Tinnitus ek aisi ajib si bimari hai jiske antargat kaano ke andar bina kisi wajah se aawaj gunjati rehti hai. Yeh koi aam samasya nahi hai. Yeh koi bimari nahi hai balki kisi bimari ka lakshan hai. Yeh rakt vahiniyo ki samasya ya umra ke saath sunane ki shakti kshin padne se jodi ja sakti hai. To aaiye jante hai Tinnitus Symptoms, Causes aur Remedies ke bare mai avashyak jankari.
Log Tinnitus se kafi pareshan rehte hai kyuki isse sunane ki kshamta par asar padta hai jo ki humare jivan ka kafi mahatvapurna bhaag hai. Iske bawjud bhi yeh aisi koi badi samasya nahi hai iska ilaj sambhav hai. Umra ke saath logo ke sunane ki kshamta bhi kam ho jati hai. Kuch upcharo ki madad se aap ise thik kar sakte hai.
Bharat mai 20 mai se 1 vyakti sunane ki shakti se judi samasya se pidit hai, aisi mai kuch vishesh upcharo dwara aap ise thik kar sakte hai.
Tinnitus Symptoms in Hindi: Iske Lakshan ko Pahchaniye
Aas-paas kisi bhi tarah ki aawaj na hote huye bhi aapke kaano mai kisi aawaj ka gunjana hi Tinnitus kehlata hai. Iske kuch laksha hai:-
- Siskari
- Dahad
- Kaan Bajna
- Aawaj Gunjan
Stithi ke gambhir hone ke mutabit kaan mai aawaj ka gunjana kam ya jyada ho sakta hai. Kuch logo ko yeh aawaj ek kaan mai hi sunai deti hai to kuch ko dono kaano mai. Kuch logo ko yeh aawaj itni tez sunai deti hai ki wo asli aawaj bhi nahi sun pate hai.
Kuch logo ke liye yeh samasya asthai roop se pareshan karne wali hoti hai aur anya logo ko kafi dino tak yeh samasya satati hai.
You may also like:- Ear Infection Symptoms and Home Remedies
Tinnitus Types: Janiye Iske Kuch Prakar
- Vyaktiparat Tinnitus:- Yeh ek khaas prakar ka tinnitus hota hai. Jisme aap sun sakte hai. Jyadatar log iss prakar ke tinnitus ke jujhte hai. Iss prakar ke tinnitus ka mukhya karan kaan ke andruni, bahari tatha Madhya bhaag mai samasya hona hai. Agar aap sunane ki naso mai aayi samasya se pareshan hai to aapko vyaktiparat tinnitus ki samasya hai.
- Vastugat Tinnitus:- Yeh kafi kam logo mai paya jata hai tatha sirf doctor hi test ke douran ise sun sakte hai. Iss prakar ke tinnitus ka mukhya karan khoon ki dhamniyo mai kisi prakar ki koi samasya hai. Yeh andruni haddiyo ki koi samasya mashpeshiyo mai marod ki pareshani ho sakti hai.
Tinnitus Causes: Janiye Iss Samasya ke Kuch Karan
-
Tez Aawajo ke Sampark Mai Rehna:-
Aamtour par factory mai bhari upkarno ki aawaj se kafi shor paida hota hai. Iske alawa gaane bajane ke tamam upkaran kafi shor paida karte hai. Agar aap inme se kisi chiz ke sampark mai hai to aapko Tinnitus hone ki sambhavna kafi jyada hai.
-
Kaan ki Haddiyo Mai Parivartan:-
Agar aapke kaan ki haddi kaan ke bich mai kadi ho rahi hai to isse aapke sunane ki kshamta par asar padta hai. Yeh haddiyo ke atirikt roop se badhne ki wajah se bhi hoti hai jiska karan anuvanshik ho sakta hai.
