Yoga to Reduce Belly Fat in Hindi: Pet ki Charbi Kam kare

Aajkal mahila ho ya purush sabhi apne sharir ko slim aur fit rakhna chahte hai. Lekin aajkal ki badalti jivanshelly mai kai log apne badhte vajan aur motape se bahut pareshan ho chuke hai. Din bhar baithkar kam karna, vyayam aur yoga ke liye samay na dena, bahar ke fast food ka sevan aadi ke chalte bahut se log motape ka shikar ho gaye hai. Motape ki wajah se unka pet bhi bahar ki or nikal gaya hai.

Aapne aksar dekha hoga jo log motape se pareshan rehte hai unka pet bahar ki or nikla hota hai. Darahsal motape ka sabse jyada asar pet, jaangh aur hipps par padta hai. Isse bachne ke liye log kai prakar ke nuskhe apnate hai. Inn sabhi nuskho se logo ka vajan to kam ho jata hai lekin unka pet kam nahi hota hai.

Pet ki charbi ko kam karne ke liye Yogasan bahut accha upay hai. Yoga ke dwara aasani se pet ki charbi ko kam kiya ja sakta hai. Iske liye kai prakar ke yogasan hote hai lekin pet ki charbi kam karne ke kuch khas yogasan hai jinka pet, jaangh aur hipps par asar pade. To aaiye jane Yoga to Reduce Belly Fat in Hindi, jiski madad se pet ki charbi ko kam kar slim banaya ja sakta hai.
 

Yoga to Reduce Belly Fat in Hindi: Inn Yogasano Se Kam Kare Pet Ki Charbi

 

 

 Kapalbhati

Kapalbhati ek accha yoga for belly fat hai. Iss aasan ko karne ke liye sabse pehle padmasana jaisi sthiti mai baith jaye. Apni kamar aur gardan ko sidha kar le aur chhati ko aage ki or ubhar kar rakhe. Pet ko dhila rakhe aur apna dhyan saans mai lagaye. Sabse pehle pet ki naabhi ke niche ke pet ko andar ki or chipkaye sath hi apni saans ko balpurvak bahar ki or fenke. Ab andar ki or dabe huye pet ko dhila chhod de aur saans le. Dhyan rahe saans andar lete huye pet par koi bal na lagaye. Fir pet andar ki or dabate huye teji se saans bahar nikale.

Yeh yogasana karne se sabse jyada asar hamare pet par padta hai. Aesa rojana karne se kuch dino mai hi asar dikhai dene lagega.
 

Bhujangasana

Yeh aasan hamare sharir ko lachila banata hai aur pet ki charbi kam karne mai madad karta hai.

Iss aasan ko karte samay sharir ki sthiti phan failane jaise ho jati hai isliye ise bhujangasana kaha jata hai. Iss aasan ko karne ke liye jamin par pet ke bal let jaye. Ab apne dono hatho ke sahare, kamar se sharir ke upari bhag ko upar ki or uthaye. Hatheli khuli aur jamin par faili hona chahiye. Ab apne sharir ke kisi bhi bhag ko bina hilaye chehre ko bhi upar ki or uthaye. Ab kuch samay ke liye isi sthiti mai rahe. Fir apni pehle ki sthiti mai aa jaye.
 

You may also like:- Yoga for Back Pain in Hindi: Yogasana Se Dur Kare Kamar Dard

 

Dhanurasana

Yeh sabse accha yoga for stomach hai. Dhanurasana karne se jald hi pet ki charbi kam karne mai madad milti hai.  Yeh aasan pet ki charbi ko katne mai madad milti hai aur sharir lachila hota hai.

Iss aasan ko karne ke liye jamin par pet ke bal let jaye. Fir apne dono pero ko upar ki or mode aur apne dono hatho se pakadne ki koshis kare aur khud ko stretch kare. Iss avastha mai 30 second tak rahe aur fir pehale ki sthithi mai aa jaye. Yeh aasan rojana 5 bar jarur dohraye.
 

Pashchimottasana

Yeh sabse asardayi yoga for flat tummy hai. Pet ki charbi kam karne ke sath-sath yeh sharir ko kabj, apach, gas, dakar aur madhumeh jaise rogo mai faydeman hota hai.

Iss aasan ko karne ke liye sabse pehle jamin par sidha baith jaye aur dono pairo ko bhi sidha kar le. Fir apne dono hatho ko ghutno ki upar rakhte huye saans andar bharte huye hatho ko upar ki or uthaye aur kamar ko sidha rakhe. Iske bad saans bahar ki or fenkate huye aage ki or jhuke, hatho se pero ke anguthe ko pakde aurapne sar ko ghutno par rakhne ki koshis kare. Ab saans ko samanya rakhe aur thoda samay isi avastha mai rahe. Fir saans lete huye vapas apni pehle ki avastha mai aa jaye.
 

Balasana

Ve log jinhone pehle kabhi bhi yogasana nahi kiya hai unn logo ke liye yeh sabse accha aasan hota hai. Yeh aasan karne se maspeshiya majbut hoti hai, pet ki charbi kam hoti hai. Lekin dhyan rahe garbhvati mahilao aur ghutne ke rog se pidit vyakti ise na kare.

Iss aasan ko karne ke liye jamin par ghutne ke bal baith jaye aur sharir ka sara vajan apni aendiyo par rakh de. Ab gehri saans lete huye aage ki or iss tarah jhuke ki seena jaangho ko chhuye aur maatha farsh ko chhuye. Ab kuch seconds tak isi avastha mai rahe fir vapas usi avastha mai aa jaye.
 

Chakrasana

Pet ki charbi ko kam kar apne sharir ko durast karne ke liye chakrasana bahut hi asardari hota hai. Iss aasan ko karne se pehle jamin par dari bichhaye aur pith ke sahare let jaye. Fir apne ghutno ko mode aur apne dono pero ke talvo mai duri banakar jamin par tikakar rakhe.

Uske bad apne hatho ko sharir ki disha mi le jaye lekin dhyan rahe ki hatheliya niche ki or jamin par rahe. Fir apne sharir ko upar ki or uthaye aur iss avastha mai kam se kam 30 minut tak rahe. Iske bad apne sharir ko dhire-dhire niche ki or le aaye. Iss abhyas ko rojana 5 bar kare.

Upar aapne jana Yoga to Reduce Belly Fat in Hindi. Yadi aap bhi apne pet ki badhi hui charbi se pareshan hai to diye gaye aasano ko apnaye aur dikhe fit aur slim.

Loading...

This website uses cookies.