Shadi ka rishta sabse pavitra rishta mana jata hai. Iss rishte mai do ajnabi log judte hai aur puri jindagi ek dusre ka sath nibhate hai. Yadi aapki nai nai shadi hui hai to aapke partner ke sath talmel baithane mai aapko thodi muskil hoti hai kyoki dono vyakti na keval mahol, parivaar alag hota hai balki dono ke vichar bhi alag alag hote hai.
Lekin inn sab ke bawjud bhi wo ek dusre ka sath nibhane ka faisla lete hai. Shadi ke bad dono logo ko apne vyavahar aur aachran ko apne patner ke anusar dhalna padta hai aur yeh sahi bhi hai kyonki ek shadi shuda jindgi aur use safal banana ke liye aapko thoda thoda dono taraf se hi samjhota karna padta hai.
Shadi ke bad aapki jimmedariya aur bhi badh jati hai kyoki aapko sirf aapka nahi aapke partner ki jarurato aur bhavnao ka bhi dhyaan rakhna padta hai. Iske atrikt kai bar soch mai parivartan ke karan jhagde bhi hone lagte hai. Isliye kuch log shadi ke naam se katrate hai aur unhe shadi ke naam se hi dur bhagte hai.
Lekin aesa nahi hai jab bhi aap acchi aur sukhad shadishuda jindgi jina chahte hai to sakaratmak soch ke sath aapka milansaar hona bhi bahut jaruri hai. Shadi ko successful banane ke liye aaiye jante hai Tips for Happy Married Life.
Tips for Married Life: Khushal Shadi Shuda Jindagi Ke Liye
Ek Dusre Se Prem Kare
Shadi ko sukhad aur acchi banane ke liye sabse jyada jaruri hai ek dusre ke liye pyar ka hona. Ek dusre ki acchai aur burai ko apnana aur ek dusre ke liye samarpan ki bhavna hona agar yeh sab aap aapke sathi ke liye karte hai to baki chije itni matavpurn nahi hoti hai. Aap dono jaha tak ho sake sari bate apne patner ke sath bate kyoki aisa karne se aapke bich mai kisi tarah ki koi galtfehmi nahi banegi. Aap apne sathi ko hamesha yeh ehsaas karvaye ki wo aapki jindagi mai kitna mayne rakhte hai.
Bharosa Banaye Rakhe
Har rishte ki neev sirf bharose par hoti hai khaskar shadi shuda jindagi ke liye vishvas shabd bahut matvapurn hai. Yadi aapka aapke partner par bharosa hoga to jindgi mai kisi tarah ki koi anban nahi hogi aur yadi kabhi aisi stithi banti bhi hai to wo jaldi hi sulajh jayegi.
You may also like:- Love Marriage vs Arranged Marriage in Hindi: Rishte Zindagi Ke
Ek Dusre Ke Mahatva Ko Samjhe
Rishte ko khubsurat banane ke liye ek dusre ke mahatva ko samajhna bahut jaruri hai tatha iske liye aavshyak hai ki aapke dono ke bich acchi understanding ho. Isi se aap aapke sathi ko acche se samajh payenge. Kabhi bhi dusre logo ke sath aapke patner ki acchai aur burai ki tulna na kare. Aesa karne se aap dono ke bich manmutav aa sakta hai.
Partner Ke Sath Rakhe Vafadari
Shadi ke rishte mai ek dusre ke prati naram vyvhar karna jaruri hai. Iske liye bahut jaruri hai rishte mai vafadari ka hona kyoki vafa se aapki jindgi ki aadhi pareshaiya khatam ho jayegi. Aise kai log bhi hai jo sharirik aakrshan khatam hone ke bad apne sathi ke liye vafadar hote hai aur yahi vafa unke rishte ki sabse badi takat hoti hai.
Isliye hamesha koshish kare ki aapke sathi ke liye pyar aur vafadari mai kabhi koi badlav na aaye kyoki sharirik aakrshan kuch samay ke liye hota hai jabki bhavanao ka sambandh jindagi bhar ke liye hota hai aur aapki jindgi aapke patner ke pyar aur sath se sarlta se bitegi.
