Arranged Marriage!! Yeh naam sunte hai aajkal ke yuvao ko jaise koi dar satane lagta hai. Iss naam ko sunte hi youngsters ke man mai kai sari baate jaise rasmo rivaj, khud se jyada parivar ki pasand, ek anjan saksh ke sath jindagi bitana aadi khyal unhe pareshan karne lagte hai. Lekin tamam dar hone ke bawjud bhi aaj bhi 90 pratishat bhartiya arranged marriage mai vishvas karte hai.
Darahsal yeh vivah karne ka sabse accha tarika hota hai. Waise to aajkal ke log love marriage karna pasand karte hai. Unhe aesa lagta hai ki ek ajnabi ke sath jindagi bitane ke comparison mai jise ham acche se jante hai aur pyar karte hai usse shaadi karna accha hai.
Lekin ham aapko batana chahte hai ki pyar mai padkar shaadi karna aasaan nahi hai. Aesa jaruri nahi hai ki jo insan aapse abhi accha bartav karta hai wo jindagi bhar hi wesa rahe. Kai baar to love marriage karne ke liye log jamkar dating karte hai, lekin samne wala vyakti shaadi se inkar kar deta hai.
Parantu arranged marriage mai aesa kuch nahi hai. Isse samay ki bachat hoti hai, koi aapka istemal timepass ke liye nahi karta hai aur aapke parivar wale bhi befikar rehte hai. Apni jindagi ki nayi shuruwat karne ka yeh sabse accha tarika hai. To aaiye vistar se jane Arranged Marriage in Hindi.
Arranged Marriage in Hindi: Bhartiya Parampara Ke Anusar Vivah
Arrange marriage ek purani parampara hai. Bhale hi log kitne hi modern aur successful kyu na ho gaye ho aaj bhi log ise karna jyada pasand karte hai. Arrange marriage ke jariye do ajnabi log paas aate hai, aur kuch pal milkar jindagi bhar sath nibhane ka faisala karte hai. Unhe iss baat ki jankari bhi nahi hoti hai ki samne wala vyakti kaisa hai. Shaadi ke pehle dono partner ek dusre ko bahut kam hi jaan paate hai.
Lekin fir bhi log arranged marriage ko prem vivah ke tulna mai jyada accha mante hai. Darahsal yeh mata pita ki marji se hoti hai tatha we apne ladke ya ladki ke liye uttam jeevashathi chunte hai. Aaj ham aapko aese hi aur bhi kai Arranged Marriage Benefits ke bare mai bata rahe hai.
Rishto Ki Majboot Neev
Ham sabhi yeh baat se bhalibati parichit hai ki jabse prem vivah ki sankhya badh gayi hai tab se talak ke mamle bhi jyada samne aane lag gaye hai. Darahsal aajkal ke yuva 4 din ki mulakat ko pyar samjhne lage hai. Iss attraction ke chalte we samne wale se shaadi to kar lete hai, lekin baad mai iss shadi ko nibha nahi pate hai. Kai bar ladke ladki ki jidagi mai koi naya sathi aa jata hai to bina kuch soche samjhe apne pehle sathi ko chhod dete hai. Aur yaha aese mai samaj unki madad nahi kar pata hai. Kyoki aaj bhi samaj love marriage ko asangat manta hai.
Ab shyad aap behtar tarike se samjh payenge ki arranged marriage acchi kyo hai. Iska option chuune ke baad rishte ki neev majboot karne ki jimedari keval hamare kandho par nahi reh jati. Parents aur parivar ka pura involvement iss rishte mai hota hai.
Aese mai sab milkar iski neev manboot banate hai. Ladko par bhi samaj aur parivar walo ka pressure hota hai to wo naye risto ke bare mai sochte bhi nahi hai.
You may also like:- Love Marriage vs Arranged Marriage in Hindi: Rishte Zindagi Ke
Riti Rivaj Nibhane Ki No Problem
Arranged marriage ki baat kare to yeh sabhi log apni hi jati dharm dekhkar karte hai. Yane ki hone wali nayi dulhan ko apne ghar jaise riti rivaj wale parivar mai hi jana hota hai. Uss parivar mai bhi ladki ke ghar jaise hi functions hote honge. Yane ki nayi dulhan ko adjustment karne mai jyada dikkat nahi aati hai. Thodi bahut lifestyle jarur change hogi lekin naye riti rivajo ko sikhne ka tension khatam ho jayega. Isliye Indian Girls for Marriage ke liye yahi behtat hai.
Do Parivaro Ka Milan
Bharat mai arranged marriage ki baat ki jaye to yeh naa sirf do dilo balki do parivar walo ka milan hai. Yeh do parivar jab shaadi ke madhyam se judte hai to ek dusre ke ham dard aur sukh dukh ke sathi ban jate hai. Mata pita dwara tay kiye gaye vivah mai jodo ko dono parivar ki taraf se samman, pyar aur support milta hai.
