Medical Sonography (Ultrasonography) ek ultrasound aadharit imaging taknik hoti hai, jiske istemal kar manav sharir ke andar ki mashpeshiya aur kai ango ko dekha ja sakta hai. Lekin bahut si garbhvati mahilao ko is bare me sahi se jankari nahi hoti. To chaliye hum aapko Ultrasounds during Pregnancy ke bare me batate hai.
Pregnancy ke samay me Ultrasound karvane se aapke embryo ki sari harkate saaf ptaa chal jati hai. Halaki abhi is baat par expert research kar rahe hai ki, ultrasound ki kirane shishu ke liye acchi hoti hai ya nahi.
Ek theek prakaar se kiya gaya ultrasound garbh ke andar ki sari jankari ka khulasa karta hai. Pregnancy ke samay ultrasound bahut jaruri hota hai aur khaskar unn mahilao ke liye sabse jyada jaruri mana jata hai, jo garbhavastha ke doran pareshani se ghiri hui ho.
Ultrasounds during Pregnancy: Sonography Dwara Garbh ki Jaankari
Dead Fetus
• Pahle Ultrasound jo kiya jata hai. Vah keval heart beat aur embryo ko dekhne ke liye kiya jata tha.
• Baby ki heart beat ki rate prati minutes ke anusar measure ki jati hai. Isse sunishchit kiya jata hai, ki aapka baccha swasth hai ki nahi.
You may also like: Precautions During Pregnancy in Hindi: Garbhavastha Savdhani
Fetal Position
• Ultrasound Scan during Pregnancy ki baat kare to isse ye pata chalta hai ki embryo sahi tarike se bad raha hai ki nahi.
• Uski vraddhi me koi kami to nahi hai.
Position of the Placenta
• Ultrasound scanning placenta ki isthiti ptaa lagane ke liye excellent choice hai.
• Garbhavastha ke douran placenta garbhashaya ke kisi bhi bhaag par ho sakta hai.
Down Syndrome
• Garbhavastha ke 11 se 14 week me liya gaya scanning ye dekhne ke liye hota hai ki, kahi bacche ko down syndrome hone ka khatra to nahi hai.
• Saath hi naak ki haddi aur bacche ki gardan ke picche vali twacha ki motai ko bhi maapa jata hai.
Birth Defects
• 18 se 20 week ke beech me kiya gaya ultrasound scanning aamtor par yeh dekhne ke liye kiya jata hai ki, kahi bacche me koi birth defects to nahi hai. Saath hi 20 week ke baad bacche ka ling bhi clear dikh raha hai ki nahi.
• Embryonic Structures ka vikas jese rid ki haddi, sharir ke aang, mastishk aur aantrik ango ke checkup ke liye kiya jata hai.
Is article me aapne jane Ultrasounds during Pregnancy. Jo ki garbhavastha me garbhavati mahilao ke swasth rahne ka raaz hai.
Get more updates about Pregnancy from Diet And Fitness.