Kishoravastha aur yuvavastha mai hone wale sharirik badlav ke karan tatha kuch anya karno ki wajah se Swapandosh hota hai. Jaise ki iske naam se pratit hota hai swapan se sambandhit rog ko swapandosh kahte hai. English mai isse Spermatorrhea naam se jana jata hai.
Raat mai sote samay ladko ka virya apne aap nikal jane ki prakriya ko swapndosh kahte hai. Yeh kisi sapne ke baad hone wali swabhavik sharirik pratikriya hai. Iske karan purush ke sharir mai ban rahi shukranu koshikao ki bahutayat matra ko sharir se bahar nikal jati hai.
Swapandosh ke kai karan ho sakte hai, isse keval sharirik vasana kehna bhi thik nahi hoga. Yeh mahilao mai bhi hota hai lekin unme iske lakshan aur karan alag hote hai. Iss rog ko rog kahna waise atishyokti hi hoga, lekin yeh mahine mai 1 ya 2 baar ho to isse samanya baat kaha ja sakta hai aur yeh kaha ja sakta hai ki yeh koi rog nahi hai kyoki purush ke sharir mai virya banta rahta hai.
Parantu yadi yeh isse adhik baar hota hai to virya ki ya shukrani ki hani hoti hai. Isse sharir kamjor aur durbal hota jata hai, kyoki yeh shukra bhi rakt kano se banta hai. Adhiktar to swapndosh to apni iccha ke viprit hi hota hai lekin kabhi-kabhi yeh icchanusar bhi ho jata hai.
Manushya ne swam ki galtiyo se apne sharir ko rogi aur apurn bana diya hai. Hamare rishi muniyo ne yog ka prayog bhog ke liye nhi balki adhyatmik pragati ke liye kiya hai, jo naitik drasthi se sahi bhi hai.
Paranti ishwar ki iss shrashti ko banaye rakhne ke liye sansarikta bhi jaruri hai. Viryavan vyakti hi apna aur apne sharir ka sampurn vikas kar sakta hai. Santan utpatti ke liye virya bahut mahtvpurn hai, virya ki kami aapke vevahik jivan mai duriya la sakti hai. Viryavan vyakti hi sampurn purush kahalane ka adhikari hota hai.
Virya ki kami hi napunsakta hai. Isliye moj-masti aur shok ke liye apne jivan ke sath khilwaad na kare. Virya ka sharan nischit roop se dukhdayi hota hai. Aise vyakti swapandosh, shigrapatan aur napunsakta jaise rogo se grasit ho jate hai.
Aaj hum aapko Yoga for Swapandosh in Hindi batane wale hai jo apko iss rog se bachane mai apki madad karega aur apko purushvaan vyakti banana mai apko sahyog karega.
Yoga for Nightfall: Janiye Swapandosh in Hindi aur Iska Upchar
Swapandosh ke Mukhya Karan
Kabhi-kabhi swapandosh hona ek samanya si ghatna hai, jo yeh darshata hai ki sharir swastha hai aur isse sambhog ki avashyakta hai. Iske karan alag-alag hote hai. Kuch logo mai yeh, yon icchao ke dabane, hormones ki kami ya hastmethun ki adikta ki wajah se ho sakta hai. Lekin samay rahte agar isse control nahi kiya jaye to yeh erectile dysfunctions, yon kamjori, virya ki sankhya mai kami aur anidra jaisi pareshani utpann kar deta hai. Yaha hum aapko Nightfall Causes ki jankari dene wale hai-
Nightfall ke nai karan ho sakte hai lekin iske mukhya karan hai-
- Ashalil films ya photos dekhna.
- Ashalil chintan ya stri ke bare mai atydhik sochna tatha kamuk pustke padhna.
- Virya ka jayada dino tak skhalit na hona arthat iska adhik stock ho jana.
Yeh sabhi iske mukhya karno mai se ek hai. Iske alawa pet mai kabj rahna tatha nadi tantra ki durbalta bhi iaska karan ho sakta hai. Adhik aayu tak shadi na hona ya der se shadi hona bhi ek karan hota hai. Kabhi-kabhi premika ya patni ke dur hone ki wajah se aapsi praval na hone karan bhi aisa hota hai.
Aisa nahi hai ki keval purusho mai hi swapandosh hota hai. Yeh striyo mai bhi hota hai lekin antar ye hota hai ki waha virya ki jagah artak bahar aa jata hai jisse raj bhi kaha jata hai.
You may also like: Nightfall Treatment in Hindi: Swapnadosh Se Nijat Paane ke Nuskhe
Yoga for Nightfall: Swapandosh ke liye Yog
Hum aapke liye laaye hai swapandosh treatment in hindi, jo aapki life ko phir se pahle jaisa bana dega aur aap dobara apni khushhaal zindagi ka aanad le payenge. Yog ek aisi kriya hai jo bade se bade rog ko thik karne mai saksham hai. Iske dwara manushya antrik, sharirik aur mansik sabhi prakar ke rogo se mukti pa sakta hai, lekin iske liye jaruri hai iska niyamit aur sahi abhyas. Aaiye jante hai swapandosh ke liye yoga vidhi aur unke labh-
Vjroli Kriyavidhi
Jab bhi aap mutra visarjan ke liye jaye, tab ek dum se mutra ko rok le, kuch second ruke aur phir mutra nikal de. Punah mutra ko roke aur phir se nakal de. Mutra tyag ke doran kai baar iss kriya ko kare. Iss kriya ko karne se nadiyo mai shakti aayegi aur virya ke bewajah skhalan ko bhi aap rok sakte hai.
