Aap Bharat mai rehte hai to aapne jaljeera ka naam to jarur suna hoga. Yeh hamare desh ka ek prashiddha pey hai. Garmi ke dino mai yadi aap aalas ko dur karke tazgi pana chahte hai to isse accha pey koi ho hi nahi sakta. Yeh ek swadisht refreshing drink hai.
Iska swad chatpata hota hai. Garmi ke dino mai piya jane wala yeh pey baccho se lekar budho tak sabko pasand aata hai. Jaljeera mai milaya gaya kala namak, adrak, nimbu, pudina, aamchur powder iske taste ko shandar banante hai.
Bhale hi aapne ise apni pyas bujhane ke liye hi piya hoga lekin yeh aapke pet ko thik rakhne mai bhi bahut madad karta hai. Ise pine ke kai swasthya labh hai. Jaise garmi ke dino mai jab tapman badh jata hai to isko pine se yeh hamari sharir ki garmi ko dur karta hai. Isme prayog kiya jana wale jeera sharir mai khoon ki kami ko pura karta hai. Jisse Anemia hone ka khatra nahi rehta hai.
Jo log vajan ghatane ki chahat rakhte hai unhe to yeh drink jarur pina chahiye. Yeh aapke vajan ko kam karta hai aur pachan tantra ko durust karta hai. Aaiye jante hai aur bhi kai Jaljeera Benefits in Hindi taki aap iss refreshing drink ka doguna maja le sake.
Jaljeera Benefits in Hindi: Jane Iske labh aur Banane Ka Tarika
Anemia Se Bachav
Sharir mai khoon ki kami hone par Anemia ki samasya hone lag jati hai. Jaljeera mai jeere ka istemal kiya jata hai. Jeere mai loh tatva ki matra bahut jyada moujud hoti hai. Isliye jo log niyamit jaljeera ka sevan karte hai unke sharir mai rakt ki kami nahi hoti hai.
Motapa Kam Karne Mai Sahayak
Aaj ke wakt mai har tisra vyakti motape ki samasya se pidhit hai. Yadi aap bhi vajan kam karne ka soch rahe hai to bina der kiye jaljeera ka sevan karna shuru kar de. Garmiyo ke dino mai ham cold drinks ka istemal karte hai jisse ulta sharir ko nuksan hota hai. Isliye garmi ke dino mai jaljeera piye.
Yeh ek sheetpey hai jo aapke sharir ki garmi ko dur kar deta hai wo bhi bina koi nuksan kare. Isme calorie ki matra behad hi kam hoti hai. Aur iski khasiyat yeh hai ki isme calorie kam hoti hai aur yeh aapke sharir ko detoxify karta hai jisse aapko vajan kam karne mai madad milti hai. Jo log apan vajan kam karna chahte hai wo din mai do baar iska sevan kare. Kyoki isse bhukh kam lagti hai.
You may also like:- Water Benefits in Hindi: Kya Aap Jante Hai Pani Pine Ke Fayde
Twacha Ke Liye Faydemand
Jaljeera Drink ki baat kare to isme aamchur powder ka istemal kiya jata hai. Aur aamchur powder mai uccha matra mai Vitamin C hota hai. Sharir ko vitamin c milne se twacha ka rang nikharta hai aur twacha se sambandhit anya fayde milte hai. Iske atrikt vitamin c ke sevan se rog pratirodhak shamta bhi badhti hai.
Gas, kabj Aadi Se Rahat
Jaljeera ka pani pine se gas ki samasya dur hoti hai. Gas ki samasya se nijad pane ke liye ise dhire dhire piye jab tak pet ki gas puri tarah bahar naa nikal jaye. Iske alawa yadi kisi ko Constipation ki samasya ho to wo bhi isse dur hoti hai. Iska sevan din mai do bar karne se pet mai halka mehsus hone lagta hai.
Masik Dharm Ke Dard Se Rahat
Bahut si ladkiyo mai masik dharm ke samay pet mai tej dard hota hai. Yadi kisi ko bhi yeh samasya hai to ise din mai kai bar piye. Yeh pet ke pida mai aaram dialta hai. Iske atirikt samanya pet dard mai bhi yeh faydemand hai.
Pani Ki Kami Ko Pura Kare
Garmi ke dino mai pani ki kami se dehydration ki samasya ho jati hai. Aese mai jaljeera pani aapke sharir ko hydrate rakhne mai madad karta hai. Isme istemal kiya gaya kala namak aanto ki gas se ladta hai aur pachan kriya tej banata hai. Yeh sine mai jalan se rahat dilata hai. Garmi ke dino mai ise pine se yeh loo lagne se bhi bachav karta hai. Isse sharir aur dimag dono ko thandak milti hai.
You May Also Like:- Goats Milk Benefits in Hindi: Bakari Ke Dudh Ke Fayde
Anya Fayde inhe bhi jane:-
- Garmiyo mai iska sevan karne se sharir mai pani ki kami nahi hoti hai.
- Jaljeera mai adrak dala jata hai. Isliye yeh periods mai hone wali aethan,ulti, gas aadi samasyao mai rahat pahuncha sakta hai.
- Kuch mahilao ko subah ke wakt ulti mehsus hoti hai unke liye bhi jaljeera ka sevan faydemand hai.
- Yadi koi acidity ki samasya se pareshan hai to jaljeera isme uski madad kar sakta hai. Acidity hone par iss drink ko dhire dhire piye, jab tak acidity kam naa ho jaye.
Jaljeera Recipe in Hindi: Janiye Iski Vidhi
Vaise to Jaljeera ke shoukin logo ke liye market mai Jaljeera Powder milta hai. Lekin aap chahe to ise ghar par bhi bana sakte hai. To aaiye jane isme istemal hone wale ingredients aur tarika.
- Pudina aur dhaniya ke patte – aadha cup
- 2 nimbu, aadha cup rayta bundi aur 1 inch adarak ka tudka
- Buna jeera- 2 chammach, hing -1 pinch, kali mirch – ¾ choti chammach
- Bhuna jeera – 2 chote chammach, kala namak-1 chota chammach, sada namak-aadha chammach
Vidhi:-
- Sabse pehle to pudina aur dhaniya powder ko acchi tarah saanf karle aur dho le.
- Iske atrikt adark ko bhi acche se dho lijiye. Ab tino chizo se pani sukha le.
- Iske bad ab sare masale ko mixer mai pees lijiye. Aur nikal ke rakh de.
- Ab dhaniya, pudina aur kati hui adarak pees le. Piste wakt isme kali mirch, bhuna jeera, chini, hing, kala namak aur sada namak dal dijiye.
- Thoda sa pani dalkar masalo ko ekdum barik pees lijiye.
- Peese masale jar mai daal dijiye, aur 4 cup thanda pani dale aur acchi tarah iss mishran ko mix kar lijiye.
- Iss mishran mai nimbu ka ras bhi milaiye.
- Aapka jaljeera taiyar ho chuka hai. Ab ise 1-2 chammach bundi dalkar serve kare.
Upar aapne jana Jaljeera Benefits in Hindi. Jo logo ko jyada thika khatta pasand nahi hai unke liye upar di gayi vidhi acchi hai. Aur jo logo ko meetha nahi pasand hai wo log jaljeera banate wakt chini ka istemal naa kare. Ab to iske fayde jaane ke baad hame yakin hai ki aap iska sevan jarur karenge. To aaj hi ghar par try kijiye.