Har ladki khubsurat dikhna chahti hai. Khubsurat dikhne ke liye aapko internet par dhero articles bhi mil jayenge. Koi aapko chehre par haldi ka ubtan lagane ki salah dega to koi namak shakkar aur nimbu ke mishran se scrub karne ki salah denge.
Lekin aajkal ki bhagdour bhari jindagi mai kisi ke paas itna wakt nahi hai ki wo inn upcahro ko apnaye. Darahsal gharelu upcharo ka result milne mai kaafi wakt lagta hai. Aur ise niyamit roop se kiya jana bhi jaruri hai.
Aapko ek din mai hi apne friend ki shadi mai jana hai. To aap gharelu upcharo ke asar hone tak nahi ruk sakte. Aese mai aapke chehre par glow lane mai koi chiz madad kar sakti hai to wo hai facial. Facial ke aap kisi bhi acchi company ka prodcuts chhun sakti hai.
Jis din aapko kisi shadi ya anya funtion mai jana ho uske ek ya do din pehle facial kar le. Kyoki chehre par acchi tarah se nikhar aane mai ise do din lagte hai. Darahsal facial karne se aapke chehre ki twacha mai rakt ka sanchar acche se hota hai. Isliye chehra nikharne lagta hai. Aaiye vistar se jante hai Vlcc Facial Tips in Hindi.
Vlcc Facial Tips in Hindi: Diamond aur Gold Se Paye Damakti Twacha
Vaise to aapkp market mai kai tarah ke facail kit milenge lekin aaj ham aapko vlcc facial ke istemal ke bare mai batayenge. Vlcc Facial Kit ek aesa product hai jo aapke chehre ko behtarin nikhar bhi dega aur yeh bahut jyada costly bhi nahi hai. Acche brand ka hone ke karan aapko iski quality ko lekar bhi chinta nahi rahegi.
VlCC Gold Facial – Paye Sone Sa Nikhar
Jab bhi kisi ki shadi ya family function ho tab ladkiya gold facial karna jyada pasand karti hai. Gold aapke chehre ko accha glow deta hai. To aaiye jane Vlcc Gold Facial Kit se apne chehre ko nikharne ka tarika
Ise Kyu Chune?
Vlcc ka gold facial mai 24 carat pure gold ingredients hote hai. Yeh aapke chehre ko prakrtatik chamak aur nikhar deta hai. Yeh chehre ko lachila banaye rakhne ke sath sath twacha ko mulayam bhi banata hai.
Kaise Istemal Kare
Kisi bhi facial ko karne se pehle bleach karna bahut faydemand hota hai. Yeh aapke facial ke nikhar ko doguna kar deta hai. Facial karne se sabse pehle to ane baalo ko bandh le taki aapke chehre par baal na aaye aur aap acche se apne facial ki process ko pura kar sake.
You May Also Like:- Ghar Par Banaiye Chocolate Facial aur Dikhiye Sundar
Pehli Step: Vlcc Gold Scrub Ke Sath
Mukhya Samgri:
Iss facial pack mai aloevera ka ark, chandan, kishmish, hadli ke sath sath triclosan, dimenthicone, xanthan gum paya jata hai.
Vidhi:
Vaise to vlcc facial kit ke sath vlcc insta gold bleach free milta hai. Lekin yadi uske sath free naa bhi mile to aap alag se ise purchase kar sakte hai.
Vlcc ke gold crub mai aapko pile narangi rang ka scrub milega. Yeh scrub ke particles bahut chote hai taki isse aapke chehre ko jyada nuksan na ho. Yeh bahut hi asani se bina aapke twacha ko nuksan pahuchaye dead cells ko nikalti hai. Sensitive skin type ke liye bhi yeh facial bahut accha hai.
Apne hatho mai scrub ko lekar 3-5 minute ke liye gently maasage kare. Massage karne ke liye apni ungliyo ki sahayata le. Fir apne chehre ko pani se dho le. Ek naram kapde ki madad se chehre ko poche.
Yadi aapko lagta hai ki scrub ki quantity bahut jyada hai to yeh jaruri nahi hai ki puri matra ka hi istemal kiya jaye aap chahe to us kit ko app do baar me bhi istemal kar sakte hai.
Dusri Step: Vlcc Gold Peel Off Mask
Mukhya Samgri:
Aloevera ka ark, chandan, nimbu ka satva, haldi aur Triclosan
Vidhi:
Yeh peel off mask ko scrub ke baad istemal karna hota hai. Yeh ek gadha peela rang ka mask hota hai. Yeh mask ko aap do bar mai istemal nahi kar sakte hai kyonki yeh bahut hi kam matra mai aata hai. Yeh mask aapko thoda burning sensation deta hai. Aapko iss face packo ko takriban 15-20 minute tak rakhna hai taki yehb acche se sukh jaye.
