Humare sharir mai koshikaye banti hai aur nasht hoti rehti hai. Jab koshikaye aniyantrit rup se badne lagati hai, aur nasht nahi hoti hai. To wo ek githan ka rup le leti hai aur cancer hone ka khatra badh jata hai. Cancer ke cells kai prakar ke hote hai. Yeh sharir ke kisi bhi hisse mai ho sakte hai.
Jab cancer ki koshikaye haddiyo ke andar fail jati hai to use haddiyo ka cancer kehte hai. Bone cancer kisi bhi haddi ke andar ho sakta hai. Lekin khaskar bone cancer hatho aur pairo ki haddiyo mai jyada hota hai. Bone cancer ko tumor bhi kehte hai.
Haddiyo ka cancer kisi bhi umra mai ho sakta hai. Iske lakshano ki baat kare to iska sabse samanya lakshan haddiyo mai tej dard hona hai. Dard ke sath sharir ke uss hisse mai sujan bhi aane lagti hai. Wakt ke sath dard mai ijafa bhi hone lagta hai.
Abhi tak bone cancer ke karano ka pata sahi se nahi chal paya hai. Lekin kai bar ise anuvanshik karano se jodkar dekha jata hai. Iske atirikt haddiyo mai kisi prakar ki chhot lagna bhi iska karan ho sakta hai. Haddiyo ka cancer sharir ke ek bhag se dusre bhag tak pahuch jata hai. Isse bachav ke liye vistar se janiye Bone cancer in Hindi.
Bone Cancer in Hindi: Haddiyo mai Karkat Rog
Bone cancer pure sharir ki koshikao ke andar fail jata hai. Ye kisi vyasak vayakti ke andar 206 haddiyo mai kisi bhi haddi ke andar ho sakta hai. Jyadatar bone cancer hath pair ki haddiyo aur jodo se shuru hota hai. Bone cancer ka shikar kisi bhi umar ka vyakti ho sakta hai. Haddiyo ka cancer ghatak ho sakta hai. Isliye haddiyo mai dard hone par chikitsak se sampark karna chahiye.
Bone Cancer Ke Prakar:-
Primary Bone Cancer
Prarambhik Bone cancer teen tarah ka hota hai. Baccho aur yuvao mai iske hone ka khatra jyata hota hai. Kyoki iss umra ke log khel kud karte hai, jisme chhot lagna aam baat hai. Khelne ke douran haddiyo mai lagti chhot ya fracture bone cancer ka karan banta hai.
Osteosarcoma Cancer: Osteosarcoma cancer ke lakshan kulhe, kandho tatha ghutno ke aaspas ke bhag mai jyada dikhai dete hai. Yeh bone cancer ka samaya prakar hai. Iss rog se karib 10 lakh logo mai se 3 – 4 log grasit hote hai. Yeh rog kisi ko bhi ho sakta hai. Lekin mahilao kit ulna mai yeh purusho mai adhik hota hai. Yeh cancer sidhe haddiyo mai failta hai.
Chondrosarcoma Cancer: Iss tarh ka bone cancer 40 se 70 varsh ki aayu wale logo mai adhik dekha jata hai. Yeh cancer bhi kulho aur kandho ke aasapas adhik paya jata hai. Chondrosarcoma cancer haddiyo se shuru hokar sharir ke dusre bhag mai pahuchta hai. Iss cancer ka mukhya lakshan jodo mai adhik dard ka hona hai.
Ewing Sarcoma Cancer: Ewing sarcoma cancer kam umra ke logo mai hota hai. Iss bimari se grasit hone walo ki umra 5 se 20 sal tak hoti hai. Yeh aamtor par hatho, pairo, baju aur pasliyo mai hota hai.
Secondary Bone Cancer
Dvitiya bone cancer sharir ke anya hisso se haddiyo mai failta hai. Ise Metastatic Bone Cancer bhi kaha jata hai. Udaharan tour par phephde ka cancer, stan cancer, ya fir prostate cancer se pidit vyaktiyo par bone cancer hone ka khatra bad jata hai. Iss cancer ke hone par haddiya bahut kamjor ho jati hai. Aur bar bar fracture hone lagti hai.
Isse pidit vyaktiyo ko calcium ka sevan karna chahiye. Bone cancer ki wajah se sharir mai bahut dard hota hai. Khaskar kamar mai sabse jayda dard hota hai.
You May Also Like:- Brain Tumor Symptoms in Hindi: Mastishk Cancer Ke lakshan
Bone Cancer Causes: Iske Karano Ko Pehchane
Bone cancer hone ke kai karan ho sakte hai. Bone cancer kisi bhi umar ke vyakati mai ho sakta hai. Ye chhune se nahi failta hai.
Dhumrapan Karna: Dhumrapan karne se muh ka cancer hota hai. Dhumrapan aapke muh ke liye bahut hanikarak hota hai. Isse cancer koshikaye sakriya rup se badne lagti hai. isliye dhumrapan karna bhi bone cancer ko badhava deta hai.
