bure aur nakaratmak vichar dur ho jate hai, man ko shanti milti hai. Pranayam karne se hame kai bimariyo se nijat milti hai. Sehatmand sharir pane ke liye iska abhyas jarur karna chahiye. Iske bare mai vistar se janne ke liye padhe Pranayam in Hindi.
 

Pranayam in Hindi: Jane Iske Prakar, Kriyae aur labh

 
Pranayam in Hindi
 
Pranayam do shabdo se milkar bana hai, pran+ayam. Pran ka matlab hota hai jivatma, arthat jo hame shakti deta hai. Wahi ke ayam ke do arth hote hai, pratham niyantran ya rokna aur dvitiya vistaar. Pranayam ka arth pran ka ulta gaman hota hai. Yadi ham sadharan lafjo mai kahe to jis kriya mai ham shawas lene ki prakriya ko niyantrit karte hai use hi pranayam kaha jata hai.

Yadi ham gour kare to pranayam ek tarah ka tap hai, jiske madhyam se hamare desh ke anek rishiyo, muniyo tatha tapsviyo ne sadhna ka gyan arjit kiya hai aur apne anubhav ko samaaj ke samne rakha hai. Pranayam ke bare mai bahut sare rishi muniyo ne apne apne dhang se kaha hai lekin sabka bhav ek hi hai.

Ayurved mai pranayam ko man, mastiksh, aur sharir ki aushdhi mana gaya hai. Jab bhi koi vykti saans leta hai to sharir ke ander jane wali vayu panch bhago mai vibhajit ho jati hai. Anya sabdo mai kaha jaye to sharir ke bheetar jakar yeh vayu panch jagah sthir ho jati hai. Panch bhago mai gai vayu sharir ko panch tarah se labh pahuchane ka karya karti hai.

Kitntu bahut se log jab shwas lete hai hai, to vayu sabhi ango ko nahi mil pane ke karan vo log bimar ho jate hai. Isliye pranayam ko kiya jata hai. Taki sabhi aango ko barpur vayu mil sake, jo ki hamare sharir ko swasth rakhne ke liye behad jaruri hai. Pranyam kai tarah ke hote hai. Inn sab pranayam ko karne ki vidhi alag alag hoti hai aur inhe karne se kai sharirik labh hote hai.
 

You May Also Like:- Kapalbhati Benefits: Weight Loss Karne Mai Sahayak

 

Janiye Pranayam Ke Parmukh Prakar:-

  • Nadi Shodhan, Sitkari, Bhastrika, Ujjayi
  • Bhramari, Kapalbhati, Kevali, Kumbhaka
  • Dirgha, Sitkari, Surya Bheda Pranayam
  • Chandra Bhedana, Murcha Pranayama Aadi.

 
Pranayam ki shuruwat:- Pranayam karte samay teen kriyaye kari jati hai.

1 Purak, 2.Kumbhak, 3. Rechak

Purak: Niyantrit gati se shawas ko andar lene ki prakriya ko purak kaha jata hai. Shawas ko aap dheere dheere le ya teji se dono samay usme lay aur anupat ka hona jaruri hai.
 
Kumbhak:-Andar ki hui shawas ko shamta anusar rokar rakhne ki kriya ko kumbhak kaha jata hai. Shawas ko andar rokane ki kriya ko antrik kumbhak jabki shawas ko bahar chhodkar punh nahi lekar kuch der tak rukane ki kriya ko bhahri kumbhak kehte hai. Isme bhi lay aur anupat ka hona behad jaruri hai.
 
Rechak:  Andar li hui shawas ko niyantrit gati se chhodne ki kriya ko rechak kahte hai. Shawas dheere dheere ya teji se dono hi tarike se jab chodte hai, to usme lay aur anupat ka hona aavyashak hai.
 
Pranayam ko jabran nahi karna chahiye. Pranayam karne ke liye shawas ander lena “purak”, shawas ko bhahar fenkna “rechak” aur shawas ko bhahar hi rokkar rakhna bhaykumbh kehlata hai.

Purak, Kumbhak aur Rechak ki avratti ko acche se samjhkar pratidin yeh pranayam karne se rog dur ho jate hai. Iske paschat aap bhastrika, kapalbhati, sitali aadi pranayam ko kar sakte hai. Lekin pranayam ko karne ke kuch niyam hote hai jane wo niyam kya hai?
 

Pranayam Rules in Hindi: Jane Iske Kuch Niyam

Jab bhi aap pranayam kare aapki ridh ki haddi sidhi hona chahiye. Iske liye aap kisi bhi dhyanatamak aasan mai baith sakte hai. Jaise ki vajrasan, padmasan, sukhasan aadi! Yadi aap kisi bhi aasan mai nahi beth pate hai to aap kursi par bhi pranayam kar sakte hai, parantu ridh ki haddi ko sidha hi rakhe.

