Nimbu ek prakratik aushdhi hai. Iska istemal kai tarah ki samasyao mai kiya jata hai. Yeh aapko har mousam mai mil jata hai. Yeh ek khatta phal hai jisme shair ko fayda pahuchane wale kai gun moujud hote hai. Nimbu se kai sari chije jaise acchar, jam, sahrbat aadi banaye jate hai. Iska sevan karne se motapa ghtata hai, sharir ko vitamin c milta hai aadi.
Lekin kya aap jante hai ki isse aapko sondarya labh bhi milte hai. Iska istemal naa keval khane ke liye balki aapki twacha ko nikharne ke liye bhi kiya jata hai. Yahi nahi yeh aapke baalo ko sundar banane mai bhi sahayak hai. Nimbu ko chehre par lagane se yeh bleach ki tarah kaam karta hai. Aur iske chhilke dead skin hatane aur blackhead saaf karne mai istemal kiye jate hai.
Sirf itna hi nahi yadi aapki twacha dhoop ke samparka mai aane ke karan jhulas gai ho aur chehre par kale dhabbe pad gaye ho to nimbu ise bhi thik karne mai sahayak hota hai. Iske liye ande ke safed bhag mai nimbu ki kuch bunde dalkar use chehre par laga kar rakhe aur sukhne ke bad pil ki tarah nikal le, aapka chehra chamakne lagega.
Twacha ke alawa yeh aapke baalo ke liye bhi labhprad hai. Agar aapke baal bahut jhad rahe hai, to nariyal pani mai nimbu ka ras dalkar milaye. Aur baalo mai laga le, aisa karne se aapke baalo se dandruff tatha baal jhadne ki samasya se aapko chutkara mil jayega. Aaiye jane aur bhi kai Lemon Beauty Tips in Hindi.
Lemon Beauty Tips in Hindi: Twacha aur Baalo Ke Liye Faydemand
Nimbu De Aapko Khoya Nikhar
Nimbu mai natural bleaching ke gun hote hai. Tatha isme moujud lighting agent aapke chehre ke daag dhabbe kam karne mai madad karta hai. Agar aapki twacha dhoop se jal gai hai, ya fir twacha par tanning ho gai hai to nimbu ke ras mai thode se shakkar ke dane mialkar usse scrb kare. Issse tannig ki samasya khatam ho jayegi.
Nimbu ko garden, kohni, guthane par lagane se ye natural cleanser ka kaam karta hai. Sath hi agar isko chehre par halke hatho se ragdne se yeh dead skin ko nikal deta hai. Tel mai nimbu ki kuch bund aur thoda sa glycerin milakar lagane se rukhi twacha fir se khil uthati hai.
Jhurriyo Se Paye Nijat
Nimbu mai antioxidant hone ki wajah se yeh aapke chehre ki jhaiyo ke upchar ke liye bhi aacha hota hai. Agar aap jhurriyo se nijat pana chahte hai to nimbu ke ras mai seb ka sirka aur badam ka meetha tel milakar lagaye. Iss pack ko roj 20 minute tak lagakar thande pani se dho le. Isse badti umar mai hone wali jhurriya nahi hogi.
You May Also Like:- Summer Beauty Tips in Hindi: Garmiyo Mai Aese Kare Dekhbal
Kale Daag Dhabbe Mitaye
Chehre par jaha bhi aapko kale daag dhabbe ho rahe hai. Uss jagah par aap nimbu ke ras ko laga kar kuch der bad dho le. Aisa roj karne par dheere dheere aapke chehre ke kale nishan mit jayenge. Ye khule huye rom chhidra ko bhi thik karne mai sahayak hota hai.
Nimbu ke ras ko kacche doodh ke sath milakar roj lagane se dhup ke wajah se hone walee daag dhabbe kam ho jate hai aur rang ko wapis gora hone mai madad milti hai.
Muhaso Se Paye Chutkara
Yadi aapki twacha par muhase ho jate hai to yeh aapki sundarta ko kam kar dete hai. Fir bhale hi aapka rang kitna hi gora kyu na ho ya nen nakse kitne hi acche kyu na ho. Aapka look accha nahi dikhta hai.
Nimbu ke taje ras mai thoda thanda pani milakar usse thoda patla kar le. Tatha use pratidin muhaso par lagane se muhase khatam ho jayenge. Aur unse rehne wale daag bhi mit jayenge. Nimbu aapki twacha ko andar se saaf karta hai. Jisse aap damakti hui twacha pate hai. Muhaso ki samasya se jald chhutakara pane ke liye aap 1 glass gungune pani mai thoda sa shahad milakr bhi rojana pee sakte hai. Yeh ek behtarin Home Remedy for Pimple hai.
