Menstruation Cycle in Hindi – Masik Chakra (Mahvari) Kya Hai?

Aurto mai har mahine hone wale rakt strav ko masik dharm kehte hai. Iske alawa ise Periods aur Menstruation Cycle ke naam se bhi jana jata hai. Yeh samanya tour par 28 se lekar 32 dino mai ek baar aata hai. Isme rakt ke strav ke hone ka samay lagbhag 3-6 dino tak rehta hai.

Yeh koi bimari nahi hai, balki iss stithi ka samna hare k stri ko karna padhta hai. 10 saal se 15 saal ki umra ki ladkiyo mai iski shuruwat hoti hai. Darahsal yeh unke sharir mai hone wala ek hormonal badlav hai. Stri ke sharir mai ek andashay aur ek garbhashay paya jata hai. Uss andashay se har mah ek anda viksit hota hai.

Jab yeh anda garbhashay ke andar jata hai to wo khoon aur taral padharth se gadha hote hata hai. Jab bhi iss ande ka sampark purush ke shukrano se nahi ho pata hai to raktstrav shuru ho jata hai. Yeh raktstrav yoni se hota hai. Ise hi Menstruation Cycle (Masik Chakra) ke naam se jana jata hai. To aaiye jane Menstruation Cycle in Hindi, isse judi aur bhi kai baate.

Menstruation Cycle in Hindi: Jane Iske Lakshan aur Anya Jankari

Menstruation Cycle in Hindi

Kai bar ladkiyo ko periods ke douran dard jaisi samasya se gujarna padhta hai. jab dard asahniya ho to doctors se iss bare mai bat karke dawai li ja sakti hai. Lekin kuch jankari ke abhav mai aur sharm ke karan ladkiya aur mahilaye iske bare mai bat karne mai hichak mehsus karti hai. Isliye yaha ham aapko Women Period Cycle ke bare mai jankari de rahe hai.

Le sakte hai Chikitsak ki Madad

Periods mai bahut si aurto ko pidadayak dard hota hai. Kuch aurto mai yeh dard tej hota hai aur ek din lagatar bana rehta hau. Wahi kisi ko kabhi kabhi dard hota hai aur kabhi samanya rehta hai. Pet ke sath sath peeth mai bhi dard bana reh sakta hai. Vaise to yeh masik dharm ke wakt hi rehta hai.

Lekin jo log kamjor hote hai unhe mahvari aane ke kuch din pehle se hi dard hone lagta hai. Lekin yadi kisi ko iske aane ke 5 din se bhi pehle se ya fir iske khatam ho jane par bhi dard bana rehta hai. Ya fir rakt ke bade bade thakke aane lage to doctor se paramarsh lena uchit rehta hai.

You may also like:- Period Food, Masik Dharm me Khaye Yeh Aahar

 

Safai Bartani Hai Jaruri

Iss wakt ladkiyo ko safai ka bhi khasa kahyal rakhna chahiye. Chikitsako ki mane to wo kapda naa istemal karne ki salah dete hai. Isliye jitna ho sake pad ka hi istemal kare. Aur har 5 ghante mai badal le. Bhale hi aapko raktstrav naa hi bhi ho to bhi pad ko badal le. Aese mai kitanu nahi panapte hai.

Iske atirikt ek baat ka khayal rahe ki ise kabhi bhi toylets me na feke. Inko kisi polythene bags mai dalkar kude dan mai dal de.

Masik Chakra Se Sambandhit Pareshani Dur Karne Ke Gharelu Upchar

Women Period Cycle

Masik Dharam mai Aniyamitta

Yadi aapka 3-4 mahine se time nahi aaya hai aur fir bhi pet mai dard bana rehta hai to iske liye ek cup garm pani mai aadha chammach kalonji ka tel aur 2 chammach shahad milakar subah sham ko khana khane ke bad sote samay 30 dino tak piye. Lekin ek bat ka khayal rahe is prayog ke douran aapkp aalu aur bengan ka sevan nahi karna hai.

Ananas ke patto ka kadha ek chouthai gram pine se bhi masik dharm ki rukawat dur hoti hai. Iske atrikt 2 chammach bathua ke beej 1 gilas pani mai ubale. Aadha pani bach jane par chankar pine se ruka hua masikdharm khulkar saaf aata hai. Isse Irregular Menstrual Cycle niyamit ho jati hai.

Masik Dharm Kam Hone Par

8 chammach til, ek gilas pani mai gud ya kali mirch ko iksha anusar piskar garm kar le. Aadha pani bach jane par 2 bar rojana piye. Yeh masik dharm aane ke 15 minute pehle se masikstrav tak sevan kare. Aesa karne se masik dharm khulkar aata hai.

You may also like:- Janiye Home Remedies for Irregular Periods in Hindi

 

Rakt ka Strav Adhik Hone Par

Rakt ka strav adhik hone ki samasya ko bhari periods kehte hai. Vidari kand ke 1 chammach churn ko ghee aur chini ke sath milakar chatne se masik dharm mai adhik khun aana band ho jata hai.

Masik Dharm Ke Douran Dard

Papita: Periods ke douran papite ka sevan karne ke kai labh hai. Bahut bar aesa hota hai ki periods ke douran flow thik tarah se nahi ho pata hai. Jiske chalte mahilao ko adhik dard hone lagta hai. Aese mai papite ke sevan se periods ke douran flow thik hota hai. Jisse dard se nijad milti hai.

Tulsi: Tulsi bhi iske dard se rahat dilane mai madadgar hai. Dard hone par tulsi ke patte ko chai mai milakar piye. Darahsal tulsi mai moujud caffic acid se periods ke dard mai aaram hota hai. yadi aapko bahut adhik pareshani ho to aadha cup pani mai tulsi ke 7-8 patte ubal le aur chhankar uska kadha le.


Kya Kare Kya Na kare
Aaram Kare Jyada Kathin Gatividhi Na Kare
Sukhe Meve Ka Sevan Kare Bengan, Meat aadi Na Khaye
12 Ghante Ek Pad Na Rakhe 5 Ghante mai Pad Badle
Papite Ka Sevan Kare Fast Food Na Khaye

 

Jane Kuch Anya Bate

  • Karele ka sevan karne se mahavari ke dino mai aapko kaafi aaram milta hai.
  • Mahavari ke dino mai kamjori aa jati hai, isliye sukhe meve, nuts tatha green tea ka sevan kare.
  • Khatti chije, bhuni hui chij, protein yukt dal aadi ka sevan na kare yeh mahavari mai kabj paida karti hai.
  • Aap inn dino mai machali kha sakte hai kyonki mahavari mai machali khana kaafi faydemand hota hai.
  • Bengan, meat, kaddu, aloo aadi ka sevan mahavari aane ke ek hafte pehle se band kar de.
  • Yadi aapka masik dharm aniyamit rup se aata hai hai to khane ke bad rojana sounf ka sevan kare.
  • Rojana vyayam karne se aniyamit mahavari niyamit rahegi aur sharir ka tapman samanya bana rahega.
  • Rojana ek glass dudh pine se mahavari mai hone wala dard kam hota hai.
  • Pet mai dard hone par lavender tel se pet mai malish kare dard dur ho jayega.

 

Upar aapne jana Menstruation Cycle in Hindi. Swasth nari ki pehchan uski masik dharm ki niyamitta aur aniyamitta par ki ja sakti hai. Isliye yadi masik dharm mai kuch gadbad hai to doctors ki salah jarur le.

Loading...

You may also like...