Teeth Problems in Hindi- Na Kare inn Samasyao ko Najarandaaj

Daant (Teeth) hamare sharir ka anmol ang hai. Inhe swasth rakhna utna hi aavshyak hai, jitna ki kisi anya ang ko swasth rakhna jaruri hai. Daant na keval chehre ki sundarta badhate hai, balki khane ko bhi thik tarah se chabane mai hamari madad karte hai, jisse khana muh ki granthiyon se nikalne wali laar se mil sake aur pet mai jakar achhi tarah se hazam ho sake.

Yadi daant na rahenge to naa hi khana thik se chaba sakenge aur naa hi khana thik se pach payega, aur parinam swarup badhazmi, gas, aml-rog aadi ki samasya se do char hona padega. Hamare daant shabdochhar ki prakriya ke liye bhi mahatvpurn bhumika nibhate hai, jisse spashth bhasha ka gathan hota hai.

Parantu, aajkal logo mai daanto ki samasya hona aam bata ho gyi hai. Daant ki samsya aur dard ke kai karan hote hai. Aese kayi cases hote hai, jab daant ka dard pure muh tak badh jata hai. Yeh tab hota hai, jab Jaw-joint, kaan, nas, sinuses aur manspeshiyon mai samasya hoti hai.

Aapko jankar heriyat hogi kintu Kabhi- kabhi hriday ki samasya se bhi daant mai dard ho sakta hai. Daanto ki samasya ka bahut se tariko se ilaaj sambhav hai. Iske alawa niyamit roop se daant ko saaf karke bhi bahut si samasyao ko roka ja sakta hai. Iss samasya ko vistar se janne ke liye padhe Teeth Problems in Hindi.
 

Teeth Problems in Hindi: Jane Daanto Ki Kuch Pramukh Samasyae

 

 

Saans Lete Samay Badbu Aana

Agar aap saans aur muh se badbu ki samasya se pidit hai, to aap akele nahi hai. Dental studies ke anusar, lagbhag 85% logo ko yeh samasya hoti hai, jiske liye daanto ki halat jimmedar hoti hai. Muh ki Badbu ko “halitosis” bhi kaha jata hai, jo ki bahut sharmnak ho sakta hai. Masudo me rog, cavity, oral cancer, shushk muh aur jeebh mai bacteria hona, ye kuch esi daat ki samsyae hain, jo ki sans aur muh ki badbo ka karan ho sakti hai. mouthwash karne se sirf gandh ko bhagaya ja sakta hai, par iska ilaaj nahi kiya ja sakta. Agar aap bahut hi buri saans ki badbu se grasit hai, to dant chikitsak se jakar salah le.
 

You May Also Like:- Home Remedies for Tooth Pain in Hindi: Daanto Ka Ilaj ab Ghar Par

 

Daant Ka Sadna

Daanto ke sadne ko cavities bhi kaha jata hai. Daant tab sad jate hai, jab koi chip-chipa padarth daanto mai lag jata hai aur fir hum jo khana khate hai, uske starches aur sharkra ke sath mil jata hai. Yeh mishran ek tarah ka acid paida karta hai, jo daanto par hamla karta hai. Daanto ko sadne se bachane ke liye din mai do bar brush karna aur reglar dental check-up karna hi sabse acche tarike hai. Iske alawa, swasth khadya padarth ka sevan bhi jaruri hai. Snacks aur drinks, jinme adhik sugar hoti hai, use avoid karna chahiye.
 

Masudo mai Rog (Periodontal)

Adhyaan se pata chalta hai ki Periodontal Disease bhi ek tarah ka masudo ka rog hota hai, jo ki dil ke daure aur stroke se juda hota hai. Masudo mai rog masudo ke aaspas sankraman hone se hota hai. Vayasko mai daanto ka girna bhi iska sabse bada karan hota hai. Masudo ke rog ki 2-stage hoti hai. Masudo mai sujan (gingivitis) aur Periodontitis. Din mai do bar brush karne se aur niyamit roop se dant chikitsa karane se gum swelling aur masudo ke  rog se bacha ja sakta hai.
 

Muh Ka Cancer (Oral Cancer)

Oral Cancer ek bahut hi gambhir aur ghatak bimari hai, jo lakho logo ko prabhavit karti hai. Daant ki yeh gambhir bimari jo muh, honth ya gale se sambandhit ho, agar prarambhik stage mai pata lag jaye aur ilaaj shuru ho jaye, to iss bimari ka ilaaj sambhav hai.
 

Muh mai Ghav Hona (Mouth Sores)

Muh ke ghav kai prakar ke hote hai, jo bahut hi kashtdayi ho sakte hai. Muh ka ghav 2-hafte se pahle khud hi thik ho jaye to chinta ki baat nhi hoti hai. Aam muh ke ghav kuch is prakar hain- foda, fafola, chhala, alsar aadi.
 

Daant mai Katav Hona (Tooth Erosion)

Daat mai katav hone se daat ki sanrachna bigad jati hai aur yeh acid ke hamle ke karan hota hai. Daant ke katav ke sanket aur lakshan darar jaise gambhir samasya bhi paida kar sakte hai. Log Tooth Erosion jitna jyada gambhir samjhate hai, utni gambhir hoti nahi hai, aur sahi ilaaj lekar ise asani se roka ja sakta hai.
 

You May Also Like:- Home Remedies for Pyria: Masudo Ki Samaysa Ka Upchar

 

Daant ki Sanvedanshilta (Tooth Sensitivity)

Tooth Sensitivity ek aam samasya hai, jisse lakho log prabhavit rahte hai. Aamtour par, aesi sthiti mai mithai khane se, thandi hawa se, cold-drinks aur ice-creams ki wajah se daanto mai dard (Teeth Pain) hone lagta hai. Iss samasya se pidit kuch logo ko to brush karne mai bhi pareshani ka anubhav hota hai. Iss samsya ka ilaaj sambhav hai.
 

Daant mai Dard Hona (Toothaches)

Dentist se niyamit sampark banaye rakhne se daanto ke dard aur achanak hone wali koi bhi daanto ki samasya ko aasani se tala ja sakta hai. Iske alawa, kayi tarah ke gharelu upchar ka istemal karke bhi inn samasyaon se chhutkara paya ja sakta hai.
 

Badsurat Muskan (Unattractive Smile)

Ek unattractive smile takniki rup se daant ki samasya nahi hoti hai. Parantu, kuch log jo aesi muskan se khus nhi hote, wo log ise bhi daant-samasya ki shreni mai ginte hai. Yeh ek pramukh karan hota hai, dant chikitsak se upchar aur paramarsh lene ka. Waise ek unattractive smile vyakti ke aatm-vishvas ko kam kar sakti hai. Par saubhagya se aaj technologies aur development ki madad se, koi bhi vyakti sundar-muskan paa sakta hai. bhale hi, yeh teeth-whitening karana ho, dant-pratyaropan karana ho, orthodontics ya koi anya cosmetic dental work karna ho aadi, dentist har tarike se aapko sundar muskan pradan kar sakte hai.
 
Upar apne jana Teeth Problems in Hindi. Agar aap bhi daanto ki samasyao ya dard se pidit hai, to aapko dentists se ek bar jarur salah-mashwara lena chahiye.

Loading...

This website uses cookies.