Eid Sevai Recipe in Hindi: Tyohar Manaye Mithas Ke Sath

Bharat ek aisa desh hai jaha kai dharmo ke log ek sath rehte hai aur har dharam ke tyoharo ko bade utsah ke manate hai. Jis prakar hinduo mai diwali ko manaya jata hai ussi prakar musalmano mai Eid ka tyohar manaya jata hai. Eid musalmano ka sabse bada aur khas tyohar hai.

Sare muslim ramadan ke mahine mai roja rakhte hai tatha mahina khatam hone ke aakhir mai Eid ka tyohar manaya jata hai. Waise to eid par kai saare swadisht vyanjan banaye jate hai. Lekin iss din sevai ka ek khas mahatav hai.

Seviyan apne mithas ke sath sath lajjat ke liye bhi jani jati hai. Seviyo ko kai tarah se banaya jata hai. Yeh itni swadisht hoti hai ki bacche, budhe aur jawan sabka man lubha leti hai. Seviyan to har ghar mai banai jati hai aur log isse bade chaav ke sath khate hai.

Iss Eid ke moke par hum aapko batane ja rahe hai Eid Sevai Recipe in Hindi. Yaha batai gayi vidhi ke jariye aap bana sakti hai swadhist seviyan tatha Eid ke utsav mai shamil kar sakti alag tarah ki seviyan ki manlubhavani dish.
 

Eid Sevai Recipe in Hindi: Banaye Swadisht Kheer

 

 

Dekhiye Kimami Sewai Recipe in Hindi

Kisi bhi chij ko alag tarah se banane par uska swaad bhi alag aata hai isliye aaj Eid 2016 ke din aap swadisht Kimami Seviyan bana sakte hai.
 

Samagri Matra
Sevai 250gm
Chini 500gm
Peesa Hua Nariyal 100gm
Khoya 150gm
Dudh 250gm
Makhana 50gm
Ghee 3 Bade Chammach
Barik Kate Badam 3 Chotte Chammach
Barik Kate Kaju 3 Chotte Chammach
Ilaichi 5-6
Narangi Rang 3-4 bund

 
Banane Ki Vidhi: Ise banane ke liye ek fry pain le aur usme 1 bada chammach ghee dalkar kar garam kare. Jab ghee garam ho jaye to thodi si illaichi dal de. Ab peesa hua nariyal aur khoya dalkar kar ise 2 minute tak chalaye. Iske bad bane huye mishran ko ek katore mai nikal le.

Ab ek aur fry pain le aur usme bhi ek bada chammach ghee dalkar use garam kare. Tatha iss garam huye ghee mai kate huye badam, kaju, chironji aur makhana dale aur jaise hi wo bhure rang ke ho jaye unhe fry pain se nikalkar ek bartan mai dal le aur unhe chura kar le.

Ek bada bartan lekar usme chini tatha 2 cup pani dalkar garam karne rakh de aur pani ko tab tak chalaye jab tak ek taar ki chashni na ban jaye. Jab chashni bankar taiyar ho jaye usme orange color ki kuch bunde dale aur use fir se 5 minute tak chalaye.

Ab kadhai le mai 1 bada chammach ghee dalkar use garam kare. Tatha usme ilaachi dale aur 5 second bad seviyan dalkar use chalate huye 5 minute tak bhune. Jab seviyan bhun jaye usme dudh dale. Jab sevai dudh mai puri tarah bheeg jaye tab usme bani hui chashni tatha nariyal aur khoye ka mishran dale tatha madhhi aanch par ise 2 se 3 minute rakhne ke bad aanch band karde.

Aap ki kimami seviyan taiyaar hai jab aap ise serve kare tab ek pyale ya katore mai seviyan le aur upar se isme sukhe meve daal kar sajaye.
 

You May Also Like:- Petha Sweet Benefits in Hindi: Swad aur Sehat Se Bharpur

 

Banye Sevai Ki Kheer 

Aap swaad se bharpur seviyan ki kheer bhi bana sakti hai. Yeh samagri sirf do logo ki purti ke liye batai ja rahi hai. Jyada vyakti ke liye jyada samagri ki aavshyakta hogi. To aaiye jante hai Sewai Kheer Recipe in Hindi.
 
Aavashyak Samagri

  • 3-4 katori seviyan
  • 3 chota chammach chini
  • 2 cup dudh
  • 3 Kaju
  • 3 Badam
  • 8 ya 10 kishmish
  • Thoda sa pista
  • ¼ chotta chammach illaichi powder
  • 4-5 Kesar

 
Banane Ki Vidhi: Sabse phle 2 cup dudh ko ek bhagone mai leke garam hone rakh de. Jab tak dudh garam hota hai tab tak saare meve ke chhote chhote tukade kar le aur ek sath mila le. Piste sabke sath na milaye.

Ab ek fry pain le aur usme 2 chotte chammach ghee dalkar garam kar le sath hi isme sevai dalkar bhun le.

Jab dudh mai ubal aa jaye to usme bhuni hui sevai dale aur madhhi aanch par ise acche se ubalne de. Tatha ek katori mai garam dudh leke usme kesar dale aur use kuch der bhigne de.

Har thodi der mai dudh ko chalate rahe taaki sevai chipke nahi. Jab seviyan acche se ban jaye aur dhudh bhi gadha ho jaye to aanch ko band kar de.

Ab isme illaichi powder aur bhigi hui kesar ke dudh ko milaye tatha sare meve bhi isme dal de. Meve ko dalte samay pista bacha le jab aap kheer ko serve karne wale ho tab pista se garnishing kare. Dudh ki bani sevai kheer taiyar hai isse khud bhi khaye aur dusro ko bhi khilaye.
 
Upar aapne jana Eid Sevai Recipe in Hindi. Yadi aap bhi aaj ke iss mouke ko mithas ke sath manana chahte hai to upar diye gaye vyanjano ko jarur try kijiyega.

Loading...

This website uses cookies.