Agar aapke chehre par kale muhase ho gaye hai to nimbu ka ras aapke chehre se kale muhaso ko bilkul hata dega. Kyuki isme mojud citric acid muhase ke karak tel ko bahar nikalne mai madad karta hai.
Teliya Twacha Se De Chutkara
Kya aap jante hai ki chehre par pimple, blackheads hone ki sabse badi wajah teliya twacha ka hona hai. Teliya twacha ke liye bhi nimbu bahut faydemand hota hai. Nimbu mai citric acid hota hai jo twacha par jamne tel ke anuo ko todta hai. Jiski wajah se twacha naram aur chikni ho jati hai. Nimbu mai thoda sa pani milakar use cotton se chehre par lagaye. Pratidin aesa karne se teliya twacha se chutkara mil jayega.
Hontho Ko Banaye Gulabi
Nimbu ka ras hontho ke liye bahut accha hota hai. Yadi aapke hoth fate sukhe aur bejaan ho gaye hai, to nimbu ke ras mai malai aur thoda sa shahad dalkar isse rojana hontho par lagaye. Isse aapke hoth naram aur gulabi bane rahenge.
Underarms Ka Kalapan Dur Kare
Kai bar hamare underarms pasine, pradushan ya fir hair remover istemal karne ki wajah se kale pad jate hai. Jiske karan wo bahut hi gande dikhai dete hai. Aur unme se gandi badbu bhi aane lagti hai. Agar aise underarms ke sath aap logo ke bich jate hai to aapko kai bar sharminda hona padega.
Isliye unka saaf aur gora hona bahut jaruri hai. Underarms ko inn samasyao se nijat dene ke liye nimbu ke ras ko kuch din tak roj cotton se underarms par lagaye. Aapke underarms gore ho jayenge aur pasine ki badbu se bhi chutkara mil jayega.
Aapki bahe bhi aapke liye utni hi mahtav rakhti hai jitna ki aapka chehra. Isliye aap nimbu ke ras mai badam ka tel aur shahad milakar roj massage kare. Kyuki isse dead skin ki parat nikal jayegi aur natural twacha uhar kar ayegi. Isse massage karne se underarms naram aur saaf rahenge.
Baalo Ke Liye Bhi Faydemand
Rusi ki wajah se kai bar hume office ya samuhik function mai sharminda hona padta hai. Agar aapke sar mai rusi ho gai hai, to nariyal ke tel mai nimu ka ras milakar sar mai kuch der tak laga kar rakhe. Aur thande pani se sar dho le. Isse aapke baalo se rusi bilkul khatam ho jayegi. Hair Care ke liye yeh ek aacha tarika hai.
You May Also Like:- Anti Aging Foods: Inn Aaharo Ki Madad Se Chupaye Apni Umra
Nakhuno Ko Sunder Banaye
Lambe aur sundar nakhuno ki chah har kisi ko hoti hai. Lekin kai bar nakhun pile ho jate hai aur bar bar tutte hai. Nimbu ke ras mai nakhuno ko bhigo kar rakhne par nakhuno se pilapan dur ho jayega. Aur nakhun majbut ho jayenge. Jisse aap payenge khubsurat nakhun.
Nimbu Se Hone Wale Anya Fayde Bhi Jane
- Nimbu ke ras mai nariyal ke pani ke sath mishran banakar twacha par lagane se twacha ko moisturize karne ka kaam karta hai.
- Nimbu ke ras mai thoda sa baking soda milake danto par roj ragadne se dant saaf aur chamakdar hote hai.
- Nimbu ke ras mai dahi aur lavender tel ko milakar rakh le aur ise cleanser ki tarah upyog mai laye.
- Namak, nimbu ke chhilke, aur pudina ke tel milakar pairo ke liye scrub banaya ja sakta hai.
- Nahane se pehle nimbu ke ras mai kaccha doodh ya malai ko milakar sharir par lagaye . Uske 15 minute bad naha le aapki twacha chamak jayegi.
- Nimbu ke ras mai 1 chammach shahad, aur badam ke tel ki kuch bund dalkar usko acche se mila le. Tatha chehre aur gardan par laga ke kuch der bad dho le twacha nikhar jayegi.
- Nimbu toner ki tarah bhi upyog mai laya jata hai. Nimbu ke ras mai pani aur vodka milakar chehre par lagane se atrikt tel hat jayega.
- Face pack banane ke liye nimbu ke ras mai, aloo ka ras, tamatar ka ras aur chandan ko ek sath milakar lep taiyar karle. Aur chehre pe face pack ki tarah lagaye tatha 20 minute bad dho le. Dhyan rakhe ki nimbu ko twacha par lagane ke bad dhoop mai na nikle.
Upar aapne jana Lemon Beauty Tips in Hindi. Yadi aap bhi uprokt labh pana chahte hai to nimbu ka prayog jarur kare.