Hot Water Benefits in Hindi – Jane Iske Sharirik Labh

Purane samay se ek kahawat chali aa rahi hai “Bin Pani Sab Sun” arthat bina pani ke jivam sab kuch adhura hai. Pani sabhi praniyo ke liye kitna avashyak hai yeh to sabhi jante hai. Humare sharir mai 70 pratishat pani paya jata hai.

Pani ek behad jarutu tatv hai. Yeh humare sharir ke liye labhdayak to hai hi sath hi yeh anek bimario se bh raksha karta hai. Pani jaha humari pyas bujhata hai aur garm pani rogo se mukt karta hai.

Dawao aur kisi bhi prakar ke chemical yukt padartho ke sevan se humare sharir mai yeh ekatra ho jate hai. Warm water ke upyog se sharir mai mojud sabhi vishele tatvo ka nash ho jate hai aur sharir nirogi hone lagta hai. Yeh humari twacha khubsurat aur chamakdar banata hai.

Purane samay mai log subah ke samay garm pani piya karte the, lekin dhire-dhire yeh chalan kam hota chala gaya. Bahut se logo ko to yeh bhi nahi pata hota hai ki garm pani pine ke kitne labh hote hai. Agar aap bhi unhi logo mai se ek hai to aap bhi janiye Hot Water Benefits in Hindi, jab aap iske fayde janenge to aap bhi ashcharya mai pad jayenge.

 

Hot Water Benefits in Hindi: Garm Pani Ke Fayde

 

 

Benefits of Hot Water: Iske Labh

Sharir ki choti-choti bimario ko sirf garm apni piker bhi dur kiya ja sakta hai. Subah aur raat mai bhojan ke baad garm pani pine se pet ki sabhi pareshaniya nasht hoti hai aur kabj, gad ityadi ki samasya bhi nahi rahti hai. Aaiye jante hai Benefits of Hot Water

 

Subah-Subah Garm Pani Piye

  1. Pratidin subah-subah garm pani pine se pet thik se saaf hota hai aur kabj ki samasya bilkul thik ho jati hai.
  2. Subah garm pani ka sevan karne se heart mai hone wali jalan dur hoti hai aur vajan kam hota hai.
  3. Ladkiyo mai muhase aur pimples ki samasya aam hai lekin aaj kal ladke bhi isse pareshan hai. Subah ke samay khali pet drinking hot water, yeh chehre par pimples nahi nikalne deta hai aur skin ko saaf rakhta hai.
  4. Sharir mai Vitamin C ki kami hone par, subah-subah garm pani mai 8-10 bund nimbu ka ras milakar sevan kare.
  5. Sardiyo mai log aksar gale ki samasya se pareshan rahte hai, jisse aage chalkar khansi aur kharash jaisi pareshaniya utpann ho jati hai. Iske liye niyamit roop se subah-subah garm pani piye aur usse garara kare.

 

You may also like:- Matke ka Pani Pine se Hone Wale Swasth Laabh

 

Honey aur Garm Pani

Honey with warm water, aapne bahut se logo ko aisa karte huye dekha hoga, Kya aap jante hai garm apni mai shahad milakar pine fayde agar anhi to aaiye jante iske labh.

  1. Agar aap apne badte vajan se pareshan hai to, subah-subah garm apni mai shahad milakar niyamit roop se piye, dhire-dhire aapka vajan kam hone lagega. Iske sevan se fat burn to hota hai hi sath hi sharir ko fir rakhne mai bhi madad milti hai.
  2. Garm apni aur shahd milakar pine se khansi-jukham mai labh milta hai sath hi kharash, rukhepan aur cough ki samasya se mukti milti hai.
  3. Shahd mai anti-bacterial aur anti-fungal tatv hote hai, jo twacha ko saaf aur chamakdar banate hai aur acne se bachate hai.
  4. Pratirodhak shamta aur energy level badane mai bhi yeh bahut faydemand sabit hota hai.
  5. Metabolism ko badata hai, pachan tantra ko thik karta hai aur kabj se mukti dilate hai. Iske alawa garm apni mai shahad aur nimbu ka ras milakar pine se sugar level control mai rahta hai.

 

Twacha Ke Liye Labhdayak

Ulte-ssidhe aur chemical yukt padartho ke sevan se vishele tatv humare sharir mai ekatra ho jate hai, jo dhire-dhire sharir ko nuksan pahunchate hai aur hume jaldi bude lagne lagte hai. Agar aap skin ko tight aur young rakhna chahte hai to kam se kam 1 glass garm pani jarur piye.

  1. Niyamit garm pani pine se chehre ki jhurriya kam hone lagti hai.
  2. Twach par lage cosmetics ko hatane ke liye bhi garm pani ka istemal kiya jata hai.
  3. Halke gungune pani se chehre ko dhone se face komal aur mulayam banta hai.
  4. Agar aap kisi bhi prakar ki skin problem se pareshan hai ya glowing skin ke liye tarah-tarah ke cosmetic ka istemal karte hai to, niyamit garm pani ka sevan kare, yeh aapko skin problem ko thik kar dega.

