Face wash in Hindi – Chehre Ko Sundar aur Komal Banaye

Face Wash in Hindi – Mahila ho ya purush har koi chahta hai ki hum sundar dikhe. Khaskar aaj ki yuva pidi apne aap ko lekar kafi serious hai. Wah har chij mai perfect rahna chahte hai. Phir wo chahe carrier ko badana ho ya apne aap ko dusro se behtar aur khubsurat dikhana ho.

Badti umra ke sath-sath sharir mai hone wale antrik badlao se kai baar aap apne chehre par anchahe daag, kil-muhase aur kuch bade romchidra bhi ho jate hai. Chehre par huye kil-muhaso se kale daag aur kali kil aapki sundarta ko kharab kar dete hai. Yah dhabbe asal mai twacha ki shati ke  bare mai batate hai.

Adhik samay tak dhup mai rahne se ya pigmentation ki wajah se yah ho jate hai. Agar aapko bina kisi karan se chehre par kale daag ho rahe hai to aap kisi twacha visheshagya se salah le sakte hai. Doctor ke pas jane se pahle aap kuch face wash ka upyog bhi kar sakte hai.

Agar aapke pas apni twacha par dhyan dene ka samay nahi hai to bhi har roj aap face wash se apni twacha ko saaf karne ka routine bana hi le. Aaj hum aapko Face Wash in Hindi, bata rahe hai. Jinke niyamit upyog se aap chehre ke nikhar ko barkarar rakh sakte hai.

Face Wash in Hindi: Twacha Ka Rakhe Khayal

Bahut se logo ki twacha teliy hoti hai, aise logo ko bade romchidra ya khule romchidra hone ki samasya adhik rahti hai tatha bhojan mai adhik tel ki matra hone par bhi romchidro ke bade hone ki samasya samne aati hai. Pradushan aur gandgi ke karan twacha kharab hone lagti hai aur inme sebum ki wajah se kale dhabbe aur muhaso ho jate hai. Agar aap inn sabhi pareshaniyo se jujh rahe hai aur apne chehre ko swasth rakhna chahte hai to aaj hum aapko Best Face Wash Products bata rahe hai. Jinke istemal se aap apni twacha ko swasth, saaf aur khubsurat bana sakte hai.

You May Also Like:-  Homemade Face Pack in Hindi: Nikhare Chehre Ki Khubsoorati

Lakme Total Clean Up Clear Pores

Lakme Total Clean Up teen chijo se milkar bana hai jaise fase wash, face scrub aur face mask. Yah teeno twacha se dhul-mitti hata kar chehre ko daag-dhabbo se mukt karte hai. Yah sabhi green tea ke nichod se banse hai, jisme skin ko saaf aur mulayam rakhne ke liye anti-oxidant shamil hai. Sath hi isme salicylic acid bhi mojud hota hai jo chehre par se daag hata kar kil-muhaso ko dobara nahi hone deta hai.

Agar aapki twacha teliya hai to, yah ek best face wash for oily skin hai, to aapke liye kai tarah se faydemand hai. Iss face wash ko aap ek tarah ki series ki tarah istemal mai la sakte hai. Jisse pahle aapka chehra face wash se saaf hoga, phir scrub dwara dead cells ko hatayega aur ant mai chehre ke chidro ko band karke nami banaye rakhega.

Oshea Herbals Papaya Clean Anti Blemishes Face Wash         

 Yah Oshea Herbals dwara launch kiya gaya naya face wash hai, jo ki Vitamin E se bharpur hai. Yah vitamin humari twacha ko andar se saaf rakhta hai aur poshak pradan karta hai. Iske alawa isme papite ke guno ki wajah se yah twacha ki ashudhiyo aur kale dhabbo ko kam karne mai sahayak hota hai. Isme papite ka alawa Aloe Vera, jo skin ko thandak deta hai, mulethi twacha ke tone ko nikhare aur shahtut jisme khas anti-oxidant gun hote hai.

Chehre ki chamak badane ke liye aap ise niyamit din mai 2 baar upyog kar sakte hai. Iski sabse acchi baat yah hai ki iski kimat anya face wash ke mukable bahut kam hai aur yah aasani se aapko bajar mai mil bhi jata hai.

Deep Pore Detoxifying Solution

Yah product bade ya khule rom chidro wale logo ki twacha ke liye bahut hi labhdayak hai. Sath hi isme ek brush head diya gaya hai. Jo twacha ko aasani se saaf karne mai bahut upyogi hota hai. Yah aapki twacha se tel evam anya gandgi ko bahar nikalkar twacha ko saaf karta hai.

