Bhartiya aahaar adhiktar fasalon aur anaaj par adharit hai. Har bhojan mai genhu, chawal, daal aadi abivarya roop se pasand kiya jata hai, kyunki yeh sab poshak tatvon se bhare hote hain aur kayi tarah ke laabh bhi pradan karte hai.
Parantu, aaj ki iss aadhunik yug me fast food ke prachalan se hamare bhojan mai daalo ka istemaal din prati din kam hota ja raha hai, jiska galat prabhaav yuva peedhi aur visheshkar baccho par pad raha hai.
Daale bhartiya vyanjano ke prasidhh aaharo maise ek hai. Daalo ki yeh khasiyat hoti hai ki aanch par pakane ke baad bhi unke paushtik tatv jaise ki protein aadi surakshit rahte hain. Daal ek esa aahar hai hai poshtik ke sath sath swadisht bhi hai. Koi bhi bhartiya bhojan daal ke bina adhoora hai.
Daalo me fiber paya jata hai, jo rakt mai cholesterol kam karne me madad karta hai, jo aapke dil ke liye achha hota he. Sath hi, daale protein, khanij aur vitamin jaise ki iron, folate, zinc, magnesium ka ek mahatvpoorn strot hai. Isliye daal swasth ke liye behad jaroori ahaar hai. Aaiye vistarit roop se jante hai Health Benefits of Pulses in Hindi.
Health Benefits of Pulses in Hindi – Daal Ke Fayde Janiye
Jaisa ki aap sabhi jante honge ki daale bahut se prakaar ki hoti hain. Aaj hum un daalon aur unke Health Benefits ke bare me baat karenge:-
Daalo mai protein bahutayat matra mai paya jata hai. Jo ki aapki haddiyo ko majboot banata hai aur shair ki karya pranali ko sucharu karta hai. Aaiye jante hai ki kis daal mai kitna protein moujud hota hai.
Pulses | Qunatity |
---|---|
Masoor Daal | 27 grams/100 grams |
Chana Daal | 26 grams/100 grams |
Urad Daal | 24 grams/100 grams |
Moong Daal | 24 grams/100 grams |
Tuvar Daal | 22 grams/100 grams |
Benefits of Pulses:-
Masoor Daal ke Fayde
Masoor ki daal ki prakrati garam hoti hai. Yeh khoon badhane wali hoti hai. Iska sevan karne se dast aur kabj ki samasya dur hoti hai, sath hi pet ki paachan kriya se sambhandit saare rog theek ho jate hai. Itna hi nahi, Masoor Daal Benefits janne ke liye aage padhe:
- Masoor ki daal ko bheegone ke bad peeskar doodh me milakar chehre pe subah- sham lagaane se muhaase aur iske daag-dhabbe dur ho jate hai.
- Ankhoon ke liye bhi yeh upyogi hoti hai. Masoor ki daal ko agar ghee me chaunk ke khane se ankhoo ki roshni badhati hai.
- Bavasir se pidhit marijo ko masoor ki daal aur khatti chhanch peene se fayda hota hai.
You May Also Like:- Brown Rice Health Benefits: Chawal Ke Lajawaab Fayde
Chana Daal ke Fayde
Chana daal asptaal me bharti rogiyon ke liye faydemand hoti hai. Chana me vasaa ki matra kam hoti hai. Atah, is daal ka sevan karke aap apne sharir mai vasa ki matra ko kam kar sakte hai. Vasa ki adhik matra purush yon aur hormone ke swasthya ke liye bhadha ka kam karta he. Isliye, chana daal ko niyamit roop se khakar aap apne harmone ke star ko badha sakte hai. Sath hi, Chana daal cholesterol ko kam karne madad karta hai. Iska gylcemic index bahut kam hota hai, jo madhumeh se grast logo ke liye mahatvpoorn hai.
Urad Daal ke Fayde
Urad ki daal ko ek swashya daal ke roop me mana jata he. Isme iron ki matra adhik hoti he. Yeh sharir mai urja ka star badhane mai sahyog karta he aur aapko sakriya rakhta he. Jo log maans, machhali ka sevan nahi karte unke liye yeh ek protein yukt daal hai, jo majboot haddiyon aur swasth sharir ke liye aavshyak hai. Aaye, jaane anya Benefits of Urad Daal.
- Iske prayog se kamjori,aur hysteria sambhandhit samasyaon se chhutkara milta hai.
- Yeh daal madhumeh ke rog ko dur karne ke liye bhi kaafi mahatvapurn hai. Ise shahad aur karele ke ras ke sevan karne se ache parinaam milte hai.
Moong Daal ke Fayde
Moong daal ek diet anukool daal hai. Iss tarah ki daal me calorie kam se kam hoti hai. Sath hi, iron aur potassium adhik matra mai hota hai. Moong daal ek atyant shaktishaali ghatak he. Iske bahut se labh hai. Iske pryog karke aap muhaanse aur sukhi twacha ki samasyaon se nipat sakte hai. Iss tarah, moong daal aapki sundarta mai chaar chaand laga sakta hai. Moong Daal Benefits aur bhi hai.
- Moong ki daal unn logo ke liye aadarsh hai, jinhe pet mai pachan ki shikayat hai. Gas ki bimari aur soojan ko rokne mai yeh mahatvapurn sabit hoti hai.
- Moong daal me antioxidant gun hote hai, jo ki madhumeh, dil ki bimari, cancer, raktalpta, aadi se ladne me madad karti he aur swasth ko surakshit rakhti hai.
You May Also Like:- Natural Food Benefits in Hindi: Prakratik Aahar Ke Fayde Janiye
Tuvar Daal Ke Fayde
Tuvar daal ko samanyatah Tur ki Daal ya Arhar ki Daal ke roop me bhi jana jata hai. Iss daal ko bharat me bhojan ke liye kafi pradhanta di jati hai. Tuvar daal me protein, vasa, carbohydrate aur kai tarah ke poshak tatv hote hai, jo aapke sharir ke liye jaruri hote hai. Ise fiber ka bhi achha strot mana jata hai. Tuvar daal ko chawal ke sath khaane se sharer ko poorn protein milta hai. Yeh kai Source of Protein mese ek hai.
- Tuvar ki daal muh ke chhalon ke liye bahut prabhaavi hai. Tuvar daal me folic acid paya jata hai. Jo mahilaayen garbhvati banne ke liye yojna bana rahi hai, unke lie folic acid ek mahatvpoorn vitamin hota hai.
- Tuvar daal ka sevan karne se khaansi, gas, amlata, bavasir, pet dard aur jahar ke prabhav se jald chhutkara milta hai.
Upar aapne jana Health Benefits of Pulses in Hindi. Agar aap vegetarian hai to daalo ko apne khaane me niyamit roop se shamil kare aur lambe samay tak swasth rahe.