Tobacco Effects in Hindi – Sharir Ke Liye Ghatak Hai Tambakhu

Pure vishv mai lakho carodo log tambakhu evam anya prakar ka nasha karte hai, jo shayad unhe ek mamuli baat lagti hai. Parantu aisa karke vah apne pariwar aur baccho ko dhokha dete hai. Desh mai prativarsh lakho log vibhinn prakar ke tambakhu yukt utpado ka sevan logo ko anek gambhir rogo ki chapet mai  le raha hai.

Tambakhu ek dhima zahar hai, jo iska sevan karne walevyakti ko dhire-dhire mout ke najdik le jata hai. Log jane – anjane mai isse bane utpado ka upyog karte hai, jo dhire-dhire lat mai parivartit ho jata hai aur tab nasha anand prapti ke liye nahi balki na chahte huye bhi kiya jata hai.

Tambakhu yukt utpado ka sevan log cigarette, bidi, gutkha, jarda, hukka, chilam aadi ke roop mai anek prakar se karte hai. Tambakhu banane wali companies use akarshak banana ke liye packaging tatha anya vigyapano ke roop mai naye-naye hathkande apnati hai. Sath hi yah nasheli dawa kis prakar humare sharir ke sath khilwaad karti hai, iss katu satya ko bhi dhyan hatati hai. Aaj hum aapko Tobacco Effects in Hindi, se sambandhit mahatvpurn jankari dene wale hai.

 

Tobacco Effects in Hindi: Jane Iske Nuksaan aur Upchar

 

 

Tobacco Causes: Jane Iska Karan

Tambakhu nicotiana tabacum namak poudhe ki pattiyo se banti hai jisme nicotine naam ka rasayanik padarth mojud rahta hai. Nicotine ka sevan karne wale log iske iske lati ho jate hai. Iski lat pad jane par isse sharir ke vibhinn ango mai cancer ka khatra bad jata hai. Sath hi dusri aur hriday rog tatha depression jaisi khatarnak bimariya bhi isse ho sakti hai.

Tambakhu ki lat ke kai karan ho sakte hai. Kabhi dusro ko dekha dekhi, kabhi buri sangat mai padkar, dosto ke dabav mai, kai baar kam umra mai khud ko bada dikhane ki chahat, kabhi dhuye ke challe udane ki adat, sath hi kabhi-kabhi pariwarik mahol aisa mil jane par bhi tambakhu utpado ki lat ka karan banta hai.

Aapne bhi adhiktar kam aayu mai logo ko dosto ke sath cigarette, gutkha ka shokiya roop se sevan karte dekha hoga. Lekin kab yah shok aadat, aur aadat se lat mai badal jata hai pata hi nahi chalta aur jab tak pata chalta hai tab tak sharir ko bahut nuksaan pahunch chukka hota hai.

 

You May Also Like:- How to Quit Smoking in Hindi: Dhumrapan Chhodne Ke Upay

 

 Harmful Effects of Tobacco: Jane Iske Dush-Prabhav

Tambakhu humari sehat ke liye kitni nuksaandeh hai yah to aap bhi jante honge. Agar nahi jante hai to aap bhi jane Harmful Effects of Tobacco

  1. Tambakhu ka atyadhik sevan anek prakar ke sharirik rogo ko janm deta hai. Isse hone wale pramukh rogo mai mukh, gala, shwasan nail, fefde aur sharir ke anya bhago ka cancer, hriday rog, asthma, ucch-raktchap, pat ka alsar, amlpitt, anidra aadi shamil hai. 15-20 saal tak iska niyamit sevan cancer ki sambhavna ko aur bhi bada deta hai.
  2. Agar koi mahila garbhavastha ke samay tambakhu ka sevan karti hai to yah garbhpaat aur asamanya baccho ke janm ka karan ban sakta hai.
  3. Yah mrityu ka bhi pramukh karan hai jise roka ja sakta hai. Har saal 5 lakh se adhik log tambakhu ke dush-prabhav ke karan apni jaan gawa baithte hai. HIV, malaria evam shayrog ko milakar bhi, tambakhu se marne wali ki sankhya adhik hai.
  4. Cigarette mai bhi tambakhu ka upyog kiya jata hai. Dhumrapaan karne wala vyakti apne vatavaran mai jo dhua chodta hai, usme 4000 rasayan mojud hote hai.
  5. Tambakhu mai nicotine, nitrosamine, banjo piercing, arsenic aur chromium aadi cancer paida karne wale pramukh tatv paye jate hai. Sath hi yah anya sharirik rogo ko janm bhi dete hai.
  6. Jab dhumrapaan na karne wale log bhi jab inn vastuo ke lati vyaktiyo ke dhuye ke sampark mai aate hai, to yah unki sehat ke liye bhi bahut khatarnak sabit hota hai.
  7. Tambakhu ke cancer rogiyo ko apne aahar mai avashyak sudhar karna chahiye. Unhe apne bhojan mai anti-oxidant yukt phalo aur sabjiyo ko prathmikta dena chahiye. Fiber yukt arthat reshedar aahar ka bhi paryapt matra mai sevan karna faydemand hota hai, taki aanto ki kriya ka sanchalan behtar dhang se ho sake. Aanto ke sucharu sanchalan ke karan hi sharir se nuksaandeh padarth mal dwara bahar nikal jate hai.

