Mud Therapy: Mitti ki Chikitsa ke Anokhe Swasth Laabh

Mud Therapy ek mahatvapurna naturopathy hai. Charm rog aur soundarya sambandhi samasyao ko thik karne mai yeh bahut hi karagar sabit hoti hai. Aur iska prayog se kai sharirik samasyao ko dur kiya ja sakta hai. To aaiye jante hai Mitti ki Chikitsa ke anmol laabh.

Prakritik chikitsa mai maati ka prayog kai rogo ke nivaran mai prachin kal se hi hota aaya hai. Naye vaigyanik shodh bhi pramanit karte hai ki maati chikitsa (Mud Therapy) ki sharir ko tarotaaza karne mai jivant aur urjavan banana mai mahatvapurna upyogita hoti hai.

Charm rog aur soundarya sambandhi samasya isse bahut jaldi thik ho jati hai. Yeh ek bahut hi karagar upay hai aur isse sharir ki aneko bimariya bhi dur hoti hai.

Mud Therapy: Mitti ki Chikitsa se Dur Kare Kai Tarah ki Bimari

Muhase ka Ilaj:

Acchi tarah se saaf karne wali tatha komal mud, jese multani mitti ka paste banakar chehre par lagane ke liye istemaal kiya ja sakta hai. Yeh pack muhase se chutkara tatha twacha ko prakritik chamak pradan karne mai sahayak hota hai.

Pachan Mai Sahayak:

Pet ke nichle hisse par mud pack se yeh pachan mai sudhar karne mai madad karta hai. Yeh abhyas aanto ki garmi ko kam karne mai Samarth siddh hoti hai, saath hi aanto ke peristalsis andolan ko bhi uttejit karta hai. Iske alawa pet mai gas ya dard hone ki stithi mai rahat pane ke liye pet par mud pack lagane ki salah di jati hai.

Diarrhea aur Ulti:

Dust hone par bhi mud pack sahayak hota hai. Iss samasya ke hopne par pet par mud pack lagaya jata hai. Wahi ulti ke mamalo mai mud pack ko chhati par lagaya jata hai. Ise lagane se ultiya band ho jati hai.

Kabj se Chutkara:

Pet par mud pack lagane par yeh kabj wali aant ke liye ek adbhut prakritik uttejak ka kaam karta hai. Isliye hi naturopathy mai bhi kabj ki samasya se chutkara dilane ke liye pet par mud pack lagaya jata hai.

You may also like:- Constipation Home Remedies – Kabj Se Bachne Ke Gharelu Nuskhe

Dry Skin ke Liye:

Dry skin aur mashpeshiyo ke dard se pareshan hai, to Mud Therapy aapko turant rahat degi aur aap fresh mahsoos karegi. Isse soundarya mai to nikhaar aata hi hai saath hi yeh anti-aging ka kaam bhi karti hai. Isse rogo ko dur karne aur sharirik soundarya ko banaye rakhne ke liye sharir ke alag-alag bhaago par mitti ka lep kiya jata hai.

Netra Samasyao ke Liye:

Aankho par iss pack ko lagane se aankho ki mashpeshiyo ko aaram milta hai tatha ise neta drashti vraddhi ke liye bhi faydemand mana jata hai. Iske alawa netra vikratiyo mai bhi faydemand hota hai.

Twacha Samasyao ke Liye:

Eczema jesi twacha samsyao se mud pack lagakar nijat payi ja sakti hai. Aisa mitti ki swabhavik pravatti, anti toxic aur thanda hone ki wajah se hota hai. Aise mai sabun ki jagah mud se nahane ki salah di jati hai.

Sar Dard aur Tanav Dur Kare:

Mud Therapy sar dard ke liye ek karagar upchar ho sakti hai. Yeh visheshkar garm aur aadra bahari vatavaran ke saath jude sar dard ke liye faydemand hoti hai. Aise mai mud pack ko maahte par laagu karne ki salah di jati hai. Isse sar ki garmi dur hoti hai aur sar dar aur t anav bhi dur ho jata hai.

Bukhar aur Ghav Aadi ke Upchar Mai:

Bukhar se rahat pane ke liye mud pack ko pet ke saath maathe par lagaya ja sakta hai. Mud mai anti-inflammatory gun hota hai, isliye yeh ghav aur nishano ke upchar ke liye bhi kafi karagar vikalp hota hai.

Upar aapne jane Mud Therapy ke bare mai jaruri jankari. To agar aap bhi inn upay ko apnayege to aap bhi kai tarah ki bimariyo se nijat paa sakte hai. Yeh aapke swasth ke liye bahut hi faydemand hote hai.

Get more details about Therapy from Diet And Fitness.

Loading...

This website uses cookies.