Aksar purush badhte hue vajan se pareshan hote hai. Vajan badhne ke sath sath pet bhi badh jata hai aur chinta ka vishay ban jata hai. Motape ya adhik vajan ki samasya Bharat hi nhi balki puri duniya mai hai. Aamtour par kayi purush shuruwat mai motape par gaur nahi karte hai.
Parantu, jab motapa adhik badhne lagta hai to use kam karne ke liye bahut se tareeke dhundhne lagte hai aur gym aadi ka sahara lete hai.
Gym jane se aapke sharir ki kasarat hoti hai to jahir si baat hai ki aap vajan ghata lenge lekin jaise hi aap ise chhodte hai hamara vajan fir gati se badhne lagta hai. Aur har koi jindagi bhar gym jate hi rahe yeh mumkin to nahi. Isliye motape ko ghatane ke liye kuch aur bhi tarike hote hai jin par gaur karna jaruri hai.
Unn tariko ko apnane se vajan badhne ki pareshani hoti hi nahi hai aur yadi aapka vajan pehle se hi badha hua hai to yeh tarike aapke vajan ko kam karne mai aapki madad karte hai. To aaiye aaj ke lekh mai vistar se jante hai Weight Loss Tips for Men in Hindi.
Weight Loss Tips for Men in Hindi: Apna Vajan Ghataye
Yadi aap ne vajan ghatane ka soch hi liya hai to aaj se hi niche diye top-10 weight loss tips ko shuru kar sakte hai.
Man ko Kare Taiyar
Sabse pehle aapko weight loss karne ke liye mansik roop se taiyar hone ki jarurat hai. Chahe koi kuch bhi kahe, aapko vajan kam karne ke liye puri tarah samarpit hona hoga. Sath hi, aapko apne swasth, jeevan sheli aur yaha tak ki mukhya khane ko bhi badalna padega. Parantu, ek charam star par aahar mai parivartan karne se pehle chikitsak se paramarsh le.
Jyada Pani Piye
Jyada se jyada pani pina bhi aapko vajan ghatane mai madad kar sakta hai. Yeh weigh loss karne ka sabse aasan tarika hai. Aap rojana ek glass pani mai ek can soda ki dalkar piye. Nishcit hi aap ko swad achha na lage, par yeh duvidha aapke liye strength sabit ho sakti hai. Iss prakriya ko apnakar aap 40 gram hanikarak vasa ko kam kar deta hai jo ki chini ko yogdan karta hai aur 150 calories ko bhi kam kar deta hai. Sirf ek hafte is niyam ka sakht roop se palan karke aap kam se kam 1000 calories to kam kar hi lenge.
You may also like:- Yoga Asanas for Weight Loss in Hindi se Apna Vajan Ghataye
Nutrition Ko Prathmikta De
Weight loss karne ke baare mai logo ki yeh galat dharna hai ki bhukhe rehna vajan ghatane mai madadgar hai. Aksar log ye sochte hain ki agar hum bhukhe rehte hai to hamare sharir ka vajan badhega hi nahi. Yeh puri tarah galat hai. Ek achha sharir poshak tatvo se nirmit hota hai na ki bhukhe rehne se. Bus aapko itna karna hai ki pizza, burgers ko chhodkar phal aur sabji roti ka sevan karna hai.
Raat mai Nashta Na Kare
Nasamjhi se kiya jaane wala bhojan vajan badhne ka kaaran ban sakta hai. Adhiktar log raat mai TV dekhte dekhte nashta karte hain. Yeh calories badha sakta hai. To, agar aap yeh niyam bana le ki dinner ke bad aap nashta nahi karenge ya fir agar kare bhi to koi healthy nashta karenge, to isse ek bada fark pad sakta hai.
Lift Weight
Swasth aahar ke sath weight lift karna aapke vajan kam karne ke lakshya mai karagar sabit ho sakta hai. Isse aapki muscle banegi aur workout ke dauran adhik muscle banne ka matlab hai adhik vasa (fat) jalna. Yeh apaki sharir ko nishchit ki madad karega.
Lekin haa Aapko apni shamta ke upar ka weight lift karne ki jarurat nahi hai. Balki, ek esa weight chune jo bhaari ho aur aap use uthane ki koshish bhi kar paye. Aur yadi aap trainer ki madad se yeh karya kar rahe hai to bhari weigh lift kar sakte hai. Bhari weight ko kam samay mai lift karke aap apni muscle ko gain kar sakte hain. Bhari weight jyada calories ko kam karta hai.
Soup ka Sevan Kare
Soup ek esi chiz hai, jise prayog se aap apne vajan ko niyantrit kar sakte hai. Aur, yeh har ghar mai kitchen mai uplabdh hoti hai. Iska roz sevan karne se aapke system mai sudhar bhi hota hai aur liver ki achhe se safai bhi ho jati hai.
Papita se Charbi Kam Kare
Papita lose weight fast karne ke liye sabse achha aur behatrin tarika hai. Yeh aasani se bazaar mai mil jata hai. Agar aap adhik weight se pareshan hai, to rozana papite ka sevan karna shuru karen, kyunki lambe samay tak papita khane se charbi kam ho jati hai.
You may also like:- Ayurvedic Treatment for Weight Loss: Jane Vajan Ghatane Ke Upay
Mirch Vajan Niyantran Ke Liye
Mirch khane se motape mai fark padta hai. Mirch ek aesi chiz hai jo har rasoighar mai uplabdh hoti hai. Agar aap lunch aur dinner karte samay kati hui hari mirchi khane lage to apne motape par kaabu pa sakte hain. Isse sharir mai urja ka sanchar badhta hai aur vajan bhi control mai rahta hai.
Har Fat Bura Nahi Hota
Yeh ek galat dharna hai ki vasa (Fat) aapke liye bura hai. Vasa 3-mukhya macronutrients mese ek hai, jiska matlab hota hai ki yeh apke sharir ke liye avashyak hai. Isliye, kabhi bhi puri tarah se vasa-mukt aahar na le. Ek achha swasth aahar 20 se 35% tak calories pradan karta hai. Ek achha niyam yeh ho sakta hai ki aap amtour par bad-saturated vasa na grahan kare. Yeh aapke vajan ko badha sakta hai aur hriday ki samsyaon ko bhi janm de sakta hai.
Upar apne jana Weight Loss Tips for Men in Hindi. Agar aap vakayi me apna wajan kam karna chahte hai to jyada na soche aur jitna jaldi ho sake in tips ka niyamit roop se palan karna shuru kar de.