Humara mashtishk mutra visarjan aur virya skhalan mai antar nahi samjhta hai, yahi karan hai ki, iss kriya ko karne ke baad ussi anupat mai skhalan ke samay mai badotri hogi, jitna samay aap mutra tyag ke samay usse control kar payenge.
Baahay Kumbhak
Aaiye jante hai iss aasan ko karne ki vidhi aur isse hone wale labh –
Vidhi
- Kisi bhi dhyan aasan mai baithkar sans ko ek baar mai hi sharir se bahar nikal de.
- Sans ko bahar nikalne ke baad mulband arthat (guda dwar) ko sankuchit kare aur uddiyan bandh arthat pet ko andar khichna ya sikodna hai. Jitni der tak aap aisa kar sakte hai kare, iss samay saans ko bahar hi rokkar rakhe.
- Jab sans ko adhik samay ke liye bahar na rok paye tab dhire dhire bhare aur bandho ko khol de. Yeh ek chakra ya kriya puri huyi.
- Sans andar lene ke baad bina roke phir se bahar nikalkar pehle ki tarah saans ko bahar rokkar rakhe. Iss kriya ko 3 se 21 baar tak kiya ja sakta hai.
Labh
- Iss mudra ke abhyas se man ki chanchalta dur hoti hai aur vratti nirodh hota hai.
- Iss asan ke niyamit abhyas se budhi sushm aur tivra hoti hai.
- Isse bewajah ka virya skhalan nahi hota hai tatha swapndosh aur shighrapatan ki samsya mai rahat milti hai.
Savdhaniya
Sabhi yogasano ki kuch savdhniya bhi hoti hai jinhe dhyan rakhna bahut avashyak hai. Jante hai Baahay Kumbhak aasan karne ki savdhaniya –
- Iss aasan ko subah ke samay khali pet karna chahiye.
- Saans ko bahar itna hi rokna chahiye jitna aap aasani se rok sake.
- Saans ko jhatke se andar khiche.
- Yogasan ke aadhe ghane baad hi kuch khana-pina chahiye.
Ashvini Mudra
Aaiye jante hai iss aasan ko karne ki vidhi aur iske labh-
Vidhi
Kgasan ki avastha mai baithkar (toilet mai baithne ki avastha) gudadwar ko andar ki aur khinch kar mulbandh ki sthiti mai kuch der tak rahe, kuch der baad dhila chod de. Dobara andar khinchkar punah chod de. Yeh prakriya ko yatha sambhav anusar karte rahe aur phir kuch der aaram purvak baith jaye. Iss aasan ko din mai kai baar kiya ja sakta hai, ek baar mai kam se kam 50 baar iss mudra ka abhyas kare.
Labh
- Iss aasan ke abhyas se guda sambandhit rogo mai rahat milti hai.
- Sharirik takat badti hai aur umra lambi hoti hai.
- Mana jata hai ki iss mudra ko karne se kundlini bhi jagrit hoti hai.
- Shighrapatan ki samasya ko rokne ke liye yeh ek achuk mudra hai.
- Napunsakta ko bhi yeh aasan dur rakhta hai.
You may also like: Face Yoga in Hindi: Chehre Ko Banaye aur Bhi Khubsoorat
Swapandosh rokne ke kuch Samanya Upay
- Apne aap ko vyast rakhe tatha vicharo aur man ko shudhta lane ka prayas kare. Aap vyast rahenge to dimag mai ashlil aur kamuk baate man mai nahi ayengi.
- Porn films ya photos na dekhe, kyoki yeh apke mastishk ko kamuk bhavnao ke karib le jati hai.
- Nahane ke liye garm pani ka istemal na kare, thande pani se nahaye.
- Raat mai sone se pahle garm dudh ka sevan na kare.
- Saptah mai ek baar hasthmethun kar sakte hai isse sharir mai virya ki adhikta nhi hogi aur swapandosh ki samasya bhi nahi hogi.
- Raat mai sone ke 2-3 ghante pahle khana kha le. Aasani se pachne wale bhojan ka upyog kare.
- Pratidin suryoday se pahle uthe, vyayam, yog aur puja-path kare. Apne man ko dharmik chizo mai lagaye.
- Raat mai sone ke pahle lower ya kisi dhile dhale vastro ko pehne, underwear ko nikal de.
- Raat mai pani kam piye aur sone se pahle peshab avashya jaye.
- Apne ling ki niyamit roop se safai kare.
Aaj aapne jana Yoga for Nightfall in Hindi ke bare mai, jo aapke jivan mai aa rhi sharirik kamjori aur yon kamjori ko dur karne mai aapki madad karta hai aur aapko ek samanya jivan jine ki kala sikhata hai. Agar aap bhi swapandosh, shighrapatan ya napunsakta ki pareshani se jujh rahe hai to ghabraye nahi abhi bhi samay hai aap inn yog mudrao ke dwaya apne jivan mai dobara khushhali la sakte hai aur jivan ko aur bhi madhur bana sakte hai.