Home Remedies for Weakness: Kamjori aur Thakan Dur Kare

Aajkal ki bhagdor bhari jindagi mai ham hamare swasth ka dhyaan thik se nahi rakh pate hai. Jiska bahut bada prabhav hamari dincharya par dekhne ko milta hai. Darahsal vyastata ke chalte naa to kisi ke paas vyayam ke liye samay hai na hi kisi ka khan pan accha hai. Parinam swarup logo mai thakan, aalas, tabiyat kharab rehna aadi lakshan dikhai dete hai.

Swasth rehne ke liye sahi khan pan ka hona bahut jaruri hai. Kintu aaj ki generation ko bajar mai milne wali chize jyada pasand aati hai. Yeh chize swasth ke dhrsti se acchi nahi hoti hai. Inke sevan se naa to sharir ko jaruri nutrients milte hai upar se isse shair par vasa jamne lagta hai. Lagatar fast food aadi ka sevan kiya jaye to sharir kamjor hone lagta hai.

Kai bar lambe samay tak bimari se grasit hone ki wajah se bhi kamjori aa jati hai. Kamjori hone par thakan, ghabrahat, chakkar aana aadi lakshan dekhne ko milte hai. Kamjori se yaha tatparya keval shararik kamjori nahi hai.

Kamjori do prakar se ho sakti hai sharirik aur mansik. Shararik kamjori se to ham thodi der aaram karke bhi nijat pa sakte hai. Kintu mansik kamjori se nijat pana itna aasan nahi hai. Keval aaram karke ham isse nijat nahi paa sakte hai. Weakness ko dur karne ke liye bajar mai kai davaiya mojud hai. Par aap gharelu upchaar ke sath bhi isse nijat pa sakte hai. Aaiye jante hai Home Remedies for Weakness.
 

Home Remedies for Weakness: Kamjori Ke Gharelu Upay

 

 

Shahad Ka Sevan

Shahad har bhartiya  ghar mai aasani se mil jata hai. Isse gharelu dawai ke rup mai bhi istemal kiya ja sakta hai. Shahad mai vitamin B – Complex hota hai. Jiski wajah se bhukh badne lagti hai.  Shahad ka rojana sevan karne se amino acid, protein, calcium, potassium, carbohydrate, Iron aadi poshak tatav hamare sharir ko mil jate hai.

Ek glass doodh mai 1 chammach shahad milakar pine se sharir ki kamjori dur hone lagti hai. Parantu kamjori dur karne ke liye yeh gharrlu upchaar hai, aur isme wakt lagta hai. Yadi aapko jayda kamjori mehsus hoti hai to uske liye doctor ki salah lena aavyashak hai.
 

You May Also Like:- Jane Chronic Fatigue Syndrome Ke Lakshan aur Rahe Swasth

 

Kamjori Dur Karne Ke Liye Doodh

Waise to doodh mai bahut sare gun hote hai. Par gaay ka doodh sabse jayda asardari hota hai. Yadi aap kamjor ho gaye hai ya budhapa jaldi aa gaya hai to gaay ke doodh ka sevan kare.  400gm doodh mai 200gm pani dal de sath hi usme 1 chammch ghee dal de.

Iss doodh ko pine se kamjor vyakti balvan ho jayega. Aur usse bimariyo se ladne ki shamata bhi milegi. Kam karne wale purush yadi iss doodh ka rojana sevan karte hai to isse naa to budhapa aata hai na to woh  vyakti bimar padhta hai.
 

Faydemand Kela

Kele mai bahut se prakratik tatva jaise glucose, sucrose aur fructose moujud hote hai, jo aapko atyadhik urja pradan karte hai. Kele mai bahut adhik matra mai potassium bhi hota hai jo sharkara ko urja mai parivartit kar deta hai. Jab kabhi bhi aapko kamjori mehsus hoti hai, aap ek ya do kele ka shake banakar pee sakte hai. Kela ek behtarin Remedies for Tiredness hai. Iske sevan se aapko kamjori se nijat mil jayegi.
 

Badam mai Hai Takat

Badam mai vitamin E aur magnesium moujud hota hai. Iska sevan karne se aap urjawan mehsus karenge. Roj raat ko 2 badam bhigo kar rakh de, aur subh kha le. Kyuki badam mai fat, protein, carbohydrate hota hai. Jo aapke sharir ko urja dene mai madadgar hai. Agar aap chahe to badam ko sek kar bhi kha sakte hai. Iske niyamit sevan se aapki yaadast bhi badhti hai.
 

Nariyal Ka Tel

Nariyal ke tel ka istemap aapne apne baalo ko majbooti dene ke liye kiya hoga. Lekin kya aap jante hai iske istemal se aap shararik majbooti bhi badha sakte hai. Iska istemal bhojan mai karne se fat nahi badta hai tatha ye aasani se pach bhi jata hai. Nariyal ka tel metabolism aur urja ko badane mai bhi madad karta hai.

