स्वस्थ शरीर के लिए आवश्यक है योग जाने तितली आसन के फायदे

Aajkal mosam ka koi bharosa nahi hota hai, yeh kabhi bhi badal jata hai. Jiski wajah se sharir ko kai tarah ki bimariyo ka samna karna padta hai. Sath hi iss bhag doud bhari jindgi mai asantulit khanpan aur vyayam ke abhav se bhi hamari tabiyat kharab rehti hai.

Yadi ham bimariyo se dur rehna chahte hai to hamare sharir ka swasth rehna jaruri hai. Santulit khanpan aur yog ka abhyas isme aapki madad kar sakta hai.Yog ke antargat kai aasan aate hai. Har aasan ka apna alag mahatva aur labh hai. Aaj ham aapko unhi aasano mai se titli aasan ke bare mai bata rahe hai.

Titli aasan mai aapke pairo ki mudra titli ke saman hoti hai. Isliye iss aasan ko titli aasan kehte hai. Iss aasan ko karne se aapke pairo ki manspeshiya majboot banati hai. Iss aasan ko bahut hi aasani se kiya ja sakta hai.

Iske atirikat iss aasan ko karne se gala kharab hona, badan dard, bhukhar aadi samasyao se bacha ja sakta hai. Iske aur labh janne ke liye aaiye padhte hai Butterfly Yoga Benefits in Hindi.

Butterfly Yoga Benefits in Hindi – Janiye Vidhi aur Labh

Titli aasan ko karne ke kai labh hai. lekin iske labho ke bare mai batane se pehle ham iski vidhi batana chahenge. Aaiye jante hai Butterfly Yoga Pose Steps:-

Titli Aasan Ko Karne Ki Vidhi

  1. Sabse pehle kisi samtal aur swaccha sthan par dari ya aasan bicha kar baith jaye.
  2. Fir dono pairo ko samane ki taraf khol de aur iske bad dono pairo ko ghuthno ki taraf se mode aur pario ki tali ko aapas mai mila de.
  3. Dono pairo ki ungliyo ko hatho se pakde aur aedi ko sharir ke paas lane ki koshish kare. Iss prakriya ko karte samay kamar ek dum sidhi hona chahiye. Kyoki aisa karne se ridh ki haddi sidhi rehti hai.
  4. Iss aasan ko karte samay saans samanya hi chalti rehna chahiye.
  5. Jaise titli apne pankh failati hai usi tarah aapke dono pair jo ki mude hui avstha mai hai unhe uppar laye aur niche lekar jaye.
  6. Iss prakriya ko kam se kam 15-20 bar dohraye. Aur aaram aaram se iss aasan ko kare.
  7. Ab aapke pairo ko sidha karke sharir ko ek dam dhila choud de. Aur kuch der tak aise hi bethe rahe.

 

You May Also Like:- Kapalbhati Benefits: Weight Loss Karne Mai Sahayak

 

Baddha Konasana Benefits- Titli Aasan Ke Labh

Sharir Ka lachilapan Badhaye

Baddha Konasana aasan ko karne se sharir ki manspeshiya majboot hoti hai, tatha sharir bhi lachila banta hai. Iss aasan ko niymit rup se karne se jin logo ko pairo mai dikkat hoti hai aur pair moud kar nahi baith pate kuch dino bad wo aasani se baith sakte hai.

Pairo mai Aaya Khichav Dur Kare

Jab kabhi aap jyada chalte hai ya khade rehte to aapke pairo mai tatha jangho ki maspeshiyo mai khichaav aa jata hai. Iss aasan karne se yeh pareshani dur ho jati hai.

Jodo Ke Dard mai Faydemand

Iss aasan ko karne se pario ka accha vyayam ho jata hai. Tatha pairo mai khun ka bahav acche se hota hai. Jin bhi vyaktiyo ko gathiya ya jodo ke dard ki samasya hai unhe iss aasan ko karne se kaafi aaram milta hai.

Garabhavati Mahila Ke Liye Faydemand

Yadi aap garbhavati mahila hai to aapke liye iss aasan ko karna bahut accha hoga, kyoki iss aasan ko karne se bacche ko janam dete samay maa ko dard kam hota hai.

Isliye grabhavati mahila ko tisre mahine se hi iss aasan ko karna shuru kar dena chahiye. Darahsal iss aasan ko karne se grabhavati mahila ke piche ka hissa aur jangho ka hissa lachila hokar acche se khul jata hai.

Mahvari mai Faydemand

Titli aasan ko karne se mahvari mai hone wale dard mai rahat milti hai tatha aapka garbhashay sahi tarike se kaam karta hai. Yeh mahvari ke dino ke liye bhi aacha hota hai.

You May Also Like:- Pranayam in Hindi: Tanav, Chinta Dur Karne mai Sahayak

 

Kuch Anya Labh Inhe Bhi Janiye:-

  • Iss aasan ko karne se aapki sari thakan mit jati hai.
  • Yeh aasan aanto tatha mal tyag karne mai madad karta hai.
  • Hriday ko uttejit kar rakt ke bahav mai sahayak hota hai.
  • Yeh aantrik aango tatha pachan shakti ke liye bhi accha hota hai.

 

Inn Savdhaniyo Ka Rakhe Khayal

  1. Titli aasan ko karte samay pairo ko jyada jor jor se na hilaye kyoki pairo ki manspeshiyo mai dard ho sakta hai. Isliye jitna ho sake utna hi abhyaas kare. Aapke pair dheere dheere mudne lagenge.
  2. Jin logo ko kamar dard ya niche ke hisse mai dard ho to wo log bhi iss aasan ka abhyas na kare ya fir yog guru ki dekhrekh aur nirdesha anusar hi ise kare.
  3. Jin bhi vyaktiyo ko sciatica ki bimari ho wah log iss aasan ko karne ka prayas na kare.
  4. Yadi aapko guthno mai dard ya chhot lagi hai to titali aasan nahi karna chahiye, kyonki iss asana ko karte samay guthno ka prayog kiya jata hai.
  5. Jab aap aage ke taraf jhuke to ridh ki haddi ko jyada na jhukaye.
  6. Mahilaye mahavari ke dino mai iss aasan ko na kare kyonki mahavari ke douran unhe kamar mai dard bana rehta hai. Agar aap fir bhi iss aasan ko karna chahti hai to expert ki nigrani mai kare.

 


Karne Ke Liye Samay 5 Se 7 Minute
Iss Aasan Ko Karne Ke Pehle Ka Pose Lotus Pose, Padmasana
Iske Labh Kidney, Pathri
Koun Na Kare Sciatica Ke Marij, Gathiya Ke Marij

Upar aapne jana Butterfly Yoga Benefits in Hindi. Aap bhi iss aasan ko karke uprokt labh paa sakte hai. Lekin yadi aapke ghutno mai kisi bhi tarah ki chot ya fir dard hai to iss aasan ko na kare.

Loading...

This website uses cookies.