Home Remedies for Stomach Bug: Pet Ke Kide Dur Kare

Aajkal log bahar ka khana jyada pasand karte hai. Bahar ka khana jyada saaf safai se nahi banaya jata hai jis wajah se pet mai kitanu pahuch jate hai. Sankramit bhojya padhartho mai, gharo ke aaspas gandagi jamne se, aadhe kacche bhojan ka sevan aadi karne se pet mai kido ki samasya hone lagti hai.

Pet mai kido ki samasya bado aur baccho kisi ko bhi ho sakti hai. Lekin iski samasya jyadatar baccho mai dekhi jati hai. Pet mai kide ho jane se baccho ke shararik aur mansik vikas par kaafi prabhav padhta hai. Iske hone par kai tarah ki samasya jaise thakan, chidchidapan, shararik durbalta aur iske alawa chehre aur sharir ki twacha par safed dhabbe aadi lakshan dikhai dete hai.

Jin logo ka pratirodhak tantra kamjor hota hai unke pet mai kide bahut jadi ho jate hai. Unka sharir inn kido se lad nahi pata hai. Yeh kide apni sankhya mai vraddhi kar hamare sharir ko nuksan pahuchate jate hai.

Lekin aapko jyada pareshan hone ki jarurat nahi hai. Gharelu upcharo ko apnakar bhi iss samasya se nijad paa sakte hai. To aaiye jante hai Home Remedies for Stomach Bug.
 

Home Remedies for Stomach Bug:  Pet Ke Kido Ka Gharelu Upchar

 

 
Pet me kide hone par yadi aapko jarurat se jyada takleef hai to bina der kiye chikitsak ko dikha dena hi behtar hai. Par yadi yeh sab shuruwat hai to aap ise gharelu upcharo ki madad se theek kar sakte hai. To aaiye jane unn lakshano ko jisse aap ye jaan paye ki aapke pet mai kide ho chuke hai.
 

Pet mai Kide Hone Ke Lakshan:-

Aapke gupt ang mai khujli hoti hai kyoki kido ke ande yaha se bahar aate hai aur khujli ka karan bante hai. Isliye yeh bhi ek lakshan ho sakta hai.

Iske atirikt anya lakshan hai thakan, nind naa aana, bhukh na lagna, vajan ka girna, ji machlana, ultiya, sokhta pet, mulayam chikna mal, pet dard, dast aadi.
 

Pet Ke Kide Ke Gharelu Upchar:-

Faydemand Ajwain: Agar kisi ko bhi pet mai kide hai to ajwain ka prayog kare. Ajwain ka prayog karne se iska upchar sambhav hai. Sabse pehle to aap gud ka sevan kare. Gud khane ke bad aap 10 se 15 minute tak chahalkadmi kare. Aesa karne se aanto se chipke kide ek sthan par ektrit ho jayege, fir ajwain ka churan lekar upar se sada pani pee le. Aesa karne se sare kide mar jayenge aur maltyag ke samay bahar nikal jayenge.

Iske atritk aadha gram ajwain churn mai chutki bhar kala namak milakar ratri ke samay rojana garam jal ke sath dene se balako ke kide nasht ho jate hai. Bade ajwain ke churn mai kala namal milakar do gram ki matra, garam pani ke sath le.

Ajwain ka churn aadha gram, sat gram matthe ya chhanch ke sath aur bado ko do gram 125 gram matthe ke sath dene se pet ke kide nasht hokar mal ke sath bahar nikal jate hai.
 

You may also like:- Home Remedies for Stomach Pain (Pet Dard) in Hindi

 
Pyaj ka Ras: Yeh baccho ke pet ke thread worms ko saaf karne mai madad karta hai. Iske liye kuch pyaj ke tukde lekar unhe pees le aur uska ras nichod le. Ise subah khali pet piye.
 
Gunkari Papita: Papita bhi Stomach Virus ko marne ke liye accha antioxidant hai. Iske jariye upchar ke liye kacche papite ka char chammach dudh lo. Isme ek chammach shahad aur char chammach ubla pani dale. Yeh mishran ka subah khali pet sevan kare.
 
Kadwa Karela: Karela khane mai kadwa hota hai lekin iski yahi kadwahat pet ke kido ko marne mai faydemand hoti hai. Butter ke dudh ke sath ek chammach karele ka ras pine se teen din ke andar pet ke kide khatam kiye ja sakte hai.
 
Aadu aur Marua Ke Patte: Pet mai kide ho jane par vyakti ko aadu ke podhe ke kuch patto ko lekar peeskar uska ras nikal le. Lagbhag ek chammach ki matra ka ras lekar khali pet rojana sevan karne se pet ke sabhi rog dur ho jata hai.

