Avocado in Hindi | एवोकाडो के फायदे – शरीर में शर्करा के स्तर को कम करे

Avocado in Hindi – (Avocado meaning in Hindi नाश्पाती की आकार का एक उष्ण कटिबन्धीय फल) is Avocado ek behad poshtik phal hai. Yeh mukhyatah Maxico desh mai paya jata hai. Iska aakar bilkul nashpati ki tarah hota hai jabki rang bhura hota hai. Khane mai iska swad thoda bahut akhrot ki tarah hota hai. Yeh na keval swasth ke liye labhprad hai balki iska prayog twacha ki sundarta badhane ke liye bhi kiya jata hai.

Mukhyatah yeh do rango mai paya jate hai hara aur kala. Ise kaccha ya pakakar kisi bhi rup mai khaya ja sakta hai. Iska prayog masahari vyanjano mai bhi kiya jata hai. Iske alava ise milkshake aur ice-cream mai dalkar bhi khaya jata hai.

Avocado bahut adhik fat wale phalo mai se ek hai. Isme bahut adhik matra mai calorie payi jati hai, lekin monounsaturated hone ki wajah se isse sharir ko koi bhi nuksan nahi pahuchta hai. Iske alava yeh kai prakar ke poshtic tatvo se bharpur hota hai jaise fiber, protein, potassium aadi iske sath hi isme vitamin A, B, E aur minerals ki bhi prachur matra payi jati hai. Itne poshak tatvo se bharpur hone ke karan yeh sharir ko kai prakar ke rog aur bimariyo se nijad dilane mai sahayak hota hai. Yeh swasth ke liye kiss prakar se labhdayak hai? Janne ke liye yaha padhiye Health Benefits of Avocado in Hindi aur iska sevan karke rahiye aneko bimariyo se dur.

Health Benefits of Avocado in Hindi: Aneko Bimariyo Se Dilaye Nijad

Vajan Ghatane Mai Sahayak

Avocado ek bahut accha Weight Loss Foods hai. Isme fiber ki bahut adhik matra payi jati hai jisse yeh sharir ke atirikt vasa ko kam karne mai sahayak hota hai. Iske sath hi yeh bhukh ko bhi kam karne mai sahayak hota hai. Kuch kiye gaye adhyano se yeh pata chala hai ki jin logo ne avocado ka sevan kiya hai unme se 28 pratishat logo ko iske khane bad agle 5 ghanto tak kuch nhi khane ki iksha nahi hui. Isse aapki bhukh niyantrit rehti hai Isliye ise vajan ghatane ke liye diet plan mai shamil karna ek accha vikalp hai.

Sharkara Ke Star Ko Niyantrit Kare

Avacado mai monounsaturated fat hota hai jo ki rakt mai sharkara ka leval banaye rakhta hai. Yeh insulin ki matra ko badhane mai madad karta hai jisse yeh sugar ki samasya se jujh rahe logo ke liye kaafi faydemand hota hai.

Iske alava avocado mai ghulanshil fiber hota hai jo ki sharkara ki matra ko niyantrit karne mai sahayak hota hai.

Dil Ke Liye Faydemand

Dil ki bimariyo se pidhit loge ke liye bhi avocado bahut hi accha phal hota hai. Isme Vitamin B6 aur folic acid ki badi matra payi jati hai jo ki dil se judi bimariyo ko dur karne mai sahayak hota hai. Sath hi isme paya jane wala monosaturated fat dil ke liye accha hota hai.

Iske sath hi yeh dil ka doura padne ka khatra bhi kam karta hai. Avocado mai Sitosterol paya jata hai jo ki sharir se atirikt cholesterol ki matra ko kam karta hai. Isse hriday swasth rehta hai.

You May Also Like:- Pomegranate Benefits in Hindi: Anar Khane Ke Bemisal Fayde

Dard Par Bhi Asardar Hai Avocado

Avocado mai anti-inflammatory gun bhi paye jate hai jo ki gathiya rogo ke dard mai bhi aaram pahuchane mai madad karta hai. jaisa ki ham jante hai ki isme fat, vitamin, iron, potassium jaise poshak tatva paye jate hai, iss wajeh se yeh dard ko dur karne mai sahayak hota hai. Ham aapko batana chahte hai ki Avocado ka tel purane shararik dard se nijad dilane mai bhi madad karta hai.

Twacha Ke Liye Faydemand Hai Avocado

Avocado for Skin bhi hai. Iska istemaal twacha ko behatar banane mai kiya jata hai. Chehre par iska istemaal karne se rukhi twacha komal ho jati hai aur twacha chamakne lagti hai. Isme protein ki bahut adhik matra payi jati hai jo ki chehre se jhurriya aur sunburn ko saaf karne mai madad karti hai. Sath hi yeh ek bahut hi acchai Remedies for Dark Circles bhi hai. Iske alava yeh twacha ko kasa hua aur damakdar banane mai bhi madad karta hai.

Avocado ke tel ki malish karne par twacha par nikhar aata hai, twacha chamakdar banti hai. Aap shayad nahi jante honge lekin iska prayog kai cosmetic products mai bhi kiya jata hai. Iska tel mai mojud protein ke karan sardiyo mai iska prayog hontho ko komal aur mulayam banane ke liye kiya jata hai.

Health Benefits of Avocado in Hindi: Anya Fayde Inhe Bhi Jane

  1. Isme upasthit potassium sharir ka uccha raktchaap niyantrit karne mai madad karta hai.
  2. Avocado ko nariyal ke dudh ke sath milakar sar par lagane se ganjapan dur hota hai.
  3. Yeh body mai harmones leval ko banaye rakhta hai aur mahilao mai PMS ki samasya mai labhkari hota hai.
  4. Isme upasthit Glutathione sharir ke immunity system ko behtar banane mai madad karta hai.
  5. Avocado mai Serotonin paya jata hai jo ki depression se bachane mai madad karta hai.
  6. Avocado for Eyes bhi hai. Isme Lutein aur Zeaxanthin jaise tatva paye jate hai jo ki aankho ko swasth banaye rakhne mai sahayak hote hai.
  7. Garbhavati mahilao ke liye yeh bahut hi faydemand hota hai. Iska sevan karne se miscarriage ki sambhavna khatam hoti hai. Sath hi baccho ko sabhi posahk tatva milte hai jisse baccha swasth rehta hai.
Loading...

This website uses cookies.