Importance of Yoga in Hindi – Aapke Jivan Ko Banaye Sukhmay

Aaj ka manushya mansik tanav se mukt hone tatha santosh aur anand ki talash mai idhar-udhar bhatak raha hai. Shanti ka ehsas mehsus karne ke liye wah utavala ho raha hai. Wah apni jivan bagiya ke aas-pas se swarth, krodh, katuta, irsha, ghrina aadi ko dur kar sukhi jivan vyatit karna chahta hai.

Aaj vyakti ko uss marg ki talash hai, jo use sharir se drid aur majbut banaye, buddhi se prakhar aur purusharthi banaye aur bhotik lakshyo ki prapti ke liye use atmwaan banaye. Nishi troop se aisa ek marg avashya hai. Ise bharat ke ek maharshi patanjali ne yogdarshan ka naam diya.

Yah ek pramanik tathya hai ki yog, mudra, pranayam, dhyan aur yog mai shwasan ki vishesh kriyao dwara sharir ko swasth aur tanav mukt ho sakta hai. Yah man vibhinn vishayo se hatakar sthirta pradan karta hai aur karya vishesh mai man ko sthir karne mai sahayak hota hai. Aaj hum aapko Importance of Yoga in Hindi, ke Vishay mai mahatvpurn jankariya dene wale hai. Jinhe jankar aap prasann bhi honge aur yog ke prati aapki ruche aur bhi bad jayegi.

 

Importance of Yoga in Hindi: Janiye Jivan Mai Yog Ka Mahatv

 

 

Yog prakrati se judi huyi ek vidhya hai jisse vyakti swasth rah sakta hai. Atah yog jivan jine ki ek kala hai, yog jivan jine ki ek vidhya hai, yah ek parikalp hai jisse hum apne astitv aur apni chetna se jud sakte hai. Aaj ke samay mai bhiyog ki utni hi avashyakta hai jitni sadiyo pahle thi. Vyakti ka shirr, man, chitt aur chetna swaroop ek aisa hi bana rahta hai, keval bahar ki parishitiya badalti rahti hai. Aaj ka mahol pahle se bahut alag hai, aaj har jagah pradushan aur gandgi hai. Aaj ka pratispardha aur pratiyogita ka hai. Jo vyakti inn pratiyogotao aur spardhao mai aage badna chahta hai, unke liye bhi yog ek sashakt madhyam hai. Jo antrik urja ke sath-sath dhyan bhi kendrit karta hai.

 

You May Also Like:- Yoga for Health in Hindi: Acche Swasthya ke Liye Niyamit Kare

 

Yah manushya ki fitrat hai ki wah kisi chij ki taraf tab aakarshit hota hai, jab unme hume kisi prakar ka labh milta hai. Jistarah log dhire-dhire yog ki taraf punah aakarshit ho rahe hai. Yah iss baat ka sanket hai ki yog ke kai fayde hai. Yah na keval humare humare sharir ko balki man aur atmiya bal ko sudrad banata hai aur santushti pradan karta hai.

Yog ka niyampurvak pratidin abhyas karne se sabse pahle humara sharir swasth banta hai. Sharir ke swasth rahne se man aur mashtishk urjawan bante hai aur dono ke swasth rahne se atmiya sukh ki prapti hoti hai aur jab yah teeno swasth rahte hai to jivan mai khushi aur safalta milna shuru ho jati hai.

Maanlo yadi humara jivan kaal 70 se 75 varsh hai to to usme se bhi shayad 25 se 30 varsh jivan ke karyashil varsah honge. Unn karyashil varsho mai bhi yadi hum apne swasthya aur jivan ki sthirta ko lekar chintit hai to phir karya kab karenge.

Har aayu ke vyakti chahe wah stri, purush, yuva, vridh ho sabhi ke liye yog labhdayak aur faydemand hai. Sharir ki shamtao le anusar yog mai kisi prakar ka parivartan aur badlav kiya ja sakta hai.

 

Effects of Yoga: Jane Iske Prabhav

Yog asana humare liye kitne prabhavshali hai jante hai. Yo ke niyamit abhyas se merudand yani rid ki haddi sudrad hoti hai. Jisse shirao aur dhamniyo ko aaram milta hai. Sharir ke sabhi ang shucharu roop se kaam karte hai. Pranayam ke jariye pranvayu sharir ke antrik bhago tak pahunchati hai. Jisse anavashyak evam haniprad dravya nasht ho jate hai. Jisse nind acchi aati hai aur andar sangrahit tanav bhi nikal jata hai. Pranayam aur dhyan se mashtishk aam logo ki apeksha bahut adhik kriyashil aur shaktishali banta hai.

Inke abhyas se jaha sharir ki urja jagrit hoti hai wahi humare mastishk ke antrik bhaag mai chupi shaktiya bhi uday hone lagti hai. Jivan mai safalta pane ke liye sharir ki sakaratmak urja aur mastishk ki shakti ki jarurat hai. Yah shakti keval aur keval yog dwara hi prapt ki ja sakti hai.

Yag ka ek sakaratmak prabhav yah bhi rahta hai ki sharir, man aur mastishk ke urjawan banane ke sath-sath aapki soch bhi badalti hai aur soch ke badalne se jivan mai bhi badlav aane lagta hai. Yog se sakaratmak soch ka vikas hota hai. Yah sabhi positive Effects of Yoga hai, jo hume bhi prabhavshali banate hai.