Ek chammach marua ke patto ka ras nikalkar iss ras mai ek gram kabila ka churn milakar khali pet khaye. Lagatar 4 se 5 din is aushdhi ka prayog kare. Pet ke sare kide nikal jayege. Iske alawa adrak, dhaniya, hari mirch aur namak milakar chatni bana le. Iss chatni ka sevan karne se apachan, mandagni ki bimari thik ho jati hai.
 
Tamatar: Baccho ke pet mai kide hone par pratidin use ek paka hua desi tamatar, kale namak ke sath sevan karne ke liye de. Aesa karne se pet ke sabhi kide mar jayenge.
 
Chhanch: Rojana chhach mai namak aur jeera milakar pine se bhi pet ke kido ka vikas ruk jata hai.
 
Muli Ka Juice: Lagatar teen dino tak muli ke juice ka sevan karne se bhi pet ke kide mar kar mal dwara bahar aa jate hai.
 
Lahsun Ki Kacchi Kali: Baccho ko yadi pet mai kide ki shikayat ho to lehsun ki kacchi kaliyo ka 20-30 bund ras ek gilas dudh mai milakar dene kide markar, sonch ke sath bahar nikal aate hai.
 
Gulkand: Bina chhile gulkand ka paste bana le aur isme nimbu ka ras nichod ke mila de. Yeh khane se pet ke kide marte hai.
 
Surjana Phali Ke Beej: Do gram surjane ki phali ke beej ka powder thande pani ke sath lene se pet ke kide saaf ho sakte hai.
 
Ubla Pani: Namak ke tukdo ko uble pani mai dalkar pine se bhi pet ke kide mare ja sakte hai. Yeh aap roj subah khali pet pee sakte hai.
 
Tulsi ki Pattiya: Tulsi ki pattiya ya manjari pet ke kide mitane mai labhdayak hai. Tulsi ke patto ya iski manjari se aap dawai bhi bana sakte hai. Yeh pet ke kido se ladne mai madadgar hai.
 
Gajar: Pet ke kido se nipatne ke liye gajar ka sevan bhi faydemand hai. Iske liye subah ke wakt khali pet gajar ko peeskar khaye. Yeh na keval kido ko marta hai balki unhe dubara hone se bhi rokta hai.
 

You may also like:- Constipation Home Remedies: Kabj Se Bachne Ke Gharelu Nuskhe

 

Remedies for Stomach Bug: Anya Tarike Inhe Bhi Jane

  1. Pet mai huye kido ko kaddhu ke beejo ko sath lene se bhi kide mar jate hai.
  2. Kacche kele ki sabji 7-8 din tak lagatar sevan karne se pet ke kide mar jate hai.
  3. Neem ke patto ka ras shahad mai milakar pine se pet ke kide samapt ho jate hai.
  4. Saat dino tak paipte ke 11 beej roj khali pet khane chahiye. Chote baccho ko papite ke thode hi beej de. Garbhavati mahilao ko papite ke beej nahi khilane chahiye.
  5. Karele ke patto ka juice nikal kar use gungune pani ke sath milaye. Iss upchar se baccho ke pet ke kide turant mar jayenge.
  6. Anar ke chhilke ko sukhakar churn bana le. Yeh churn din mai teen baar ek ek chammach le. Isse pet ke kide nasht ho jate hai.
  7. Aap pet ke kido ko khatam karne ke liye peesa nariyal ka sevan kare. Dhyan rahe ki khane ke 2 se 2.30 ghante baad aap 30 mili arandi ka tel piye.
  8. 2 chammach anar ka juice nikal kar use gungune pani ke sath pilaye. Iss upchar se baccho ke pet ke kide turant hi mar jaynge.
  9. Karanj ki giri, palsh ke beej, deshi ajwain aur vidang inn sabko milakar churn banakar, 4 se 6 gram ki matra mai gud ke sath gungune pani se dene par pet ke kide nasht hote hai.
  10. Yadi ekdum chote bacche ko kida hota hai to baccha sota nahi hai aur raat mai rota hai. Ghaslate ke tel mai jara si rui dubokar is fohe ko bacche ki guda mai laga dene se churne ke kide mar jate hai to baccho ko aaram mil jata hai.

Upar diye gaye gharelu upcharo ki madad se aap pet ke kido ko to khatam kar sakte hai. Lekin yadi aap kuch savdhani barte to iske hone se bhi roktham ki ja sakti hai. Janiye wo tarike:-

  1. Nakhuno ko chhota chhota kat le.
  2. Paltu pashuo ko bhi swach rakhe.
  3. Sabji ko banane se pehle acchi tarah se dhoye.
  4. Roj snan kare aur svayam ko saaf suthra rakhe.
  5. Barish ke dino mai hamesha ubla aur chhana pani piye.

 
Upar aapne jana Home Remedies for Stomach Bug. Yadi aapko kide ki samasya lagatar bani hui hai aur mitli, dast ho rahi hai to bina der kiye chikitsako ko jarur dikhaye.

 

 

Loading...

This website uses cookies.