Raksha Bandhan bhai behna ko wah tyohar hai jo mukhyatah hindu samaj mai prachlithai par ise bharat ke sabho dharmo ke log saman utsah aur bhav se manate hai. Bhai-Behan ka pyar duniya mai sabse anutha hota hai. Iss sambandh ki tulna kisi anya se nahi ki ja sakti hai. Yaha jhagda hai, nok-jhok hai, chedna hai, chidana hai, lekin inn sabke niche aadhar mai prem hai.
Raksha Bandhan jesa tyohar iss rishte mai ek baar phir rang bharne ka moka deta hai. Aapko moka deta hai ki behna ki raksha aur sneh ke apne irade ko aap pura kar sake. Mann hi mann aapne jo apni behan ke liye socha hai use pura kar sake. Unn wado ko pura kare ki aap jindagi ke har mod par uska saath dege.
Agar paramparao ki baat kare to jab aapki behan aapki kalai par raksha sutra bandhti hai, to badle mai aapko use uphar dena hota hai. Wese gehne, perfume, kapde aur paise to aap humesha dete aaye hai, to kyu na iss baa rise sehat bhara nazrana diya jaye.
To aaiye hum aapko batate hai ki rakhi ke kuch aise ideas jinse aapki pyari behan aur bhi pyari lagegi. Wah sehatmand rahegi aur aap dono humesha swasth aur khushaal reh sakege.
You may also like:- Fitness Tips for Women: Mahilao ki Swasth Sehat ke Raaz
Rakhi ke Moke Par Dijiye Apni Behan ko Sehat ka Beshkimti Uphar
1. Yoga Class ki Sadasyata:
- Aapki sister ke sharirik aur mansik swasth ke liye yoga bahut madadgar sabit hoga. Isse na kewal use mansik roop se shanty milegi, balki saath hi uske sharir mai lachilapan bhi aayega.
- Din bhar mai ek ghante yoga karne se hi uska sara din sfurti aur anand se gujrega. Aajkal desh ke har shahar mai kai yoga classes khul chuki hai. Aap apni behan ko masik ya salan membership ka tohfa de sakte hai.
2. Organic Utpad:
- Aajkal inki kafi mang hai. Aur beshak aapki behan bhi aise utpado ko hasil kar bahut khush hogi. Kai brand organic sabjiyo se lekar makeup kit tak muhaiya karate hai.
- Aap inme se apni behan ki jarurat, pasan aur apne budget ke hisab se chun sakte hai. Inn utpado mai ek lambi shankhla moujud hai. Inme organic chai, cosmetic set aur yaha tak ki sabun aadi bhi uplabdh hai. Ise acche se pack kare aur aapka kaam ban jayega.
- Yakin kare aapke iss naye aur anokhe idea se aapki behan bahut khush hogi.
3. Foot Massage:
- Hume yakin hai ki aapne ise apni behna ko tohfe ke roop mai den eke bare mai nahi socha hoga. Lekin jara sochkar dekhiye.
- College ya daftar mai ek thakan bhare din ke baad foot massage kitni sukun bhari ho sakti hai. Hume yakin hai ki kisi earring ya dress ke mukable use yeh tohfa jyada pasand aayega.
- Ho sakte hai ki iski kimat thodi jyada ho, lekin iske fayde bhi jyada hai. Aur aapki behan ke chehre par aayi khushi se jyada kimti to aur kuch bhi nahi hai.
You may also like:- Pedicure At Home in Hindi: Ghar Par Pairo ki Khubsurti Nikhare
4. Fitness ki Books aur DVD:
- Fitness ki shuruaat ghar par hoti hai. Aur fitness se judi kitabo ya dvd ka set aapki behan ke fitness routine ko sahi rakhne mai madad karega.
- Agar vyast jivanshaily ke bich aapki behan ko gym jane ka samay nahi milta, to yeh tohfa uski kafi madad kar sakta hai.
- Iss tohfe ki madad se wah apna workout aaram se ghar ke andar rehkar bhi apna vyayam kar sakegi. Aur yaha uski madad karne ke liye video bhi moujud hoge. Janiye best Gym Tips in Hindi.
5. Lasik Surgery:
- Agar aapki behan chasma pehnti hai, to kesa rahe agar aap use lasik sugery ka tohfa de. Uski nazar aur khubsurti mai yeh tohfa char chand laga dega.
- 10-15 minutes ki yeh prakriya use chasme aur contact lens se chutkara dila degi. Doctor se uski aankh ki jaruri janch karwane ke baad surgery karwai ja sakti hai.
6. Chuttiyo ka Tohfa:
- Aap apni behan ko chuttiyo ke package ka tohfa bhi de sakte hai. Aisi jagah jaha wah kaam ki maramari aur aapadhapi ke bich kuch sukun ke lamhe gujaar sake.
- Uski suraksha ke bare mai jyada fikramand na ho. Bas iss baat ka dhyan rakhe ki aap ne accha travel package chuna ho jisme hotel se pickup-drop ki suvidha uplabdh ho.
- Wese weekend par kahi aas-paas ghumne ka irada bhi bura nahi hai.
You may also like:- Women Health Tips in Hindi: Mahilao ke Liye Swasth Laabh
7. Aatma Suraksha Sikhaye:
- Aaj ke asurakshit samay mai kisi bhai ka apni behan ki suraksha ke prati chintit hone swabhavik hi hai. Aise mai har mahila ke liye aatma raksha ke thode bahut gur sikhna jaruri hai.
- To kya na use aatma raksha ki kala sikhne wale kisi prashikshan sansthan mai dakhil karwaya jaye.
- Yeh uske liye kaafi faydemand hoga, tab bhi jab aap uske paas uski madad karne ke liye nahi hoge.
8. Fitness aur Trekking Upkaran:
- Yeh behna ke liye Raksha Bandhan ke behatrin upharo mai shumar hai. Gadget ab sirf ladko ke liye hi nahi hai. Ladkiyo ko bhi yeh upkaran bahut pasand aate hai.
- Isse unki jindagi aasan aur swasth ban sakti hai. Inn dino kafi fitness par nazar rakhne wale upkaran bazaar mai moujud hai. Yeh fitness ki rah par aapke safar par nazar rakhne ka kaam karta hai.
- Heart gati, sampurna sehat aadi yeh puri nazar rakhte hai. Agar aapki behan ko fitness ka shok hai to wah iss tohfe ko jarur pasand karegi.
Ab jab aapko rakhi ke liye sehatmand tohfo ke bare mai pata chal chukka hai, to ab aapko apni pasand ka tohfa chunane mai aasani hogi. Aur aapki behan bhi aapke iss tohfe ko dekhkar badi khush hogi.