Stress Relief Tips in Hindi, Tanav se Bachne ke Upay

Adhunic  jivanshaily ne hum sabko tanav ka shikar bana diya hai. Saath hi hamra kahrab khanpan iss samsya aur badhadeta hai. Dekha gaya hai ki, Bade hi nahi balki bacche bhi isski chapet mai aa rahe hai. Isliye aapko isse bachna bahut jaruri hai. To chaliye aaj hum aapko batate hai, Stress Relief Tips in Hindi. Jisse ki aap tanav ki duniya se bahar aa sakte hai.

Tanav ko kabhi bhi apne upar havi nahi hone dena chahiye. Kyoki agar kisi bhi tarah ka tension aapke upar hone se aap anye kai bimari se grasit ho jate hai. Vese Kuch log tanav ko aasni se jhel lete hai par magar kuch log tanav ko sahan nahi kar pata hai.

Aur badhte tanav ka prabhav aapki life par bahut bura padta hai. Lekin aap chahe to apne jivan mai kuch samanaye badlav karke iss pareshani se bach sakte hai aur hamesha swaath rah sakte hai.

Tanav ka jivan par nakartmank prabhav pad sakta hai. Lekin agar aap vastav mai isko dur karna chahte hai, to aap aasani se tanav ko dur kar skate hai. Lekin uake liye aapko bahut se upaye ka sahar lena hoga. To fir aaiye jane aise upay ke baare mai.

Lekin sabse badhi baat hai ki, kya aap stress ke karan ke baare mai jante hai. To chaliye sabse pahle hum aapko batate hai ki iske karna kya hote hai. Taki aap iske karan ko pahchan kar isse dur ho sakte hai.

Causes  of Stress, Bhari Tanav ke Karan

Priksha, trak-vitark hone pa, home work, tang kiye jane par, apne group se bahar hone par, office ke kaamkaz se, shaadi ya bacche ke janm par, traffic mai fasne par, interview hone par, financial condition weak hone par  ya koi naye jimmedari aane par aadi.

Symptoms of Stress, Tanav ke Lakshan

Sar dard ya bimariya jesa mahsus hone par, theek se pachan na hone par, neend aur constration pura na hone par, chidchidapan aur bevajah gussa aana. Sharirik Preshnai  jese thakan, confidence ki kami hone par, baal jhadna aur twacha par jhuriya hone par.

Stress Relief Tips in Hindi

Stress Relief Tips, Tanav ko Dur Bhagane ke Aasan Tarike

Puri Neend 

Raato ko theek se na sone aur bahut jayda thak huya masus karna tanav ko bahut adhik bdha deta hai. Isliye doctor ka kahna hai ki, jin logo ki neend puri nahi hoti hai, unka metabolism theek nahi rahta , jisse vah hamesha thakan aur tanav mahsus karte hai.

Isliye sahi tarike se neend lena tatha aaram karna bahut jaruri hai. Stress se bachasne ke liye rozana 6 se 8 ghante ki neend jarur lijiye.

You may also like:- Tips for Good Sleep in Hindi: Acchi Neend Aane ke Tarike

Gahri Saans

Chinta kisi bhi vyakti ki tanavpund istithi ko aur bhi bahtar bana deti hai. Jab hum chintit hote hai, to hume tezi se saans lete hai. Aise karne se stress aur adhik badh jata hai.

Tanav se rahat pane ke liye gahri aur niyantrit saans le. Jab saans dubara samanye ho jati hai, to aap dheere–dheere apne tanav se istar ko kam mahsus karenge. To hum bol skate hai ki, yeh bahut accha Stress Relief Tips.

 Chhote Chhote Break

Kaam ka jyada dawab bhi tanav ki badhi vajah hote hai. Iss tarah ke tanav se bachne ke liye aap apni dainik dincharya mai badlav lane ki koshish kare.

Aur aisa kuch kare jisse aapko khushi mahsus ho. Iss tarah ke praivartan se aap behtar mahsus karenge aur nishchit roop se apna tanav kam kar payenge.

Caffeine se Bache

Coffee ke cup mai katoti kar aap tanav se bach sakte hai. Yeh stress se bachne ka sabse saral upay hai. Caffeine se sharir mai adrenaline badha jata hai aur tanav ki bhavna mai vradhhi hoti hai.

Sabse badhi baat ki sham ko iske sevan se jarur bache. Kyoki caffeine ka asar aapki neend par padta hai. Theek se neend na aane par aap tanav mai padh jate hai.

