Yoga Nidra in Hindi: Sharirik aur Adhyatmik Drashti Se Labhprad

Yoga nidra ek aisi vidhi hai jise karne se vyakti ke mann ki chinta ko bahar kiya ja sakta hai. Iss aasan ko karte samay vyakti apne antar mann ki aankho se dekhta hai tatha jaga hua rahta hai, lekin yah vidhi let kr ki jati hai.

Jab aap yah aasan karte hai to aap puri tarah jagrat hote huye bhi nind ki anubhuti karte hai tatha pure sharir ko shithil karte hai. Iss asana ko karne se aapki saari thankan, chinta aur tanav mit jayega jo aapko puri rat sone ke bad bhi nahi mil pati.

Yog ki yah kriya sone tatha jagne ke bich ki avstha hai isme aapko sirf jhapki lagti hai tatha ardh-chetan jaisa hota hai aur aisa kaha jata hai ki devta isi nind mai sote hai. Aiye jante hai Yoga Nidra in Hindi.

 

Yoga Nidra in Hindi: Jane Iski Vidhi, Labh aur Savdhania

 

 

  1. Sabse pahle chatai ko jameen par bichaye aur dhile kapde pehnkar shawasana mai let jaye. Aap chahe to aankho par gehre rang ka kapda bhi rakh sakte hai.
  2. Jab aap lete to dhyaan rakhe ki aapke pairo ke bich 1 foot ki duri hona chaiye tatha hatheli kamar se 6 inch ki duri par hona chahiye aur aankho ko band kar lena chahiye.
  3. Ab dhire dhire saan lene ka abhyaas kare aur aapka pura dhyaan saanso par kendrit kare. Aur sar se paav tak pure sharir ko shithil kar le.
  4. Mann mai jitney bhi khyaal aa rahe hai unhe aane dijiye aur mann aur mashtishk se sara tanav dur karte nuye aaram se lete rahe.
  5. Ab mann mai kalpana karte huye pairo ke anguthe se lekar sar tak ki saari manspeshiyo ko shithil karte jaye.  Jaise dono pair, hath, pet, gardan, aankhe har ek ang shithil karte jaye.
  6. Iske bad apne mann hi mann kahe ki aap yog nidra ka abhyaas karne ja rahe hai aur iss line ko tin baar kahe aur gahri aur lambi sans lena jari rakhe.
  7. Apne mann ko sharir ke alag alag ang par le jaye aur unhe shithil hone ka aadesh de aur sharir se dard tatha chinta ko bahar karte jaye. Mann mai soche ki aapko anand ka anubhav ho raha hai.
  8. Jab sharir ki sare ango ko shithi kar le uske bad aankho ko dhire dhire khole aur hatho ko piche ki taraf khole tatha pairo ko aage ki taraf se khichav le.
  9. Ab baye ya dahine taraf karvat lekar uth ke sukhasan mai beth jaye. Tatha dono hatho ko apas mai ragade jab tak ki halki garmahat na mehsus ho aur usse aankhon ko dakh de tatha aankho ko  andar hi andar khole aur band kare.

 

Benefits of Yoga Nidra in Hindi – Jane Iske Fayde

 

  • Sochne samjhne ki shakti badti hai tatha man ekagra hota hai.
  • Yog nidra se jodo ka dard, sciatica ki samsya mai aaram milta hai.
  • Dinbhar kam karne se hone wali mansik aur sharirik thakan dur ho jati hai.
  • Dame ki bimari aur pet ke ghav bharne ke liye bhi yeh bahut faydemand hota hai.
  • Aapke mann mai naye vicharo ka aagaman hota hai tatha bure vichar dur bhag jate hai.
  • Jin logo mai anidra ki samasya hai iss asana ko karne se yeh samasya samapat ho jati hai.
  • Ise karne se sar dard, kamar dard, guthne ka dard aadi mai rahat milti hai.
  • Iss asana ki vidhi 20 minute tak karne par aapko 6 se 7 ghante nind puri hone ki anubhuti hogi.
  • Iss yog se garbhavti mahila ko prasav ke samay kam dard hota hai aur hone wala baccha swasth rehta hai.
  • Jab aap iss asana ko karte hai to rakht chaap santulit rehta hai aur hariday rog hone ki sambhavna kam ho jati hai.

 

Rakhe Yoga Nidra Karte Samay Kuch Savdhaniya

 

  • Yog ki sadhna karte samay aahar sayam jaruri hota hai.
  • Isse mili hui sidhhiyo ka aam logo ke samane dikhava na kare.
  • Dhyaan rakhe yog nidra karne wala sthan hamesha khula rahe.
  • Sharir ko hilana nahi chahiye aapka sharir ekdam shant hona chahiye.
  • Yadi kisi band kamre mai ise karte hai to khidki aur darvaje khule hona chaiye.
  • Yog nidra karte samay kabhi bhi sona nahi chahiye balki aap ardhchetna mai hona chahiye.
  • Dhyaan rakhe iss nindra mai kisi aur ke sharir mai uski ijjajat ke bager pravesh karna apradh hai.
Loading...

This website uses cookies.