Tanav aur Avsad rojmarra ki jindagi ka ek hissa ban gaya hai, aajkal har insan kahi na kahi iska shikar ho raha hai. Avsad ki samasya kisi bhi vyakti ko sakti hai, aajkal to bacche bhi iss samasya se grasit ho rahe hai.
Iske bahut galat parinaam dekhne ko milte hai jaise samuhik algav, kisi kaam mai man lagna, yaha tak ki kuch log avsad mai hone ke karan aatmahatya bhi kar lete hai.
Hamari jindagi mai kai aese karan hote hai jiske karan asantosh aur nirasha hona samanya baat hai. Parantu kai baar yeh depression aapke vyaktitva ka hissa ban jata hai aur vyakti bina kisi karanvash pareshan rehne lagta hai.
Hum sabhi ke jeevan mai utar chadav aate hai kai baar vyakti safal hone par khush hota hai tatha asafal hone par dukhi ho jata hai. Yadi vyakti mai dukh lagatar bana rahe aur use koi sambhalne wala na ho to wah avsad mai chala jata hai. Avsad kai tarah ke ho sakte hai, aaiye vistar se jante hai Types of Depression in Hindi.
Pehchaniye Types of Depression in Hindi aur Rahe Sachet
Mild Depression – Halka Tanav
- Aamtour par mild depression har kisi ko hota hai aur yeh kuch samay ke liye hota hai. Iska prabhav keval 1 se 2 din tak rehta hai.
- Iss tarah ka depression aksar baccho mai hota hai, jab unke pariksha mai number kam aate hai ya fir unhe kisi ne dhoka diya hota hai.
- Jis bhi vyakti ko halka tanav rehta hai uski dincharya mai kisi tarah ka koi badlav nahi aata hai, parantu wo koi bhi kaam dilchaspi lekar nahi karta hai.
Major Depression
- Iss tarah ka depression vyakti mai karib 1 se 2 mahine tak rehta hai.
- Major Depressive Disorder vyakti ko tab hota hai, jaise vyakti kisi se prem karta hai aur samne wale ki taraf se uski asvikrati ho jati hai.
- Kisi mahatvapurn vyakti ki mritu hone par bhi vyakti iss samasya ka shikar ho jata hai. Tatha yeh depression din par din badta chala jata hai.
Dysthymia
- Dysthymia wo avstha hoti hai jab vyakti ek hi baat ko lekar kam se kam 1 se 2 saal tak pidit rehta hai.
- Iss tarah ke avsad mai minor tatha major dono tarah ka depression shamil hote hai tatha. Ise double depression bhi kaha jata hai.
Seasonal Affective Disorder
- Seasonal Affective Disorder (SAD) depression ek vishesh parakar ka avsad hota hai jo vyakti mai mousam ke badalne ke karan paida hota hai.
- Jab bahut jyada barish ya patjhad ka mousam hota hai to isse pidit vyakti mai avsad ki samasya hone lag jati hai.
- Kuch logo mai mahine ko lekar bhi depression hota hai jaise wo kisi se bahut pyar karta hai aur uski mritu march mahine mai ho gai hai to har saal pura march mahina unka depression se nikalta hai.
Bipolar Depression
- Ise samanya bhasha mai mijaaz bhi kaha jata hai, bipolar depression se pidit vyakti ka mood achanak se badatla hai.
- Kabhi vyakti bahut khush aur kuch hi der mai bahut udas ho jata hai. Yeh avsad major depression ya dysthymia jitna sadharan nahi hota hai.
- Bipolar depression se pidit vyakti ka vyavahar achanak se badal jata hai aur isse pidit vyakti kisi ke sath bhi sambandho ko jyada samay tak nahi rakh pata hai.
Postpartum Depression
- Postpartum avsad nai maa mai jyada dekhne ko milte hai kyonki bacche ko janm dene ke baad uske andar kai tarah ke badlav aate hai.
- Iss tarah ka avsad prasav ke bad karib 10 se 15 % mahilao mai dekhne ko milta hai aur mahilaye postpartum avsad ka anubhav karti hai.
- Postpartum Signs of Depression ki baat kare to isme nai maa mai kai lakshan dekhne ko milte hai jaise chidchidapan, bar bar rona, udas hona aadi.
Psychotic Depression- Mansik Avsad
- Psychotic depression bahut kam logo mai dekhne ko milta hai tatha isse paidi vyakti ki sochne samjhne ki shakti khatam ho jati hai.
- Aatmahatya karne wale jyadatar bacche iss samasya ke shikar rehte hai aur unke man mai apradhbodh mojud hota hai.
- Vyakti mai iss tarah ke avsad hone ka karan anuvanshik tatha manosamajik hote hai. Yadi koi vyakti nirashavaadi baate karta hai to usse turant doctor ke pass le jaye.
Melancholic Depression- Nirashajank Avsad
- Melancholic depression mansik swasth ke karan hota hai jisme vyakti bahut jaldi udas tatha nirashavadi ho jata hai.
- Iss samasya se pidit vyakti ke jeevan ke kai shetra jaise kaam, school, rishta aadi par iska prabhav padta hai.
- Iska asar vyakti ke mood, vyavhar, sharirik gatividhi aadi par padta hai.
- Jo bhi vyakti MOD ka shikar hota hota hai wo apni dincharya ke kisi bhi kaam mai koi dilchaspi nahi leta hai aur uska pura din udasi mai vyatit hota hai.
Upar aapne jana Types of Depression in Hindi. Aajkal iske kai mamle dekhne ko mil rahe hai aur yeh bahut teji se bad rahe hai. Isliye behtar hai ki aap ise acche se samjhe aur apne pariwar ka khayal rakhe.