Yadi ham parampara ki baat kare to har ladki ko ek din maa baap ka ghar chhodkar sasural jana hota hai. Aese mai nayi naveli dulhan ko naye parivar ke sabhi sadshya comfortable mehsus karane mail age hote hai.
Maa Baap Dekhte Hai Aapke Liye Perfect Match
Har maa baap ladki ke liye aesa ladka aur ladke liye aesi ladki dhundte hai. Jinki parvarish, lifestyle aur aarthik stithi saman ho. Isse har tarah ki samajik asmanta ki sambhavana dur ho jati hai. Soch vichar aur ghar parivar mai samanta ke chalte ladke ladki mai understanding jaldi ban jati hai.
Acche Se Nikalta Hai Samay
Arrange marriage mai samne wala vyakti ko ham acche se nahi jante hai, isliye samne wale vyakti ko janne, samjhne aadi mai shuru ke kuch saal nikal jate hai. Aese mai dhire dhire pyar bhi ho jata hai. Iske alawa pyar nahi bhi hua ho to parivar ki aur se dabav bana rehta hai. Jiske karan pati patni kuch varsh tak to ek dusre ko samjhne ka prayas karte hi hai. Isliye dusro shabdo mai kahe to damparya jeevan ke sath sath parivar ko lekar bhi chalne ka naam arrange marriage hai.
Lekin aesa jaruri nahi hai ki arranged marriage ke baad sab sahi hi ho. Ho sakta hai ki pati patni shadi ke baad kuch karano se aapsi matbhedo ka shikar ho jaye. Lekin yaha parivar ka support unhe wapis jodne ka kaam karta hai.
You may also like:- Relationship Advice in Hindi: Rishto Mai Galti Karne Se Bache
Adjustment Karna Nahi Hai Muskil
Khastour par ghar ki nayi bahu ko to naye ghar ke kaydo ko samjhna hi hoga. Lekin isme burai kuch nahi hai. Kyoki yeh arranged marriage ki khasiyat his ki pariwar khud hi vyakti ko adjust karna sikha deta hai. Iss karan aap kahi survive kar sakte hai aur parivar ke sath acche sambandh banakar rakh sakte hai.
Arrange Marriage Ke Kuch Aur Benefits Inhe Bhi Jane:-
Arranged Marriage ki ek chiz jo use khas banati hai wo hai aapke paas apni pasand ka partner chunne ka pura samay hota hai. Acche se apni pasand ke hisab se aap apna sathi chun sakte hai.
- Arranged Marriage mai bahle hi aap impress karne se chuk jaye lekin fir bhi mata pita aapke liye accha jivansathi chunte hai.
- Isme aap bina matlab apna samay kisi ko date karne mai barbad karne se bach jate hai. Wo samay apni energy ko ek jagah lagakar apne carrier ko behtar banane mai de sakte hai.
- Love marriage karne wale apne partner ki buri aadato ko chupakar rakhte hai. Jabki arrange marriage mai aap apni baate apne ghar walo se aaram se share kar sakte hai.
- Arrange marriage mai ek shaksh ki manmani nahi chalti hai. Dono ek dusre ke faislo ka samman karte hai. Aap mai apne aap hi adjust karne ki bhavna aa jati hai.
- Isme apne parivar ko khus karna apne aap mai ek badi khusi hoti hai. Arranged Marriage mai aapke pure pariwar ki pasand aur khusi judi hoti hai. Iss tarah ki shaadi ka faisla kahi na kahi aapke parivar ko pehle se jyada karib le aata hai.
- Shadi ke liye samjhasya aur samajhdari behad jaruri hai. Yeh gun vevahik jivan ko puri tarah sukhi banate hai aur rishto mai aane wali darado ko mitate hai.
Upar aapne jana Arranged Marriage in Hindi. Bharat mai vivah do logo ka nahi do parivaro ka milan hai. Isliye pure parivar ki rajamandi se kadam uthana hi sahi rehta hai. Isi rishte par sabhi ka bhavishya tika rehta hota hai. Arrange marriage mai har din ek nayi kahani aapko apne partner ke karib la degi.
Aap yeh keh sakte hai ki aapko har roj unse pyar hoga. Partner ko pehle se naa jaan pane ke karan yeh puritarah se ek naya safar hai jiski aap shuruwat karne jaa rahe hai. Har vaivahik joda janta hai ki unke sambandh sidhe tour par paravarik sambandho ko prabhavit karte hai. Isliye arrange marriage mai pati patni apne sambandho ko majboot banane ke liye eksath prayas karte hai.