Aaj ke samay mai motapa ek badi samasya ban gaya hai. Har choutha vyakti apne badhte vajan ko lekar pareshan hai. Apne vajan ko kam karne ke liye log vyayam karte hai. Vyayam ko karne se vajan to kam hota hai lekin isme kaafi wakt lagta hai. Jiske chalte log bich mai hi apne vajan kam karne ke lakshya ko chhod dete hai.
Iske atirikt kai bar to aesa hota hai ki aapka sharir vyayam ka aadi ho jata hai aur vyayam se bhi vajan kam hona ruk jata hai. Aese mai kuch diet plans ki madad se aap apna vajan kam kar sakte hai.
Aajkal detox diet plan kaafi chalan mai hai. Iss diet plan ko tab kiya jata hai jab aap vajan kam karna chahte hai lekin aapka vajan kam nahi ho pa raha hai. Iss diet plan ke jariye aap 1 hafte mai bhi vajan kam kar sakte hai.
Yeh 7 din ke liye plan hota hai jisme aapko har din ke liye ek khas diet hoti hai jisko aapko diet chart ke mutabik lena hota hai. Yadi aap iss plan ko follow karenge to jald hi vajan kam kar lenge. Lekin haa iss diet ko lene se pehle ek bar nutritionist se jarur mile taki wo aapke sharir ki shamta ke anusaar aapki madad kar paye. Aaiye iss lekh mai vistar se jante hai Detox Diet Plan in Hindi.
Detox Diet Plan in Hindi: Vajan Kam Karne mai Madadgar
Iss diet mai kisi bhi prakar ka fat yukt aahar nahi hota hai balki sabjiya phal aur taral padarth hote hai. Detox diet itni faydemand hai ki iski madad se aap kuch hi dino mai apna vajan kam kar lenge.
Kai bar aesa hota hai ki aapko kisi shadi ya party mai jana ho to aapke pass itna samay nahi hota hai ki aap vyayam karke apna vajan kam kare .Aesi stithi mai detox diet plan aapke liye bahut faydemand hoga. Adhiktar detox diet mai namak ka sevan karne ko nahi diya jata hai. Lekin iss diet plan ko ek simit samay tak hi karna chahiye. To aaiye jante hai 7 Day Detox Diet ke bare mai.
Detoxification Diet Ke Liye Faydemand Aahar
Jab aap detox diet kar rahe ho tab aapke aahar mai taje phal, taji sabjiya, bina twacha ka chicken, ande, jaitun ka tel, nariyal tel, badam, akhroth, kaju, pumpkin, surajmukhi ke beej, green tea, white tea, black tea, aur bharpur pani pina aadi shamil hota hai. Yeh sabhi tatva aapke sharir se vishele padhart bahar nikalne mai madad karte hai aur aapko swasth rakhte hai.
Janiye 7 Din Ka Aapka Diet Plan
7 din jisme aap vajan kam karne ka plan kar rahe hai to aapko aapki dincharya aur aahar ko lene ke liye niche diye huye chart ko follow karna hoga. Isko follow karke aap payenge aap ka vajan kam ho gaya hai.
Subah Subah Piye Nimbu Pani
Yeh sabse purani aur sabse jyada istemal kiye jane wali Weight Loss Tip hai. Iske faydo ko dekhte huye ise iss diet plan mai bhi shamil kiya gaya hai. Yeh aapke pachan tantra ko sudharta hai aur vikaro ko dur karta hai. Roj subah khali pet garam pani mai aadha kata hua nimbu ka ras dale aur ise piye.
You May Also Like:- Home Remedies for Belly Fat: Pet Ki Charbi Kam Kare
Vyayam Ko Dincharya mai Kare Shamil
Yadi aap sochenge ki sirf kuch aaharo ke jariye aap apna vajan ghata lenge to aesa nahi hai. Vajan ko kam karna apne aap mai ek bahut badi prakriya hai. Jiske liye aapko apne aahar ke sath sath vyayam par bhi dhyan dena hoga.
Detox diet lete samay rojana1 ghante vyayam jarur kare. Vyayam ke liye aap yoga, jogging, walking, boxing apni koi bhi pasandida chiz kar sakte hai. Yeh sabhi chize faydemand hai kyoki vyayam karte samay pasina aata hai aur pasine ke dwara sare toxin sharir se bahar nikal jate hai.
Sabjiyo Ko Salad Ke Roop mai Khaye
Jin sabjiyo ko aap kaccha kha sakte hai jaise pattagobhi, tamatar aadi unhe salad ke roop mai khaye. Vaise to inn sabjiyo ko pakakar bhi khaya ja sakta hai. Lekin kacche padhartho ko khayenge to jyada accha hoga kyoki isme adhik matra mai poshak tatva aur enzymes hote hai jo aapke sharir ko urja dete hai.
Pey Padartho Ka Kare Sevan
Rojana na kam se kam 3 liter pani roj piye. Yeh aapke lasika aur kidney ko detox karne mai madad karta hai. Isliye rojana bharpur pani piye. Sath hi sabjiyo se bana hua ras aur herbal detox karne wali chai jaise green tea, white tea aur black tea ka sevan kare. Yeh sabhi behtarin Detox Drinks hai.
