Acupressure ek prachin chikitsiya kala hai, jo 5,000 saal pehle Asia mai viksit ki gayi thi. Iss prakriya mai twacha ki satah par kuch pramukh binduo par dabav dalkar sharir ki prakratik self-curative (aatm upcharatmak) kshamtao ko protsahit kiya jata hai.
Jab in key-points ko press kiya jata hai, tab yeh maanspeshiyo ke tanav ko khatam kar dete hai aur rog ko khatam karne ke liye rakt ke sanchar aur sharir ki jeevan-shakti urja (Life-force energy) ko badhava dete hai.
Haantho ka upyoh karke, Acupressure therapy tanav-sambandhi bimariyo ke rahat ke liye prabhavi mani jati hai aur swasth ki dekh bhal ke liye sharir ki pratiraksha pranali ko bhi badhati hai. Sath hi sath yeh dard ko kam kar deti hai aur adhyatmikta ko viksit karti hai.
Sharir mai kisi bhi tarah ki chhot ya soojan wale jagah par acupressure nahi karna chahiye aur na hi suji hui naso me ise karna chahiye. Acupressure mai sharir ke kuch mahatvpurn binduo ko bade hi komal aur vinamra tarike se press kiya jata hai, jisme bodywork Therapies, Therapeutic Touch, somatic work, healing imagery, Urja manovigyan (energy psychology) aur malish (massage therapy) aadi shamil hai. Aaiye jante vistar se hai Acupressure in Hindi.
Acupressure in Hindi: Yeh Kaise Karya Karta Hai aur Iske Labh
Acupressure ki prakriya shuru karne ke liye sabse pehle pidhit ko massage-table par letaya jata hai. Ab Acupressure-visheshgya apni ungaliyo, hatheli, kohni aur anya upkarano ki madad se pidhit ke sharir ke vibhinna acupressure-points par press(dabav) karte hai. Yeh ek pura session 60 minutes ka hota hai. Acche parinaamo ke liye pidhit aese session kayi bar le sakta hai.
You May Also like:- Benefits of Acupuncture: Anek Bimari se Chutkara Paye
Ek adhyan ke anusar, hamare sharir mai 340 pressure points hote hai, jinme se 28 points hamare hatho mai hote hain. Agar aapko apne hath mai hone wale pressure-points ki jyada jankari na hoto, aap bas apni hatheliyo ko ek sath ragde, jab tak ki wo garam na ho jaye. Aesa karne se apne hath ke points uttejit ho jayenge. Inn pressure-points ko pehchan kar aap inki malish karke isse milne wale adhbhut laabh ka aanand le sakte hai.
Acupressure therapy sharir ke urja channels ka santulan banaye rakhti hai aur swasthya ko thik rakhti hai. Acupressure ko keval sharir ke vibhinna urja-baalo ko santulit karne ke liye hi nahi, balki man, aatma aur bhavnao par sakaratmak prabhav dalne ke liye bhi jana jata hai. Acupressure ko bahut si tarah ki stithi aur vikaro ke illaj ke liye bhi prayog kiya jata hai. Yeh sharirik tanav ke sath sath gathiya aadi ke liye bhi bahut faydemand hota hai.
Benefits of Acupressure: Janiye Iske Labh
Aaiye jante hai acupressure benefits in hindi:-
Vajan Ghatane mai Madadgar
Sharir ke kuch vishisht acupressure points ko press karne se urja-meridians ke madhyam se urja ka pravah niyantrit rahta hai. Urja ka yeh pravah pachan tantra, chayapchay prakriya ko santulit karta hai aur isse hame bhukh bhi kam lagti hai. Yeh tanav aur chinta ko kam karta hai aur vajan ko bhi ghatata hai. Yeh therapy hamare sharir ke aakar ko bhi achha rakhne ke liye prabhavi hoti hai.
Khel Ke Dauran Lagi Chot Ke Liye Ilaj
Aksar Khiladi khel se pehle aur khel ke bad apne shari ki malish karwate hai. Acupressure ek aesa upchar hai jo ki khiladi aur pehalwan aadi ke liye bahut hi upyogi hota hai, kyonki wo log bodywork bahut karte hai. Yeh manspeshiyo ko garam kar deta hai, jisse chot se jald rahat milti hai. Iske alawa acupressure sharir ki manspeshiyo ko majboot karta hai, sharirik pratirodh kshamta aur rakt ke pravah ko badha deta hai, jo khiladi aur pehalwan ke pradarshan ko aur badha deta hai.
Dard Se Rahat
Acupressure sharir ke vibhinna bhago mai hone wale dard se lambe samay tak aur sthay rahat ke liye jana jata hai. Duniya bhar mai acupressure ko gathiya, hath aur gardan ki maanspeshiyo mai dard, cervical-dard, jodo ke dard, spondylitis, osteoarthritis, aadi ke ilaaj ke liye prachalit hai. Acupressure therapist yeh mante hai ki jin logo ko locomotive disorder hota hai, unke prathmik upchar ke liye acupressure bahut hi faydemand hai. Acupressure points for back pain ko press karke aapko peeth dard se bhi chhutkara mil sakta hai.
Iske alawa, aap khud bhi ise sikh kar takhan, sir dard, manspeshio mai dard aadi se chhutkara pa sakte hain. Itna hi nahi, acupressure ki madad se mastishk sambhandi bimario, chehre ke paralysis, sinusitis, mirgi, chakkar aana, tantrika-sambandhi vikar, anindra aadi samsyao se rahat pa sakte hai.
You May Also like:- Yoga Mudra Benefits: Dhero Bimariyo Par Kabu Paiye
Sexualtiy mai Badhava
Acupressure ek bahut hi shaktishali tarika hai sharir ke sabhi bhag tak pahuchne ka. Kuch khas acupoints par ungaliyo se press karke hum gehre aaram ki avastha mai pahuch sakte hai aur isse yaun-urja ko badhava milta hai aur yeh sharir ke sambhog ke jude vikaron ko khatam karne mai mada karta hai.
Tanav se Rahat
Acupressure se vyakti ko tanav se bachane mai madad milti hai. Yeh nerves ke tanav ko kam karta hai aur vyakti ke andar tanav-pratirodh kshamta ko badha deta hai. Yeh sharir ko aaram pradan karta hai aur man mai sakaratmakta utpanna karta hai. Acupressure keval mansik hi nahi balki bhawnatmak star ko swasth rakhta hai. Vibhinna bimariyo aur tanav ko dur karke yeh sharir mai prati-raksha mai sudhar lakar sharir mai sakaratmak urja ka pravah karta hai.
Upar aapne jana Acupressure in Hindi. Sharir ko bimariyo se bachane aur unse dur rakhne ke liye acupressure ek utkrashth tarika hai, jise aap khud bhi sikh kar niyamit roop se iska abhyas kar sakte hai.