Benefits of Anjeer in Hindi: Aushdhiya Guno Se Bharpur

 

Anjeer ek swadisht aur guno se bharpur phal hai. Isko sukha kar sukhe meve ke rup mai bhi iska istemal kiya jata hai. Yeh ek aisa phal hai jiske guno ko bahut pehle hi pehchaan liya gaya tha. Anjeer pure sal nahi ugta lekin fir bhi yeh bajar mai pure saal aasani se mil jata hai.

Bahut se logo ko iska bahar se naram aur andar se kurkura swad pasand aata hai. Swad ke alawa isme sehat ke bhi kai gun chhupe huye hai. Isme prachur matra mai fiber hota hai. Jo aapke sharir ke liye aavshyak tatvo mai se ek hai.

Iske atirikt isme aur bhi kai mahatvapurn tatva jaise ki iron, vasa, sulfur, tamba, chlorine, calcium aadi hota hai. Isme vitamin a, b aur c bhi paya jata hai.

Anjeer mai kai aushdhiya gun bhi hote hai tatha iske dwara kai choti choti bimariyo ka illaj bhi kiya ja sakta hai. Sundarta badhane ke liye bhi iska upyog kiya jata hai. Yeh duniya ke sabse purane phalo mai se ek hai. Iss phal ke aneko fayde janne ke liye padhe Benefits of Anjeer in Hindi.
 

Benefits of Anjeer in Hindi: Jane Common Fig Ke Fayde

 

 
Sukhe mevo mai shamil anjeer ko khane ke kai fayde hai. Yeh cancer, kabj aadi bimariyo mai sahayak hai. Aaiye vistarpurvak jante hai Anjeer Ke Fayde in Hindi:-
 

Rakt Ko Saaf Kare

Khun mai kharabi hone par dudh mai anjeer aur swadanusaar mishri milakar karib ek hafte tak sevan karne se aapko kaafi fayda milega aur khun ke sare vikar nasht ho jayenge.
 

Kabj mai Faydemand

Anjeer mai fiber prachur matra mai hota hai, tatha iska sevan rojana karne se sharir mai 20% fiber pahuchta hai. Kabj aur pet se judi bimariyo ke liye bhi yeh faydemand hai.
 

You May Also Like:- Kiwi Fruit Benefits in Hindi: Janiye iss Phal Ke Behtarin Fayde

 

Smaran Shakti Ko Badaye

Niyamit rup se 2 badam aur 2 piste ke sath 2 anjeer ka sevan karne se dimagi takat badti hai, jisse vyakti ki sochne samjhne ki shakti milti hai. Anjeer ka sevan karna dimag ke liye bahut faydemand hai.
 

Kamjoori Dur Kare

Yadi garmi ki wajah se aapko kamjoori mehsus ho rahi hai to anjeer ka sevan karna bahut faydemand hoga. 2 pake huye anjeer mai thodi si mishri ko milakar rojana subah sham isko khaye isse kamjoori dur hoti hai, aur sharir ko takat milti hai.
 

Ucch Rakt Chaap Ko Badne Se Roke

Kabhi kabhi bhojan mai namak jyada ho jata hai. Jab hum iska sevan karte hai to sharir mai sodium ka star bad jata hai tatha iske badne se sharir mai sodium ka santulan bigad jata hai. Iske chalte raktchaap ke marijo ka blood pressure high ho jata hai.

Anjeer ke sevan se sharir mai sodium ka santulan bana rehta hai jisse ucch raktchaap ki samasya se bacha ja sakta hai
 

Antioxidant Se Bharpur

Anjeer mai prachur matra mai antioxidant tatva paye jate hai, jiske chalte yeh free radicals se sharir ki raksha karte hai.
 

Ghav Ko Thik Karne mai Sahayak

Jab bhi kabhi aapko chot ya fir sharir par ghav ho to aese mai anjeer ka istemal karna bahut accha hota hai. Ghav ko thik karne ke liye sukhe Anjeer Fruit ko dudh mai pees le aur iska lep banakar ghav par laga le aur patti bandh le. Aisa karne se ghav ya lagi hui chot jaldi thik ho jayegi.

Yadi kisi ki jibh ya gardan mai sujan aa gai hai to anjeer ka lep laga sakte hai ya fir anjeer ka kadha banakar pine se bhi gale ke sujan mai rahat milti hai.
 

Dil Ka Rakhe Khyal 

Isme prachur matra mai antioxidant tatva hone ke karan yeh sharir mai free radicals ko dur kare mai sahayta karta hai aur rakt koshikao ko bhi swasth banata hai. Isse dil ki bimari hone ka khatra kam ho jata hai.
 

You May Also Like:- Dry Fruits Benefits –Sukhe Meve Se Rakhe Sehat Ka Khayal

 

Vajan Ghatane mai Sahayak

Yadi aap aapke motape se pareshan hai aur Weight Loss karna chahte hai to anjeer isme aapki madad kar sakta hai. Kyuki sukhe anjeer mai calories ki matra kam hoti hai jo vajan kam karne mai madad karti hai.
 

Haddiyo Ko Majboot Banaye

Keval ek sukhe anjeer mai 3% calcium hota hai jo sharir mai calcium ki kami ko pura karta hai aur calcim haddiyo ko majboo bananee ka kaam karta hai. Iske atirikt dusre khadya padartho ke sath milkar yeh haddiyo ko shakti bhi deta hai.
 

Aankho Ke Liye Faydemand

Kai loo motiyabind ki bimari se pidit ho jate hai aur iss rog ke ho jane par aakhon se kam dikhai dene lag jata hai. Iss rog ko dur karne ke liye anjeer ke dudh ko aankho par roj rat ko sote samay lagaye. Isse motiyabind rog thik ho jata hai aur aankho ki roshni bhi bad jati hai.
 

Health Benefits of Figs:  Janiye Anya Fayde

  1. Dame ke rogi ko roj subah anjeer ka sevan karna faydemand hota hai.
  2. Bhukhar aane par iska sevan karna rogi ke liye hitkar rehta hai.
  3. T.B. ki bimari mai taja anjeer khana faydemand hota hai. Sath hi madhumeh ke rogiyo ke liye bhi iska sevan labhprad hai.
  4. Yadi aapke pet mai koi bhahri padharth chala gaya hai to use nikalne mai anjeer ka adhik matra mai sevan karna accha hota hai.
  5. Aapko gath ya sujhan ho gai hai to sukhe anjeer ko ubalkar pees le aur use gath par bandh de jald hi rahat mil jayegi.

 
Upar aapne jana Benefits of Anjeer in Hindi. Yadi aap bhi uprokt labh chahte hai to iska sevan jarur kare. Garmi ke dino mai to ise bhigakar hi khaye. Nahi to sharir mai garmi badh jati hai.

Loading...

This website uses cookies.