Yadi aap chahe to khud hi pey padharth bana sakte hai. Prakrati ne hame kai tarah ke herbs jaise calendula, burdock, cleavers aadi diye hai. Aapko bus itna karna hai ki inme se koi bhi ek ko garam pani mai 5-10 minute ke liye rakh de, fir pani ko chhan kar pee le.
Detox Diet Ke Liye Snacks
Yadi aap vajan kam karna chahte hai to apne dincharya mai subah ka nashta jarur le. Nashte mai fast food ka sevan naa kare. Yaha janiye kuch Breakfast for Weight Loss.
- Taja phal aur taja salad ka sevan kare.
- Taja dahi mai thoda sa shahad milakar khaye.
- Bina masale ke popcorn ka sevan kare.
- Bina namak ke beej aur ankurit aahar ka sevan kare.
Dophar Ka Khana:-
Iss diet plan ko follow karte samay sato din aap niche diye gaye aaharo ko khaye.
- Bade katore mai sabjiyo ka bana hua soup ya fir masur ki dal ke bane huye soup ko piye. Aap ise bajar se laa sakti hai. Ya fir khud ghar par bana sakti hai.
- Ek bartan mai bhune huye aloo ke sath tuna machali dale aur usme sweet corn, taja dahi ko dale aur iska sevan kare.
- Rice cake ke sath avocado, tamatar, kuch tulsi ke patte aur thodi si kali mirch tatha kuch sukhe meve ka salad bana kar khaye.
- Avocoda ko mixer mai pees le aur usme thoda sa nimbu ka ras, hari mirch, tamatar, lehsun aur kuch sabjiya dale aur ab ise oatcake ke sath sevan kare.
- Taje dahi mai pisi hui lehsun, kheera kakdi aur thoda sa nimbu ka ras milaye aur use kacchi sabjiyo ke sath serve karke khaye.
- Bhune huye aloo ke sath cod fish ko ek sath milakar kuch der ubal le aur iska sevan kare.
You May Also Like:- Grapefruit Diet Plan in Hindi: Teji Se Vajan Ghatane Ke Liye
Detox Diet Karte Samay Raat Ka Khana
Raat ko khane mai kuch chuninda hari sabjiya, hara pyaaj, mushroom, ankurit aahar, mai thoda sa jaitun ka tel aur lehsun ko milakar mixer mai pees le aur ise brown rice ke sath khaye.
Salmon fish ko ubali hui sabjiya aur bhune huye aloo ke sath khaye.
Kata hua pyaj, kima kiya hua chicken, aur lal shimla mirch ko thoda sa olive oil dalkar fry kar le tatha ise garam aanch par paka le. Ab iske upar thoda sa nimbu ka ras aur pudina ki pattiyo ko dalkar garnish kar de.
Kuch hari sabji ko kat le aur usme pyaj , hari mirch baby sweet corn aur mushroom ek sath mix karle aur isme pineapple ka ras, tamatar, white wine vinegar aur thoda sa shahad mila le tatha ise brown rice ke sath parose fir iska sevan kare.
Kuch sabjiyo jaise pyaj, gajar, aur lehsun ko handi mai thoda sa olive oil ke sath milakar fry kar le. Jab wo halke bhure rang ke ho jaye to isme chokor aakar ke kate huye aloo ko dale aur use kuch der pakne de ab isme taji hari sabjiya, kali mirch aur aapki pasandita phali ki sabji dalkar aanch par tab tak chalaye jab tak wo pak na jaye. Ab ise brown rice ke sath parose aur khaye.
Meditation Bhi Apnaye
Jab aap pure sharir ko detox kar rahe ho to aapke dimag ka bhi detox hona bahut jaruri hai. Isse aapke andar sakaratmak sonch bhi aati hai. Islliye rojana 15 minute meditation ko bhi aapki dincharya mai shamil kare.
Yeh ek aesi technique hai jisme aatmik shanti milti hai. Isse aapke man ko sukh evam shanti milti hai. Isse aapka tanav dur hota hai. Ham aapko batana chahte hai ki tanav bhi vajan ke badhne ke piche ki ek pramukh wajah hai.
Detox Karte samay Inn Aahar Ka Sevan Na Kare
- Jab aap detox diet plan ko follow kar rahe ho tab inn chijo ka sevan na kare jo niche di gai hai.
- Sharab aur cigarettes ka sevan bilkul na kare.
- Dudh se bane padartho ka sevan na kare. Aap dahi le sakte hai.
- Mithe ka sevan karne se bache jaise shakkar, shahad, aur kisi bhi tarah ka syrup aadi.
- Maide se bani chize jaise bread, biscuits, cake, pasta, rai aur chawal ka sevan na kare.
Upar aapne jana Detox Diet Plan in Hindi. Yadi aap upar diye gaye aaharo ka sevan karte hai. Aur niyamit tour par vyayam bhi karte hai to aap kam se kam samay mai apna vajan ghata sakte hai.