Waterproof Makeup Tips in Hindi – Barish Ke Dino Ke Liye Khas

Khubsurat dikhne ke liye har ladki makeup ka istemaal karti hai, lekin barish aur garmi ke mousam mai pani aur pasine ke karan makeup jaldi hat jata hai. Iss pareshani ke chalte aajkal bajar mai waterproof makeup aane lage hai jo pani se hatate nahi hai.

Inn sondarya utpado ke andar aese tatva dale gaye hai jo twacha ke romchiddra ko band kar dete hai, jiske chalte pasine se aapka makeup nahi behta. Iski sabse badi khasiyat yeh bhi hai ki jab aap chai, coffee ya pani pite hai tab bhi aapka makeup kharab nahi hota hai.

Jab aap inn utpado ko twacha par lagate hai inhe waterproof karne ki jarurat nahi padti, kyuki pehle se hi inme waterproof tatva hote hai aur waterproof makeup bajar mai aasani se mil jate hai. Inhe chehre par sahi tarike se lagane ke liye jane Waterproof Makeup Tips in Hindi.
 

Waterproof Makeup Tips in Hindi: Khubsurati Banaye Rakhe

 

 

Lagaye Waterproof Foundation

Foundation lagane ke liye sabse pehle aapki twacha ke anusaar foundation ka chunav kare, kyoki har ek vyakti ki twacha alag hoti hai jaise kisi ki sadharan, kisi ki teliya ya rukhi hoti hai.

Iske bad yeh dekhe ki aapki kis tarah ka foundation lena chahti hai, kyoki bajar kai tarah ke foundation uplabdh  hai jaise liquid, powder ya fir minerals wale aadi. Foundation ka  jab bhi chunav kare dekhe ki twacha ke tone se milta julta hai.

Waterproof Makeup Foundation ko thoda sa hatho mai le aur pure chehre aur gardan par acche se laga le. Parantu iske sath dhyan rakhe aap din mai bahar ja rahi hai to kam se  kam SPF 15 wala foundation laga ke nikle.
 

Waterproof Compact Powder

  • Foundation lagane ke bad foundation ko touchup dene ke liye waterproof compact powder ka istemal kare.
  • Isko lagane ke liye diye gaye sponge se pure gardan aur chehre par acche se lagaye taki foundation chehre par set ho jaye.
  • Compact twacha se foundation ki jyada chamak ko absorb kar leta hai aur aapko natural glowing twacha milti hai.
  • Isse aapki twacha chikni aur chamakdar bhi dikhti hai.

 

Palko Ke Liye Mascara

Foundation aur compact lagane ke bad aankho ko sundar banane ke liye uss par makeup kiya jata hai. Iske liye bajar se Waterproof Mascara ko kharide aur aankho ki palko par ise lagaye.

  • Waterproof mascara ko lagane ka fayda yeh hai ki barish mai bhi yeh aankho ke aaspass nahi failta.
  • Jab bhi aap waterproof mascara kharide dhyan rakhe ki wo kisi acche brand ka ho taaki aapki aankhe bhi surakshit rahe aur khubsurat bhi dikhe.
  • Ise lagate samay palko ko hamesha niche se upar ki taraf mode taaki aapki aankhe badi aur khubsurat dikhe kyoki badi aankhe hamesha acchi lagti hai.

 

Lagaye Waterproof Kajal

Kajal makeup ka sabse mahtavpuran hissa hai, bina kajal ke aapka makeup adhura sa lagta hai. Aur bina kajal lagaye ladkiya ghar se bahar kadam rakhna bhi pasand nahi karti.

  • Kajal lagane ke bad aankhe badi aur chamakdar lagti hai.
  • Sirf kajal lagane se hi aapke look mai kaafi antar dikhne lagta hai.
  • Ise lagane mai 1 minute se bhi kam ka samay lagta hai.

 
Lekin jab bhi aap kajal lagaye hamesha waterproof kajal lagaye kyoki jab bhi aap ghar se bahar nikalte hai hawa ke karan aankho se aansu nikalte hai jisse kajal puri tarah fail jata hai.

Blush Lagakar Paye Gulabi Gaal

Jab bhi aap Waterproof Blush ka chunav kare sabse pehle dekhe ki wo ek acchi company ka ho taaki aapka makeup aapki khubsurati do guna bada de.

  • Aapke gaalo ko gulabi nikhaar dene ke liye pink blush ko lagaye Isse aapke chehre ki chamak aur bhi bad jayegi.
  • Ise lagane ke liye brush ki sahayata se gaalo ke charo taraf acche se faila le.
  • Dhyan rakhe ise lagate samay kahi jyada kahi kam blush na dikhe nahi to yeh aapke makeup ko kharab kar sakta hai.
  • Ise halke halke hatho se gaalo par lagaye, to yeh acche se lagta hai.

 

Hontho Ke Liye Lipstick

Jab tak aap lipstick nahi lagati aapka makeup adhura rahega, aapke gulabi hontho ke liye aur jis tarah ka makeup aap kar rahi hai usi ke anusar lipstick ka chuav kare taaki aapka makeup aakarshit dikhe.

Jab bhi barish ya summer ke douran lipstick ka chunav kare hamesha yaad rakhe ki waterproof lipstick ka chunav kare. Taaki aapki lipstick hotho ke bahar na faile.
 
Upar aapne jana Waterproof Makeup Tips in Hindi. Inn tips ki madad se aap chahe barish ki bochar ho ya koi summer pool party acche se enjoy kar sakti hai. Aapko aapke makeup ki koi tension nahi rahegi.

Loading...

This website uses cookies.