Antioxidant Rich Food in Hindi: Aapko Hamesha Swasth Rakhe

Antioxidant se bharpur aahar mai aese tatva hote hai jo sharir ko prakratik tarike se detox karne karne ka kaam karte hai. Kyonki kai bar sharir mai moujud free radicals aur molecules sharir ko hani pahuchate hai. Antioxidant yukt aahar ka sevan karne se aap kai tarah ki bimariyo se bach sakte hai.

Antioxidant food, vitamin, mineral, poshak tatvo tatha kai tarah ke khanij padartho se bharpur hota hai. Jab aap inn tatvo ka sevan karte hai to aap urjavan rehte hai tatha sharir ki rog pratirodhak kshamta badhti hai. Iske alawa yeh aapke sharir par charbi ko nahi jamne dete hai.

Isliye antioxidant aahar ko apni dincharya mai jarur shamil kare. Inka sevan karne se aapki twacha glow karti hai tatha aapki khubsurti aur bhi badne lagti hai. Iss article ke madhyam se hum aapko Antioxidant Rich Food in Hindi, bata rahe hai taki inka sevan karke aap bhi swasth rahe.
 

Antioxidant Rich Food in Hindi: Aapko Urjavan Banaye

 
antioxidant-rich-food-in-hindi
 

Rajma Ka Sevan Kare

Rajma mai antioxidant bharpur matra mai hota hai. Isliye jab bhi antioxidant aahar ki baat ki jaye to rajma ka naam jarur liya jata hai. Lal rajma mai kisi aur anya khadya padarth ki tulna mai adhik antioxidant hote hai.

Iske alawa rajma mai flavonoid paya jata hai jo dil se judi bimari ko hone se rokta hai tatha cancer koshikao ko badne se rokta hai. Yadi aap iska rojana sevan karoge to yeh aapke liye bahut faydemand hoga.
 

Lal Tamatar Rakhe Aapke Swasth Ka Khayal

Adhiktar hum tamatar ko sabji ka swad badane ke liye upyog karte hai kyonki yeh swadisht hote hai. Lekin kya aap jante hai tamatar na keval aapke khane ka swad badate hai balki isme uchit matra mai antioxidant tatva hote hai.

  • Yeh cancer ki bimari hone ki sambhavna ko kam karte hai.
  • Lycopene antioxidant ke karan hriday rog ke hone ki sambhavna 30% kam ho jati hai.
  • Tamatar mai vitamin A, vitamin C aur sabse jyada shaktishali antioxidant lycopene hota hai.

 

Chukandar Sharir Ke Liye Faydemand

Chukandar ko aap salad ke sath ya iska juice bana kar bhi pee sakte hai. Iska sevan karne se khun saaf hota hai sath hi blood cells ko badane mai bhi yeh sahayak hota hai. Yeh bhi antioxidant se bharpur hote hai jisse aapki twacha glow karti hai.

  • Iska sevan karne se sharir mai khun ki matra badti aur rakt sanchar bhi badta hai.
  • Chukandar mai vitamin, mineral aur protein hote hai jo sharir ko swasth banaye rakhte hai.
  • Chukandar ko apne aahar mai shamil karna na bhule yeh aapko kai tarah ki bimariyo se bachata hai.

 

Lahsun Ka Sevan Kare

Lahsun ka sevan to aushdhi ke rup mai bhi kiya jata hai kyonki isme kai aese tatva hote hai jo sharir ko swasth rakhne tatha bimariyo se dur rakhne mai madad karte hai. Kai logo ko lehsun ka swad aacha lagta hai aur kai logo ko bilkul pasand nahi aata, lekin iska sevan karna sabhi ke liye faydemand hai, kyoki yeh bhi best antioxidant hai.

  • Lahsun mai moujud selenium, iron, aur zinc ucch raktchap ko niyantrit karne mai sahayak hote hai.
  • Jab aap iska sevan karte hai to iske gun cholesterol ke star ko banaye rakhne ka kam karte hai.
  • Lahsun mai kai antioxidant tatva jaise vitamin A, vitamin B aur vitamin C acchi matra mai hote hai.

 

List of Antioxidants Food 

 

Antioxidant Tatva Aahar
Vitamin A Lahsun, Tamatar
Vitamin C  Santre, Kiwi
Vitamin E  Soybean, Hari sabjiya
B- Carotene  Santre, Gajar
Polyphenolic Green tea, Coffee

               
 
 

Jane Antioxidant Se Bharpur Kuch Phalo Ke Bare Mai:-

Seb mai phyto-nutrients, flavonoids and polypheolics antioxidant tatva hote hai jo sharir ki grast koshikao ka punh nirman mai sahyak hote hai.

Santra ka swad khatta aur mitha dono hota hai tatha isme vitamin A, C flavonoids and beta- carotene hota hai jo sharir se vishele padartho ko bahar nikalte hai.

Anar khane mai swadhist hone ke sath sath isme antioxidant tatva bharpur hote hai, jo aapke pachan tantra ko sudharne mai sahayak hote hai. Yeh sharir ke liye bahut hi faydemand Antioxidant Fruits mai se ek hai.

Kiwi mai bhi uchit matra mai antioxidant tatva hote hai jaise vitamin C jo aapke sharir ke liye bahut faydemand hote hai. Iska sevan karne se sharir ko bharpur matra mai urja milti hai.
 

Upar aapne jana Antioxidant Rich Food in Hindi. Uprokat di hui jankari mai aapko bataya gaya hai ki antioxidant food ko khane se aap kai bimariyo se bach sakte hai tatha bataye gaye aahar ko khane se aap hamesha swasth bane rahenge.

Loading...

You may also like...