 

 

 How to Quit Tobacco: Tambakhu Chodne Ke Upay

 Bharat mai tambakhu ki paidawar ka 19 pratishat se bhi adhik khane ke kaam mai liya jata hai. Uttar Pradesh mai iski sarvadhik khapat gutkha ke roop mai ho rahi hai. Gutkhe mai “Gambier” hota hai, jo ek prakar ke cancer ko janm deta hai. Tambakhu mai kai prakar ke atyayant nuksaandeh padarth mile hote hai, jo mukh ke cancer aur anya prakar ke cancer ka karan bante hai. Aaiye jante hai How to Quite Tobacco

 

You May Also Like:- Throat Cancer in Hindi – Iske Karan aur Lakshano Ko Samjhe

     
  1. Ise chodne ke liye sabse pahle aapko Drad Sankalp lena hoga ki ab aap ise kabhi harth nahi lagayenge lekin yah itna aasan nahi hai. Iske liye aap tambakhu se hone wale dush-parinamo ko dhyan rakhe jo aapki ise chodne mai madad kar sakte hai. Sath hi apne atamvishvaas mai kami na aane de.
  2. Apni niyamit dincharya mai badlaw kare. Samay par sona, surya uday se purv uthna, subah-subah park jana, yoga aur pranayam ka pratidin abhyas karna tatha Healthy Diet banaye rakhe.
  3. Nashe ki aadato ko ek baar mai chodna mushkil hota hai isliye ise ekdum chodne ki bajaye shire-dhire karke chodne ka prayas karna chahiye. Sath hi apne mitro aur parichito ka sahyog le tatha nasha karne wale logo se dur rahe. Ek diary banaye aur usme like ki aap kam aur kitni matra mai nasha karte hai tatha iska karan kya hota hai.
  4. Pay padartho ka sevan adhik kare. sharab, cigarette, coffee, tatha mithi chijo aur adhik calorie wale padartho ka sevan na kare. Kam calorie yukt khadya padartho ko apnaye.
  5. Jab bhi tambakhu khane ka man kare to kuch anya chijo ka prayog kare tatha chikitsak se paramarsh lekar chusne wali nasha mukt dawao ka bhi istemal kare.
  6. Apne ghar mai tambakhu ya isse bane padartho ko bilkul na rakhe.
  7. Aapko apni soch mai bhi parivartan lana hoga, Bas aaj aur tambakhu kha lu, kal se bilkul chod dunga. Yah soch aapko kabhi isse mukt nahi kar payegi. Isliye kal ka intezar na karte huye aaj se shuruvaat kare.

 

Tambakhu Chodne Ke Gharelu Upchar

  1. Soof aur ajwaine ko 50gm ki matra mai lekar tave apra halka bhun le sath hi thoda nimbu ka ras evam halka kala namak bhi mila le. Iss mishran ko ekatra kar dabbe mai rakh le. Jab bhi aapko tambakhu ya cigarette ki talab lage to aap yah mishran ko muh mai rakhkar chuste rahe. Aisa karne se nashe ki talab kam hogi, ajirn, gas aadi mai bhi aaram milega.
  2. Sukhe amle ke tukde, elaychi, soof tatha harad ke tukde milakar apne pas rakh le. Jab bhi nasha karne ki talab lage to inn tukdo ko muh mai rakh le aur chabate rahe. Inse talab to kam hogi hi sath hi khatti Dakar, bhook na lagna tatha pet fulne ki samasya mai bhi aaram milega.
  3. Adrak aasani se sabhi gharo mai mil jata hai. Yah to aap bhi jante honge ki adrak kai guno se paripurn hota hai. Yah nasha chudane mai bhi bahut sahayak sabit hota hai. Adrak ke chote-chote tukde kar usme nimbu ka ras, kala namak mila le aur dhup mai sukha le. Acchi tarah sukh jane ke baad inke apne pas rakh le. Jab bhi dil mai gutkha khane ki iccha jahir ho to ise muh mai rakhkar chusna shuru kar de. Jaise hi iska ras laar mai ghulna shuru ho jayega aap dekhna iska chamatkari asar, agar aap ise niyamit karte rahe to aapko kabhi nasha karne ki talab uthegi hi nahi. Sath hi dhire-dhire nashe ki aadat bhi samapt ho jayegi.
  4. Choti harad, nimbu ka ras aur sendha namak milakar inhe 2 din ke liye aisa hi chod de. Phie ise nikalkar, shishi mai bharkar rakh le aur thodi –thodi der maim uh mai rakhkar chuste rahe.
  5. Halke gungune pani mai nimbu ka ras aur shahad milakar niyamit sevan kare, yah aapki nashe ki lat ko dur karne mai madad karega sath hi nashe ke vishakt padartho ko sharir se bahar nikalta hai.
  6. Tambakhu ko sungne ki aadat ko chodne ke liye garmi ke mausam mai kevada, gulab aadi ke itra ka foha kaano mai laga le.

Upper apne jana Tobacco Effects in Hindi, se sambandhit mahatvpurn jankariya jinhe samjh kar aur apna kar aap nashe ki aadato se mukti pa sakte hai. Nashe ki aadato ko chudane mai councilor ya chikitsak se bhi paramarsh bhi jarur lena chahiye tatha unke bataye gaye raste par chalkar aap iss lat se rahat bhi payenge aur punah ek samanya jivan bhi ji payenge.

Loading...

This website uses cookies.