 

 

Bhook Badaye

Agar aapko thik se bhook nahi lagti hai to garm pani aapke liye bahut faydemand sabit hoga. 1 glass garm pani mai kalimirch powder aur thoda sa namak milakar piye pet ka bharipan dur hoga tatha acchi bhook lagne lagegi.

 

Blood Circulation Thik Kare

Blood Circulation yani khoon ki gati ko badane mai garm pani bahut faydemand sabit hota hai. Knoon ki gati thik rahne se hum apne sharir ko anek bimario se bacha sakte hai. Garm pani sharir ko rogo se ladne ki shakti deta hai.

 

Masik Dharm Mai Rahat

Mahilao mai masik dharma ke samay pet dard ki samasya ek samanya baat hai, kyoki iss samay pain muscles mai khichav hota hai, jo pet dard ka karan banta hai. Aise samay mai 1 glass garm pani piye dard mai rahat milegi.

 

You may also like:- Period Food, Masik Dharm me Khaye Yeh Aahar

 

Pet Saaf Rakhe

Garm pani ke niyamit sevan ka ek labh yeh bhi hai ki yeh pet ki aanto mai jame huye mal ko aasani se nikal deta hai, jisse pet acchi tarah saaf ho jata hai. Yeh pachan tantra thik karta hai tatha kabj aur pet dard ko bhi thik karta hai.

 

Sharirik Sujan aur Dard Mai

Agar sharir ke kisi sthan par dard ya sujan ho rahi hai to halke garm pani mai namak milakar sikai kare bahut jaldi aapko dard mai rahat milegi.

 

Garm Pani Ke Anya Labh

  1. Gunguna pani jodo ke bich mai chiknai ka kaam karta hai. Iske sevan se gathiya rog mai aaram milta hai.
  2. Adhiktar bimaria gande pani pine se hoti hai, isliye pani ko garm kar thanda ho jane par sevan karna chahiye. Bukhar hone par thande pani ki jagah garm pani ka istemal karna chahiye. Yeh adhik faydemand hota hai.
  3. Garm pani pine se sharir ki ashudhiya aasani se saaf ho jati hai. Jab hum garm pani pite hai to sharir ka tapmaan badne lagta hai jisse hume pasina aata hai aur iske madhyam se sharir ki ashudhiya dur ho jati hai.
  4. Halka gungune pani ko ghut-ghut karke pine se sharir adhik chust aur durust hota hai. Bachpan se yadi pani ka santulit sevan kiya jaye to sharir ki haddiya majboot hoti hai.
  5. Khali pet garm pani pine se mutra se sambandhit rog thik hote hai. Sath hi waat se utpann rogo mai bhi yeh labhprad sabit hota hai.
  6. Pratidin 1 glass garm pani pine sar ki sales ki liye gajab ka tonic ka kaam karta hai. Yeh sar ke scales ko hydrate karta hai. Jisse scales dry hone ki samasya khatm ho jati hai.
  7. Garm pani ka sevan baalo ke liye bhi bahut labhkari hota hai. Yeh baalo ki jado ko majboot banata hai aur naye baalo ko ugne mai sahayat karta hai.

 

Pani Pine ki Sahi Vidhi

Pani pine ka bhi ek tarika hota hai. Aajkal log khade hokar, bottle se pani pite hai, jo ki ek galat tarika hai. Aaiye jante hai pani pine ki sahi vidhi-

  1. Subah uthkar 2 se 3 glass samanya tapmaan ya gunguna pani pina. Isse motapa, raktchap, kabj jaisi samasyao se mukti milti hai.
  2. Pani ko ghut-ghut karke tatha baithkar pina chahiye, kyoki isse laar ka nirman hota hai.
  3. Pani ko humesha sharir ke tapmaan ke anusar pina chahiye. Adhik thanda ya adhik garm pani nahi pina chahiye. Kyoki adhik thanda pani pine se pet ko adhik karya karna padta hai tatha hriday aur dimag jaise ango ki karyashilta kam hone lagti hai. Dimag ka rakt gurutvakarshan ke karan jaldi kam hone lagta hai, jo baad Brain Hemorrhage jaisi samasyaye utpann kar sakta hai.
  4. Jayada thanda pani pine se pet aante sikudne lagti hai, jisse sabhi rogo ke janak kabj ki shuruvaat hone lagti hai.
  5. Bhojan ke lagbhag 30 minute pahle aur 45 minute baad tak pani nahi pina chahiye, anyatha pachan sambandhit pareshaniya utpann ho sakti hai.
  6. Koi bhi phal ya mitha khane ke turant baad pani kabhi nahi pina chahiye.

Pani hum sabhi ki jarurato mai se ek hai. Dharti par mojud har prani ke liye yeh avashyak hai. Iske mahatv ko hume samjhna chahiye aur iske vyarth upyog se bachna chahiye. Jitni jarurat ho utna hi istemal kare. Jarurat se adhik pani ka upyog kar isse yuhi na bahaye. Waise bhi pani ki kami ek aam samasya ban gayi hai. Iska sanrakshan kare aur manushya hone ka praman de.

Upper aapne jana Hot water Benefits in Hindi, aap bhi garm pani ka niyamit sevan kare aur sharir ko swastha rakhe.

Loading...

This website uses cookies.