 

 

 

Benefits of Yoga in Hindi: Jane Inke Swasthya Labh

Vidharthi jivan mai yog ki madad lena bahut hi faydemand hota hai. Yog karte rahne se jaha unka dimag tej chalta hai aur wah padhai ke tanav se bhi mukt rahta hai. Yah ek aisi kriya hai jisme bina paise kharch kiye aap kai labh prapt kar sakte hai. Aaiye jante hai Benefits of Yoga

 

Man aur Bhavnao Par Yog

Hume aage badne ke liye, jivan mai sakaratmak vicharo ka hona bahut hi avashyak hai. Nirashajanak vichar hume asafalta ki aur le jate hai. Yog se man mai sakaratmak urja ka sanchar hota hai. Yog se atmiy bal prapt hota hai aur man se chinta, virodhabhas evam nirasha ki bhavna dur hoti hai. Isse man ko atmiya shanty aur aaram milta hai. Jisse man mai prasannta evam uttsah ka sanchar hota hai. Iska sidha asar vyaktitv aur sehat par hota hai.

 

Tanav Se Rahat

Aaj har vyakti ki life tanav se grasit hai. Har koi kisi na kisi prakar ke mansik tanav se jujh raha hai. Yah bhi apne aap mai ek tarah ka rog hai. Jo anya kai bimariyo ko nimantran deta hai. Iss tathya ko chikitsa vigyaan bhi swikaar chukka hai. Yog ka ek mahatvpurn fayda yah hai ki yah tanav se rahat dilate hai.

 

You May Also Like:- Relaxing Yoga Poses ke Dwara Paiye Tanav se Mukti

 

Mansik Shamtao Ka Vikas

Smaran shakti aur bodhik shamta jivan mai pragati ke liye pramukh sadhan mane jate hai. Yog ke dwara mansik shamtao ka vikas hota hai aur smaran shakti par bhi gunatmak prabhav hota hai. Yog mudra aur dhyan man ko ekagra karne mai sahayak hota hai. Ekagra man se smaran shakti ka vikas hota hai. Pratiyogita parikshao mai tarkik shamtao par aadharit prashn puche jate hai. Isse tark shakti ka bhi vikas hota hai. Yog ki kriyao dwara tarkik shakti aur karya kushalta mai gunatmak prabhav hone se atmvishvas bhi badta hai.

 

Sehat aur Yog

Yog sharir ko sehatmad banata hai aur kai prakar ki sharirik – mansik pareshaniyo ko dur karne mai sahayak hota hai. Yah shwasan kriya ko sucharu banata hai. Yog ke jariye gahri sans lene se sharir tanav mukt rahta hai. Yah rakt ke sanchar ko sucharu roop se chalata hai aur sharir se hanikarak toxins ko bahar nikalta hai. Yah thakan, sar dard, jodo ka dard aadi se rahat dilate hai aur blood pressure ko samanya banaye rakhne mai madad karta hai.

Yah sharir ko majbut aur lachila banata hai. Jisse manspeshiya santulit hoti hai. Sugathit, santulit aur lachila sharir hone se kisi bhi kaam ko karne ki shamta mai vridhi hoti hai. Kuch yog aasano se haddiya majbut hoti hai sath hi asthi sambandhi rog ki sambhavnaye bhi kam hoti hai.

Aadhunik yug mai yog ka mahatv dhire-dhire bad raha hai. Iska karan hai bhaag daud bhari zindgi aur rogo ne hume ghera huya hai. Aaj yuva kam mehnat mai adhik pane ki hodd mai din raat kaam mail age rahte hai. Har vyakti aage badna chahta hai, uchaiyo ko chuna chahta hai. Yah sab pane ke liye usse antrik urja aur iccha shakti ki jarurat hai, jo keval yog ke dwara hi prapt ki ja sakti hai. Yog vyayam anhi balki vigyaan ka chota aayam hai.

Baba Ramdev ka kahna hai “Jo Roj Karega Yog, Use Nahi Hoga Koi Rog” aur iss baat ko unhone siddh bhi karke dikhaya hai. Unke dwara bataye gaye yog se kai lakho logo ko behad labh mila hai. Jiska parinaam yah hai aaj wah pure vishav mai prasiddh hai.

Humare purvajo aur roshi-muniyo ne sharir ko mandir mankar uski niyamit puja kaise ki jaye iska pura vidhan bataya hai. Yog ka arth hi jodna hai. Humara sharir panch indriyo ke samanvay se hi bana hai. Twacha, kaan, aankh, jibh aur naak kramasah  ek-dusre ke purak hai. Agar naak ke jeriye shudh vayu ko sahi tarike se andar liya jaye to sharir ki sabhi indriya apas mai judkar apna-apna kaam vyavsthit karti hai.

Aaj hume aapko Importance of Yoga in Hindi, ki mahatvpurn jankariya di hai, jo aapke liye bahut hi labhprad aur faydemand sabit hongi. Yog ek prakar ki aushdhi hai, jo manushya sharir ke antrik aur bahay dono rupo ko vyavsthit karti hai aur hume swasthya banaye rakhti hai. Yah badi se badi bimari aur chote se chote rog par bhi asarkari sabit hota hai. Iske parinaam se aap bhi vakif hai. To yog ko apnaye aur sharir ko swasthya aur nirogi banaye.

Loading...

This website uses cookies.