Radiation ka Sampark: Radiation ya x-ray ki kirne ke adhik sampark mai aane se bhi bone cancer hone lagta hai. Ya kai bar kisi anya bimari ki surgery karnvane ke bad koshikaye aniyantrit rup se badne lagti hai. Aur haddiyo ke vikas ko sthir kar deti hai. Jisse swasth koshikaye kam hone lagti hai tatha cancer koshikaye badne lagti hai.
Isi se haddiya patli aur kamjor hone lagti hai. Bone marrow cancer (jo ki blood cancre ka ek roop hai) se grasit vyakti ko bhi bone cancer ho sakta hai. Kyuki bone marrow cancer mai rakt vahikaye par prabhav padta hai. Jo sharir ki haddiyo par bhi prabhav dalti hai.
Fracture Hona: Jab kabhi bhi aapke sharir ke kisi bhi bhag mai fracture hota hai. Bone cancer ka khatra bad jata hai. Kyuki kaam karte samay, khelte samaya aapki haddiyo mai chhot lag jati hai.
Vitamin D ki Kami: Haddiyo mai Vitamin D ki kami ka hone se bhi bone cancer ho sakta hai. Kyonki vitamin D ki kami se haddiya kamjor ho jati hai hai.
Symptoms of Bone Cancer: Janiye Iske Lakshan
- Bone cancer hone ke shuruwati lakshan hai bhukh ka na lagna, chakkar aana, jaldi thakan hona, haddiyo mai dard ka hona aadi.
- Bone cancer bahut hi gambheer bimari hai. Iss bimari ke hote hi aapke sharir ki haddiyo mai dard hone lagta hai. Aur samay badne ke sath ye dard asahaniya hone lagta hai. Kai bar isse pidit vayakti samanya dard samjh kar doctor se paramarsh nahi leta hai. Aur dheere dheere yeh bimari use puri tarah gher leti hai.
- Jiss bhi jagah bone cancer hota hai, us jagh par sujan ya githan ho jati jati. Aur bone cancer se grasit bhag haddiyo ki tarah kathore ho jata hai. Jo dabane ke bad bhi nahi dabta. Aise mai aapki haddiya kamjor hokar fracture ho jati hai. Tatha sharir ka vajan bhi kam hone lagta hai.
- Agar aapke sharir mai calcium ki kami hai, to aap bone density test karwa kar iss bimari ke vaham se bach sakte hai. Kai baar haddi ke ek hi jagah chhot lagne se andar ghav ban jata hai. Aur sahi samay par uska ilaaj na karvane par bone cancer ho sakta hai. Yadi bone cancer ka shuruvati dino mai pata chal jaye to uska acche se ilaaj karva sakte hai.
You May Also Like:- Skin Cancer Symptoms in Hindi: Pehchane Iske Lakshan
Bone Cancer Treatment: Janiye iska Upachar
Bone cancer hone ke duran haddiyo mai tumor hota hai. Jiski wajah se haddiyo ki tissue ko nuksan pahuchta hai. Lekin jaruri nahi hai ki sare bone tumor ghatak ho. Kyuki bone tumor do tarah ke hota hai. 1 Benign 2. Malignant.
Benign tumor ke koi bhi dushparinaam nahi hai. Jabki malignant tumor bahut hanikark hota hai. Ye dono hi tumor haddiyo mai hote hai. Parantu benign tumor haddiyo mai failta nahi hai aur tissue ko nuksaan nahi pahuchta hai. Jabki malignant tumor haddiyo mai paya jata hai. Yeh sharir ke dusre hisse breast, phephde aur prostate mai chala jata hai.
Surgery: Surgery ke jariye bone cancer ka illaj kiya jata hai. Ise karne se pehle tumor ka aakar ko dekhna bahut jaruri hai. Surgery karte samay tumor ko puri tarah se bahar nikal diya jata hai. Aur jitney bhi tissue uske aaspas the usse bhi nikal diya jata hai. Tatha shatigrast ho chuki haddi ko bahar nikal kar artificial haddi ko lagaya jata hai.
Gharelu Upchaar:-
- Green Tea:- Bone cancer se aap nijat pana chahte ho to green tea ka sevan rojana kare. Kyuki isme anti oxidant tatv hote hai.
- Aleovera:- Aleovera bone cancer mai bahut faydemand hota hai. Isliye iska istemal pratidin kare.
- Yoga:- Bone cancer se grasit vyakti ko isse nijat pane mai yoga bahut faydemand sabit hoga. Yog na keval bone cancer balki kai bimariyo ko thik karne mai faydemand hai.
- Dudh:- Dudh tatha usse bane huye khadya padartho ka sevan kare isse aapke sharir ko calcium prapt hoga. Aur haddiya majbut banegi.
Upar aapne jana Bone Cancer in Hindi. Yadi haddiyo ke cancer ka shuruwati avastha mai pata chal jata hai. To aap aasani se iska illaj karwakar iss samasya se nijat paa sakte hai.