  • Shawas ko keval nasika se hi lena chahiye. Isse shawas filter hokar andar aata hai. Muh se shwas na le.
  • Pranayam karte samay man shant aur parsanna hona chahiye. Pranayam se man shant aur ekagra hota hai.
  • Pranayam ko hamesha samtal, saaf aur shant sthan par kare. Shehar main jaha pradushan ka adhik prabhav ho vaha pranayam se pehle dhup se uss sthan ko sugandhit kare.
  • Pranayam ke liye vajrasana, padmasana aur siddhasana mai baithna jaruri hai. Bethane ke liye jis aasan ka upyog karte hai wah kamble ya kushasan aadi le.
  • Pranayam ka arth sirf purak,kumbak ya rechak hi nahi, varan shawas aur pranoki gati ko niyantrit aur santulit karte huye man ko bhi sthir aur ekgra karne ka abhyaas karna hai.
  • Grabhvati mahila, bhukh se pidit purush ko pranayam ka abhyas nahi karna chahiye. Pranayam karte huye thakan ka anubhav ho to dusra pranayam karne se purav 5-6 minute ka visharam karna chahiye.
  • Pranayam ka abhyaas dheere dheere dherya ke sath aur savdhani purvak kare. Pranayam karte samay mukh, aankh, nak, aadi ango par kisi tarah ka koi tanav na rakhe. Pranayam ke bad snnan karna ho to 5-20 minute ke bad kar skate hai.
  • Pranayam karne ke 2-3 ghante purava hi bhojan karna chahiye. Khana kahne ke paschat ise karna sahi nahi hai. Shuru mai ise panch dus minute ka hi abhyaas kare aur dheere dheere badate huye adha se ek ghanta kare. Roj pet saf karke hi pranayam karna chahiye. Kuch din bad pranayam karne se kabj apne aap dur ho jata hai.

 

Pranayam Benefits in Hindi: Jane Iske Labh

 
Pranayam Benefits in Hindi
 

Tanav Dur Karne mai Sahayak

Niyamit rup se pranayam karne se tanav aur chinta dur hoti hai. Aap padhai karne ke bad bhi hui thakan ko bhi pranayam se dur bhaga sakte hai. Pranayam karne se mansik rup se dradta aati hai. Aur vyakti ko avsad ki avstha se bahar nikalne mai madad milti hai.
 

Pachan Tantra Sudhare

Hamare sharir mai pachan sambandhi kai prakar ki samsya hoti hai. Pranayam karne se in sabhi samsyao mai labh milta hai. Kya aap apne immune system ko bhi majbut banana chahte hai to pranayam kare. Isse sharir ki behtar paranali mai sudhar aayega.
 

Shawas Sambandhi Samasyae

Pranayam karne se kai swasth labh hote hai. Isse sabse bada swasth labh yeh hota hai ki isse karne se phefdo ko aaram milta hai. Yeh unn logo ke liye sabse labhdayak hota hai, Jinhe aasthma ya saas sambhandhi samsya hoti hai.
 

Sardi Jhukham Se Nijat

Jin logo ko har samay sardi aur jhukham ki samasya rehti hai. Aur unki naak behati rehti hai. un logo ko pranayam jarur karna chahiye. Isse unki naakke raste saf rehte hai. Aur jhukham aadi mai bhi aram milta hai.
 

You May Also Like:- Yoga for Health in Hindi: Acche Swasthya ke Liye Niyamit Kare

 

Pranayam Health Benefits: Anya Labh Inhe Bhi Jane

  1. Pranayam karne se vajan ghatane mai madad milti hai nikla hua pet ander ho jata hai.
  2. Anulom-vilom pranayam ke keval dus minute ke abhyas se sar drad thik ho jata hai. Nakratamak chintan dur hokar aanand aur utsah badh jata hai.
  3. Kapalbhati se ges, kabj, madhumeh, motapa, jaise rog dur rehte hai. Wahi 5 bar bhramri pranayam karne se man ki chanchalta dur ho jati hai. Iske alava udar rog dur hokar jathragini pradipat ho jati hai.
  4. Mansik Ekagrata sudharane ke liye, pranayam sabse accha tarika hai. Ise karne se dimag tej hota hai. Dimagi ekagrata badane ke liye pranayam karna behtar hota hai.
  5. Pratidin 5 minute Bhastrika Pranayam karne se rakt shudh ho jata hai. Sardi-jukham, aur allergy dur ho jati hai. Mastishak ko fir se urjaa prapat hoti hai.
  6. Pranayam ek aisa tarika hai jisk madhyam se ham sharir ke kai vishele tatvo ko bahar kar sakte hai. Ise niyamit karne se sharir mai detoxification ki prakriya hoti hai. Yeh sabhi umar ke liye labhkari hai.

 
Upar aapne jana Pranayam in Hindi aur iske labho ke bare mai. Sabse pehle yeh baat jan le ki yadi aapko iske vishesh labh chahiye to iska niyamit abhyas kare. Jitne bhi shararik vishesgya hote hai unka yeh manna hai ki kisi bhi vyayam ya yog kriya ko sampurn tarike se karne par hi labh prapt hote hai. Kabhi kabar karne walo ko iska koi fayda nahi milta.
 

Loading...

You may also like...