Tisri Step: Vlcc Gold Jel
Mukhya Samgri:
Hladi ka ark, galnut, chandan, sone ki pattiya ko ark aur allantoin
Vidhi:
Isme ek bahut hi mulyam aur transparent jel hota hai. Jab aap iss jel ko lagaenge aapko bahut hi acchi feeling aayegi. Gel aapke chehre ko acche se moisturize karte hai. Aapko aesa lagega ki aap apne chehre par aloe vera jel laga rahe ho. Aapko iss jel se 5-7 minute ke liye halke hatho se pure chehre par massage karna hai.
Uske bad towel lijiye aur use bhigakar gila kar dijiye. Fir gile towel ki madad se aasani se apne chehre ko saaf kare. Iss jel se massage karne par aapki twacha mulayam hoti hai aur iss par chamak aati hai. Massage karte wakt aapko isse massage tab tak karna hai jab tak yeh chehre par acchi tarah se absorb na ho jaye.
Chouthi Step: Vlcc Gold Cream
Mukhya Samgri:
Akhrot ka ark. Gulab ki pattiya, haldi, chandan, gold oxide, Dimethicone, Vit E and Vit C.
Vidhi:
Vlcc gold cream bahut hi gadha hota hai. Aapko isse bhi apne chehre par massage karna hota hai. Agar samay ki baat kare to aapko takriban 10 minute tak isse massge karna hai. Sabse pehle to apne hatho par thoda pani lijiye. Aur usme iss cream ko milakar apne chehre par 5 minute tak massgae kijiye. Aap pani ki jagah gulab jal ka istemal bhi kar sakte hai. Yeh aap do bar bhi ismtemal kar sakte hai. Iss cream se massage karne ke baad cream ko acche se wipe kar le aur chehre ko acche se sukha le.
Upar di gayi prakariya ko pura karne ke liye aapko kam se kam 2 ghante lagte hai. Aapko aapki twacha kaafi mulayam aur smooth mehsus hogi. Isse aapki twacha chamakdar lagne lagegi. Damakti twacha pane ka yeh ek accha upay hai. Isse aapko 2-3 dino mai hi glowing skin milegi wo bhi budget mai.
Vlcc Diamond Facial Kit – Apne Chehre Par Paye Hire Ki Chamak
Yadi kisi skin dul ho to unke liye gold facial ki jagah diamond facial karna accha hoga. Yeh aapki skin ko purify aur rejunate karta hai. Vlcc Diamond Facial kit ke 4 main ingredints hai diamond scrub, diamond detox lotion, diamond massage jel aur diamond wash off mask. Yeh facial har tarah ki twcha ke liye accha hai. Yeh facial aapki twacha ko andar se saaf karta hai, dhul mitti hatata hai aur aapke chehre ko diamond ke ark se polish karke behtarin nikhar deta hai.
You May Also Like:- Shahnaz Husain Gold Facial: Aapki Skin ko de Gold Ka Ehsaas
Mukhya Ingredients:-
VLCC Diamond Scrub: Dicaprylyl Carbonate, Di-isostearyl Malate, Vitamin E, Jojoba ka tel, Diamond Oxide (Diamond Bhasma).
VLCC Diamond Detox Lotion: Zinc Oxide, Jaitun katel, Magnesium Sulfate, Jaitun ke patte ka ras, Bisabolol Extract, Diamond Oxide (Diamond Bhasma).
VLCC Diamond Massage Gel: Glycerin, Vitamin E, Liquorice Extract, Aloevera Extract, Diamond Oxide (Diamond Bhasma).
VLCC Diamond Wash-off Mask: Vitamin E, Orange Peel Extract, Diamond Oxide, Glycerin, Silicon Blend, Pullulan.
Istemal Ka Tarika
Sabse pehle diamond scrub ki madad se 15-20 minute ke liye apni twacha par scrubbing kare. Yeh aapki twacha se dead cells hata deta hai taki skin ke pores khul jaye aur acche se saas le. Iske bad vlcc diamond detox lotion ki acche se apne chehre aur gardan par laga de. Yeh aapki skin ki suntanning ko khatam karta hai aur skin ko helathy banata hai.
Iske bad aloevera aur diamond bhasma jaisi chizo se bana massage jel se massage kare. Yeh jel aapki twacha ko thandak pahuchata hai. Isse aapki twahca lachili banti hai. Yeh pradushan aur badhti umra ke dushprabhavo ko bhi kam karta hai. Kam se kam 20 minute tak ke liye massage kare.
Aakhri bari hai diamond wash off mask ki. Aapki facial ki vidhi ko pura karne ke liye yeh bahut hi jaruri hai. Yeh mask aapki skin ko nourish karta hai, moisturize karta hai aur aapki twacha ko even tone banata hai.
To upar aapne jana Vlcc Facial Tips in Hindi. Jiske andar aapne iske gold aur diamond facial ko lagane ke tarike aur iske faydo ko jana. To jab bhi aapko kisi party ya function mai jana ho aur aapko instant glow chahiye to upar diye gaye facials ko try jarur kijiyega.