Pyar Ko Banaye Rakhne Ke Liye Surprise De
Har vyakti bhavanao se juda hota hai aur iss bat ko kuch log jahir kar dete hai aur kuch log chipa lete hai. Lekin jab aapke patner ko aap naye naye surprise tohfe mai dete hai to wo chah kar bhi apni bhavnao ko rok nahi pate hai aur unke dil ki bat juban par aa hi jati hai.
Jaruri nahi hai ki surprise hamesha mehnga ho aap kai tarah se unhe jata sakte hai ki wo aapke liye kitne khas hai. Ise khas banane ke liye aap kuch khubsurat pal ek dusre ke sath bita sakte hai.
You may also like:- 7 Promises of Marriage in Hindi: Vivah Ke Vachno Ka Mahatva
Shadi Ke Bad Bhi Dating Kare
Isse kuch farak nahi padta ki aapki shadi abhi hui hai ya kai sal ho gaye hai. Aajkal ki bhag duad bhari jindagi mai apne partner ke sath khas pal bitane ka samay kam hi mil pata hai. Isliye hafte ya fir mahine bhar mai ek bar apne patner ke sath dating jarur kare.
Unhe bahar lekar jaye yahi wo samay hoga jaha aap ek dusre ka hath pakad kar aankho mai aankhe dalkar ek dusre se kai bate kar sakte jo aapke dil aur dimag ko ghere huye hai aur aap dil ki har ek parat ko dheere dheere kholte jayenge. Isse aapka pyar majboot hota hai. Yeh sabse faydemand Successful Marriage Tip hai.
Khush Rakhti Hai Chhoti Chhoti Bate
Chhoti chhoti baato ko aksar ham bhul jate hai. lekin kya aap jante hai aapke partner ke sath khusi ke chhote chhote lamhe aapki jindagi ko khusnuma kar dete hai. Isliye baat chhoti kyu na ho aapko aapke partner se judi har baat yad rehni chahiye.
Aur kuch khas moke par tohfe ke sath use aur khas banana chahiye. Aapke sathi ko ehsaas karvaye ki unke bina aapki jindgi kitni adhuri hai aur unke bina aap acchi jindgi ki kalpna bhi nahi kar sakte.
Tarif Karke Jataye Aapka Pyar
Jab bhi aapka patner kabhi bhi koi accha kaam karta hai to unki tarif jarur kare. Isse aapka rishta majboot banta hai. Tarif ka matlb yeh nahi hota ki aapne sirf bol diya. Aapke partner ko such mai aesa lagna chahiye ki aapko unka kam bahut pasand aaya hai. Tarif aapke sathi ko aur acche se kam ke liye protsahit karti hai sath hi uska aatmvishwas bhi badta hai.
Ghar Ke Kaam mai Patni Ki Madad Kare
Jab bhi aap ghar mai patni ki madad karvate hai iska matlb yeh nahi hai ki aap patni ke gulam hai. Jab sara din aap office se kam karke ghar loutte hai to aesi kai baate hoti hai jo aap apni patni ko batana chahenge.
To fir kya yahi wo samay hai jab thoda kam karte karte ek dusre ke sath aap kai bate kar sakte hai isse aapki najdikiya aur badegi aur dher sari bate aap dono ke bich hogi. Isse aap dono ke bich malejol badega.
Partner Ko De Samman
Shadi ka yeh khubsurat rishta jisme aap apni puri jindagi bitate hai. Iss rishte mai pyar ke sath samman ka hona bhi jaruri hai. Aur haa yeh samman dono taraf se hona aavyashak hai. Kyonki jab aap aapke patner ko samman dete hai wo aapko kai jyada samman dega. Ek dusre ke prati sammna ka hona iss bat ko ehsaas dilayega ki aapka sathi aapki jindgi mai kitna mahtvapuran hai. Isse aapka samman samaj mai bhi badega aur pura parivaar aapki bat ko sunega.
Upar aapne jana Tips for Happy Married Life. Isme diye gaye upayo ko apnakar aap apni shadi shuda jindagi ko khushal bana sakte hai.