Samasya ko Bataye

Agar aap kathin samasya se gujar rahe aur kuch cheezo aapko pareshan kar rahi hai. Aur agar aise mai aap bahut adhik tension mai ho.

Tab iss time mai  yeh bahut jaruri hai ki, aapni samasya ko apne kisi kareebi ke saath ke share kare. Kyoki apni samasya ko kisi kareebi dost ya privaar ke member ke saath share karne se uss preshani ka solution jarur milta hai.

Stress Relief Tips Ke Jariye Bhagaye Aapne Tanav

Dhyan Lagaye

Tanav ko dhyan ke jariye kam karna bahut aasan tarika hai, Iske liye aap 10 minutes ke liye chupchap kisi isthan par beth jaye aur apni saans par dhyan kendrit kare.

Dhyan tanav se ladhne vale pratirodhak ke roop mai kaam karta hai. West Virginia University mai kiye gaye ek study mai researcher ne paya ki jin logo ko lagatar teen mahine tak dhyan kiya unka 44% tak tanav kam ho jata hai.

You may also like:- Benefits of Meditation – Achieve Success in Life

Aromatherapy

Khusbu se aap apne tanav ke istar ko kam kar sakte hai. Iske liye Aromatherapy bahut upyogi hai. Aromatherapy mai khushbuyukt oushadhi ka prayog kiya jata hai. Aroma ka matlab hota hai, phulo aur telo se twacha aur body ka ilaj. Iss therapy mai kai prakaar ke sugnadhit  telo ka use kiya jat hai.

Jisse man ko shanty dene ke saath tan ko bhi aaram milta hai. Aromatherapy mai tanav ko kam karne ke liye lavender oil, chandan ka tel aur geranium oil, nariyal ka tel tatha til ke tel ko ek saath milakar iss mishrit tel se pure sharir ki malish hoti hai.

Stress Relief Tips

Swimming

Lambe samay tak office mai ek hi jagah beth kar kam karne se pairo mai atirikt lymphatic fluid collect ho jata hai. Iss fluid ke jama hone ke karan  bahut pareshani hoti hai.

Isse aapke sharir hi nahi balki mansik swasth par bhi asar padta hai. Kai bar to yeh bhari tanav ka karn bhi banta ahai. Ek vyast din ke baad swimming karne se aap sharir ko aaram pradaan kar sakte hai. Niyamit roop se summing aapko fit rakhti hai aur tanav ko bhi kam karti hai.

Music Sunna

Sangeet sunna se tanav dur ho jata hai. Sangeet bhagwaan ki aardhna ka madhyam hota hai. Sangeet aapke mastishk ko positive vichar pradaan karta hai.

Isliye jab bhi aapko koi tenstion ya stress jesa feel ho to turant music ka sahara le tatha iss tanav bhari duniya se hamesha ke liye dur rahiye.

Yoga

Yoga ke dawra bhi aap apne tension ko kam kar sakte hai. Ek study mai yeh baat samne aai hai ki, jo log niyamit roop se yog karte hai. Unhe kabhi bhi stress se pidit nahi hona  padta hai. Isliye aagar aap bhi tanav se pidit hai, to rozana yoga kare. Taki aap iss pareshani se hamesha ke liye rahat pa sake.

You may also like:- Benefits of Yoga for Men: Purusho ke Liye Yoga ke Fayde

Professional

Stress Relief Tips ki baat kare to sabse aacha tarika hai ki aap kisis bhi counselor ki help le sakte hai. Halaki tanav ko kam karne ke liye aap bahut se upaye apna sakte hai. Lekin halat ke kabu se bahar ho, isse pahle kisi psychologist aur counselor ki madad jarur le.

Ek chhoti se mulakat bhi aapke tanav ko kam karne mai bahut prabhavi ho sakti hai. Saath hi is baat ko bhi sunishchit kare ki aap apne tanav ko kam karne ke prati gambhir hai hai . Tabhi aap counselor ke paas jaye. Yaad rakhe psychologist ke paas jana koi sharm ko baat nahi. Isliye bina kisi jhijak ke apni samasya psychologist  ko bataye.

Upar aapne jane ki kese aap apne stress ko kam kar sakte hai. To bas der kis baat ki aaj se hi, inn tariko se apne tanav ko dur kijiye aur hamesha swasth rahiye.

Stress Relief Tip se sambhandhit adhik jankari ke liye yaha jaye Diet and Fitness.

Loading...

You may also like...