Vajra ka matlab hota hai kathor (Solid) athwa majboot. Iss asana ko karne se humare pair, khaas kar thigh ka hissa majboot aur sharirn sthir hone ke karan iss asana ko vajrasana kaha jata hai. Aaiye jante hai Vajrasana Benefits in Hindi.
Iss asana ko Diamond Pose ke naam se bhi jana jata hai aur isse din mai kabhi bhi kar sakte hai. Yeh akela asana hai jo khane ke turant baad bhi kar sakte hai. Iss asana ko karne se pachan sambandhi saari samasya khatam ho jati hai.
Aajkal pachan se judi samasya jese kabj, gas, motapa ityadi ka praman kafi jyada bad gaya hai. Shayad hi aisa koi ghar ho jinme inn samasya se pidit vyakti na mile. Inn sabhi pachan ki samasyao se hum yoga ki madad se aasani se chutkara prapt kar sakte hai.
Jinn logo ko pith mai aur kamar mai pida rehti hai unke liye vajrasana bahut hi laabhprad yoga hai. Dhyan mudra ke liye bhi yeh bahut hi faydemand hai kyuki isse merudand sidha hota hai aur sharir ka uppari bhaag relax mahsoos karta hai.
You may also like:- Padmasana Benefits: Yoga ko Karne ke Steps aur Laabh
Vajrasana Benefits in Hindi: Janiye Iss Asana ke Bahumulya Fayde
- Vajrasana sharir ko sudol banata hai.
- Vajan kam karne mai madadgar hai.
- Mahilao mai masik dharm ki aniyamitata dur hoti hai.
- Ridh ki haddi majboot hoti hai.
- Mann ki chanchalta ko dur kar ekagrata badata hai.
- Apachan, gas, kabj ityadi vikaaro ko dur karta hai.
- Pachan shakti badata hai.
- Yeh prajann pranali ko sashakt banata hai.
- Sciatica se pidit vyaktiyo mai laabhprad hai.
- Iss asana ko niyamit karne se ghutno mai dard, varicose veins, gathiya hone se bacha ja sakta hai.
- Pairo ke mashpeshiyo se judi samasyaye mai yeh asana madadgar hai.
- Iss asana mai lambi gehri saans lene se faifade majboot hote hai.
- Vajrasana se hips, kamar aur thigh par jami huyi unchahi charbi kam ho jati hai.
- Vajrasana Benefits mai sabse bahumulya fayda raktchap ke liye hai. Isse ucch raktchap kam hota hai.
Vajrasana Yoga Steps: Janiye Iss Asana ko Karne ki Sahi Vidhi
1) Bhojan karne ke 5 minutes baad ek saman, sapat aur swacch jagah par kambal ya anya koi asana bhichaye.
2) Dono pair saamne ki taraf failakar baith jaye.
3) Iske baad right pair ka ghutne ko modkar iss tarh baithe ki pairo ke panje piche aur uppar ki aur ho jaye.
4) Ab left pair ka ghutna iss tarah modkar baithe ke pairo ke panje piche aur upar kin aur ho jaye aur hips dono ankle ke bich aa jaye.
5) Dono pair ke anguthe ek dusre se milakar rakhe.
6) Dono aidiyo mai antar banakar rakhe.
7) Sharir ko sidha rakhe.
8) Apne dono haato ko ghutne par rakhe.
9) Dhire-shire sharir ko dhila chode.
10) Aankhe ban kar ke rakhe.
11) Dhire-dhire lambi gehri saans le aur chode.
12) Iss asana ko aap jab tak aaram dayak mahsoos kare tab tak kar sakte hai. Shuruaat mai kewal 2 se 5 minutes tak hi isse kare.
Upar aapne jane Vajrasana Benefits in Hindi. To agar aap bhi kabj aur motape ki samasya se pareshan hai to kijiye iss yogasana ko aur rahiye swasth
See more details of Yogasana from Diet and Fitness.