Diet for Viral Fever in Hindi – Bukhar Hone Par Le Yeh Aahar

Viral fever (mosmi bukhar) aajkal ek bahut hi aam samasya ho gayi hai jo kai logo ko prabhavit karti hai. Vaise to yeh har umra ke logo ko hota hai lekin bacche aur bujurg iski chapet mai jaldi aa jate hai. Viral fever mai sharir ka tapman bahut adhik badh jata hai. Viral fever, viral sankraman ke karan hota hai.

Jin logo ko yeh bukhar aata hai, unke sharir ka tapman badhne ke alawa unko aur bhi kai samasyae aati hai. Jaise isme sharir mai dard hota hai, twacha mai rash aane lagte hai aur sirdard hone lagta hai.

Rojana kai sare microorganisms (shushmjiv) jaise bacteria, viruses, fungi aadi hamare sharir mai pravesh karte hai. Hamare sharir ka rog pratirodhak tantra inse ladta hai aur inhe sharir se nikal deta hai. Lekin kai bar yadi hamara immunity system weak ho to wo inse nahi lad pata.

Jab aapka sharir harmful virus se nahi lad pata to isse aapke sharir mai infection ho jate hai aur parinam swarup aap viral fever jaisi samasyao se grast ho jate ha. Yadi aapko mosmi bukhar hai to aapko apne khane pine mai bahut savdhani baratni hogi. Aaiye jante hai Diet for Viral Fever in Hindi.
 

Diet for Viral Fever in Hindi: Bukhar Se Ladne mai Madad Kare

 

 
Aapko mosami bukhar hone par aesa khadya padartho ka sevan karna chahiye jisse aapka immunity system badhe sath hi sath sharir ko bukhar se ladne ki takat bhi mile. Aaiye jante hai aese aaharo ke bare mai:-
 


Bukhar mai Kaunse Aahar le Kaunse Aahar Na le
Phal Red Meat
Tulsi ki Pattiya Tikha Khana
Mung Kichdi Junk Food
Santre Ka Ras Sharab
Tomato Soup Ice-cream

 

Adrak Ki Chai

  • Viral fever mai adrak ki chai banakar peena chahiye. Deen mai do cup chai se aapke shair mai energy bani rahegi.
  • Yadi aapko jukham ho gaya hai to adrak ki chai aapko isme bhi aaram pahuchayegi.
  • Adrak mai antibacterial gun hote hai jo ki bacteria se ladne mai madad karte hai.

 

Daliya

  • Bukhar mai yadi aap sabji roti khate hai to yeh accha nahi hai. Roti se bukhar aur badhta hai aur sabji mai moujud tel mirchi se gale mai problem hoti hai.
  • Isliye bukhar mai daliya ka sevan karne se aapka pet bhi bhar jata hai aur yeh aasani se pach bhi jata hai.
  • Daliya khanse se immunity system majboot banta hai aur sath hi sath aapko urja bhi milti hai.

 

Kishmish

  • Viral fever aane par muh mai kadwapan aa jata hai aur aapko kuch bhi accha ni lagta hai.
  • Kishmish khane se aapke muh ka swad accha hota hai aur aapko takat bhi milti hai. Aap ise tave par sek kar bhi kha sakte hai.
  • Isme antioxidant ki acchi matra jisse sharir mai sankraman badhta nahi hai.

 

Khub Sara Pani Piye

  • Bukhar aane par pani accha nahi lagta. Isliye bahut kam log iss samay bharpur pani pite hai. Isse dehydration ki samasya ho jati hai.
  • Bukhar ke bacteria ko sharir se nikalne ke liye pani pina jaruri hai. Isliye bharpur pani piye. Sath hi Viral Fever Duration tak pani ko peene se pehle ise ubalna na bhule.
  • Bukhar ke wakt pani bhi bahut faydemand hota hai. Aap chahe to santre ka taja taja juice pee sakte hai.

 

Probiotics Yukt Bhojan

  • Aapko apne aahar mai probiotic jaise aahar bhi shamil karna chahiye. Kyoki yeh aapke sharir ke tapman ko niyantran karne mai madad karte hai.

 

Anya Baate Inhe Bhi Janiye

  1. Mosmi bukhar ke douran kacchi sabjiya salad ke roop mai khane se bache aur inhe pakakar hi khaye.
  2. Tulsi ki pattiyo ko garam pani mai ubal kar banaya gaya kadha bhi faydemand hota hai. Yeh prabhavi Viral Fever Remedies mai se ek hai.
  3. Yadi aapko khasi nahi ho rahi hai to aap taje angur ka juice bhi pee sakte hai.
  4. Agar breakfast mai aapko kuch khane ka dil nahi kar raha hai to aap 7 se 8 bhigi hui badam kha le. Isse aapka pet bhi bhara hua rahega aur aapko takat bhi milegi.
  5. Viral Fever ke douran heavy khana nahi khaye. Aap daliya, khichdi ya ankurit moat aadi raat ke khane mai le sakte hai.
  6. Dophar ke bhojan ke liye kele, chiku ya fir soup le sakte hai.
  7. Isse sharir mai taravat aati hai aur sharir ko urja milti hai.

 
Upar aapne jana Diet for Viral Fever in Hindi. Uprokt aahar ka sevan aapko bukhar se nikalne mai madad karta hai. Iske sath hi apne hatho ko bar bar dhote rahe. Sath hi sath ek baat ka hamesha dhyan rakhe ki aapko bheed bhari jagaho par nahi jana hai. Aur yadi jana bhi pade to apne sath hamesha saaf rumal rakhe, jiska prayog chhikte, khaste wakt kare.

Loading...

This website uses cookies.