Nivea Advance Whitening Dark Spot Reduction Face Wash      

Agar aap koi aisa face wash dhund rahe hai, jo chehre ke kale dhabbo ko kam karta hai, jo dhup ke karan dikhne lage. Yah aapko behd pasand aayega kyoki yah aapki twacha se tel ko kam kar ek naya nikhar layega. Yah 12 ghante ke liye skin ko kasne ka kaam bhi karta hai. Isme Vitamin C, Licorice, Pro-Vitamin B, Vitamin E, magnesium, chloride, glassine aadi poshak tatav hote hai. Yah sabhi milkar twacha ko gora, mulayam aur name swaroop banate hai. Yah ek aisa product hai jise purush bhi apne chehre ko sundar banana ke liye istemal kar sakte hai.

Jolen Face Wash Gel  

Iss face wash mai nimbu ke gun hote hai jo oily skin ke liye kafi asarkari hote hai. Isme sabun nahi hota hai. Isse aapke rom chidra badn nahi hote hai. Iske niyamit istemal se aap twacha ki mrit koshikao ko nikal bhi sakte hai. Twacha ke rom-chidro ko dhul, mitti aur pradushan se bachane mai yah product bahut aham bhumika nibhata hai.

You May Also Like:-  Natural Acne Treatment in Hindi: Muhanso Ka Prakratik Upchar

Clean & Clear Fairness Face Wash

Clean and Clear Face Wash bahut sasta aur accha product hai. Isme cherry aur kai multi-vitamin tatav hote hai. Yah sabhi milkar twacha ko saaf, komal aur gora banate hai. Iske sath yah pyoride teliya tatav ke liye sabse accha hai. Isme mojud UV filter shield twacha ko dhup se bachane mai bhi sahayak hoti hai.

Olay Total Effects Blemish Control Salicylic Acid Acne Cleanser     

Agar aapke chehre ki twacha par umra jhalak rahi hai aur halki-halki rekhaye bhi ban rahi hai. To yah product aapke liye bahut hi faydemand hai. Yah aapki twacha ki har samasya ka jawab hai. Sath hi yah jhuriya, bejan twacha, kale dhabbe, rom-chidra aadi samasyayo se bhi aapko mukto dilate hai. Iske niyamit upyog se aapke rom-chidra ko rahat milegi aur aap apni twacha ko adhik saaf ayr taritaja payenge. Isme salicylic acid hota hai jo twacha ko daag-dhabbo se mukt rakhta hai. Agar aapki skin samanya, sukhi aur teliya hai to iska prayog aapko santushti dega.

Vedic Line Neem and Brahmi Disinfecting Face Wash

Iss face wash ke jariye twacha ke rom-chidro ko behtar tarike se saaf kiya ja sakta hai. Isme mojud neem aur brahmi twacha mai mojud tel ko acchi tarah se saaf karne mai kargar sabit hota hai. Sath hi yah rom-chidro ko bada karne wali gandgiyo ko puri tarah se hata deta hai.

Pond’s Oil Control Skin Mattifying Foam

Iss product mai bio 5 ka ek anutha formula hai, jo twacha ko sukhaye bina tel ki parat ko nikal deta hai. Isse istemal se aapki twacha khubsurat to dikhegi hi sath hi twacha mai ek adbhud parivartan dikhega. Iss face wash mai jhaag hota hao tatha acche parinao ke liye ise halke gungune pani se dhona chahiye.

VLCC Wild Turmeric Face Wash

Yah product to iske naam se hi bahut famous hai. Iska karan hai isse hone wale twacha ke fayde. Iss face wash mai haldi hoti hai aur yah to aap bhi jante hai ki haldi mai ek bahut accha anti-bacterial tatav hota hai sath hi yah ywacha ko chamakdar banana mai bhi sahayak hota hai. Yah anya products ki tulna mai sasta bhi hota hai.

Belli Skin Care – Anti-Blemish Facial Wash   

Iss face wash mai glycolic acid, salicylic acid aur benzoyl peroxide jaise hanikarak tatav mojud nahi hai. Aaj kal sabhi tarah ke product mai yah tatv shamil rahte hai aur iss tarah ke utpaad garbhvati mahilao ko prayog karne ki manahi hai. Isliye Belli face wash garbhvati mahila ke liye anukul hai. Isme lactic acid hota hai jo twacha ko saaf kare, chehre se gadde aur mrit koshikaye hataye. Iske alawa isme nimbu ka tel bhi hota hai, jisme anti-bacterial gun hote hai aur yah twacha ko chamak pradan karte hai. Isme prakratik anti-oxidant jaise khire, green tea ki matra bhi mojud hoti hai, jo twacha ko tajgi deti hai.

Aaj humne aapko Face Wash in Hindi, se sambandhit kuch mahatvpurn products ke bare mai jankari di hai. Jo aapke chehre par dhul aur pradushan se hone wale daag-dhabbo, kil-muhaso aur tej dhup se hone wale kale daago ko hatane mai sahayk hote hai. Sath hi yah aapke chehre ko pahle se aur bhi saaf, komal aur khubsurat banate hai. Jisse aapki personality mai aur bhi nikhar aa jata hai aur aap lagne lagte hai auro se alag.

Loading...

This website uses cookies.