Yeh thyroid granthi ko uttejit karta hai tatha harmons ko santulit karta hai. Nariyal ka tel roj khana aapke sharir ke liye bahut fayedemand hai.
 

Fiber Se Bharpur Oats

Oats ek bahut hi accha aahar hai. Jisko khane se aapke sharir me charbi jama nahi hoti hai. Aur yeh sharir ko urja bhi pradan karte hai. Kyunki inme bharpur matra mai carbohydrate, fiber hote hai jo bhukh ko niyantrit karte hai. Sath hi isme magnesium aur potassium hota hai jo thakan aur kamjori ko dur karne mai sahayak hota hai.
 

 

Gunkari Amla

Amla mai kai nutrition tatv paye jate hai, jo energy ko badate hai. Yeh ek bahut hi accha madhyam hai jisse sharir ko vitmin C, Protein, iron, calcium, carbohydrate, and phosphorus aasani mil jata hai. Sath hi yeh pratirodhak pranali ko bhi majbut karta hai.

Roj 1 awle ka sevan jarur karna chahiye. Ya fir aap isko juice banakar ek chammach shahad dalkar piye, isse kamjori nahi aati hai. Rojana awla khane se aapke baal bhi acche hote jate hai.
 

You May Also Like:- Amla Benefits in Hindi: Is Phal Me Chupe Hai Dhero Laabh

 

Lehsun – Cholesterol Ghataye

Lehsun mai astringent aur anti- inflammatory tatva paye jate hai. Jo kamjor immune tantra ki marammt karte hai. Jisse kamjori nahi aati hai. Lehsun ka prayog aap sabji mai kare aur yadi aapko uccha raktchaap, madhumeh aadi ki sikayat hai to subah ke wakt khali pet 3-4 kali khaye.
 

Protein Se Bharpur Dahi

Dahi mai protein hota hai jisse sharir ko urja milti hai. Aur isme urja ko badane ke liye natural sugar bhi hoti hai. Garmiyo mai dahi ko khane se turatn urja mil jati hai. Iske aur labh janne ke liye padhe Dahi Ke Fayde in Hindi.
 

Phalo Ka Raja Aam

Rasile phal antioxidant, minerals, vitamins, aur fiber ke acche strot hote hai. Jo aapke swasth ke liye bhut labhdayak hai. Rasile phal jaise ki aam bhi sharir ko takat deta hai. Isme iron hota hai, jo anemia par kabu karne mai sahayak hota hai. Aam mai moujud starch sugar ko urja mai parivartit kar deta hai. Aam ke ras mai ilaichi, thoda sa kesar aur gulab jal mila kar pine se aapko turant urja milti hai.
 

Ande – Eggs

Ande mai bharpur matra mai riboflavin, folic acid, vitamin, iron aur protein hota hai. Subah nashte mai roj ek ande ka sevan karne se bahut fayda milta hai. Aap isse sandwich, omelet, hari sabjiya , cheese, ya fir ubla hua aadi rup mai kha sakte hai.
 

Ginseng

Ginseng ek bahut hi labhdayak aushdhiya poudha hai, jo dakshin Asia ya uttari America mai paya jata hai. Isme bahut se antioxidant paye jate hai. Jab bhi aap thakan mehsus karte hai, iska sevan kare, aapko isse urja milegi.

Iska  sevan karne se yeh aapke nerves system ko rahat deta hai. Ginseng ki 8 se 10 jad ke tukdo ko 3 cup pani me dalkar 15 minute tak use ubal le, tatha usme thoda sa shahad dal kar thodi thanda hone ke liye rakh de. Aur roj 1 se 3 cup ginseng tea ka sevan kare.
 

Sehat Se Bharpur Herbal Tea

Roj subah ek cup herbal tea aapke sharir mai sakaratmak urja ka pravah karti hai. Kyuki isme nutrients aur swad bharpur matra mai hota hai. Herbal tea bajar mai kai tarah se uplabdh hai. Tulsi , shahad, lemon tea ye sabhi aapke swasth ke liye faydemand hone ke sath sath aapki kamjori se bhi nijat deta hai.  Ya fir aap ghar par hi tulsi ki kuch pattiya ko 1 cup pani dalkar ubal le, tatha usme thoda sa honey aur shahad ko mila kar uska rojana sevan kare. Sharir ki kamjori dur ho jayegi.
 
Upar aapne jana Home Remedies for Weakness. Yadi aapko bhi atyadhik thakan mehsus hoti hai to upar diye gaye gharelu upcharo ko apnaye. Inka istemal karne se kisi tarah ka side effect bhi nahi hota hai. Yadi aapko thakan ke sath sharir mai sujan ya anya samasya hai to bina der kiye chikitsak ko dikhaye.

Loading...

This website uses cookies.