You may also like:- Home Remedies for Earache: Kan Ke Dard ke Gharelu Nuskhe
-
Umra Aadharit Samasya:-
Umra badhne ke saath sharir mai kai samasyaye aati hai. Sunane ki kshamta kshin hone ka umra ke saath bhi sambandh ho sakta hai. Isse tinnitus ki samasya bhi ho sakti hai. 60 saal ki umra se yeh samasya shuru ho sakti hai. Iska ek chikitsiya naam bhi hai- Presbycusis.
-
Kaan Mai Wax Jama Hona:-
Kaan ka mom kaano mai gandagi aur bacteria jane se rokta hai. Par kabhi kabhi atirikt matra mai mom humare kaano mai ekatrit ho jata hai. Aisi mai bhi tinnitus ki samasya ho sakti hai.
Tinnitus Remedies: Iss Samasya ka Behatrin Tarike se Upchar
-
Dawai Badalna:-
Kai baar dawaiyo ke side effect se bhi tinnitus hota hai. Iss bimari se bachne ke liye aap apni dawaiyo ko badle.
-
Kaan ka Wax Nikale:-
Agar aapke kaan mai kafi mom jam gaya hai to ise nikalna avashyak hai. Parantu iske liye hair pin ka prayog na kare, kyuki isse kaano ko haani pahuch sakti hai.
-
Kaan Dhakne ka Yantra:-
Aap ab kaano ko swasth rakhne ke liye kaan dhakne ke mask ka prayog kar sakte hai. Isko pehanane ke baad aapko bahari shor ka samna nahi karna padega.
-
White Noise Machine:-
Yeh aisa yantra hai jo paryavaran sambandhi aawaj nikalte hai jese samudra ki lehre aur barish. Yeh tinnitus ka kafi mahatvapurna upchar hai.
You may also like:- Home Remedies for Ear Pain – Ear Pain ke Gharelu Nuskhe
Yogasana Jo Kare Tinnitus aur Sunane Mai Dikkat ka Behatrin Ilaj
Inn samasya se bachne ke liye aap inn yoga ko kar sakte hai. Yeh aapke swasth ke liye kafi madadgar sabit hote hai. To aaiye jante hai Tinnitus Yoga ke bare mai kuch avashyak jankari:
-
Viparita Karani Asana:-
Viparita Karani Asana rakt sanchar ko sucharu banata hai. Aur kaano se sambandhit samasyao se bhi chutkara dilata hai. Ise karne ke liye sabse pehle diwaar se karib 3 inch ki duri par chatai bichaye aur phir apne pairo ki aur faila kar let jaye, ab sharir ke upari bhaag ko piche ki aur jhukakar chatai par let jaye, iss avastha mai dono pair diwar se upar ki aur hone chahiye. Baaho ko sharir se kuch duri par jamin se lagakar rakhe. Iss avastah mai hatheliya upar ki aur honi chahiye.
-
Ustrasana:-
Ustrasana karn eke liye pet ke bal let jaiye aur phir dono haato se pairo ki pindliyo ko pakad lijiye. Iske baad vakshsthal, kandhe aur pet ke uppar aur niche ke bhaag ko khichiye. Iss stithi mai 3 se 8 minutes ke liye rahiye tatha muh puri tarah band rakhiye. Dhyan rahe ki harniya ke rogi yeh asana na kare.
-
Matsyasana:-
Matsyasana karne k ke liye padmasana lagakar baith jaiye aur pith ka bhaag jamin se uthaiye tatha sar ko itna piche le jaiye ki sar ke bich wala bhag jamin se chu jaye. Ab sidha haath se ulte pair ka angutha aur ulte haath se sidhe pair ka angutha pakadiye. Ghutono ko jamin se lagakar pith ke bhaag ko upar uthaiye taki sara sharir kewal ghutno aur sar ke bal upar uth jaye.
-
Pavanmuktasana:-
Pavanmuktasana ridh ki haddi ko lachila aur majboot banata hai aur sharir ke kafi laabhdayak hota hai. Ise karne ke aap bahut hi fresh feel karte hai.
-
Bhramari Pranayama:-
Ise karne ke liye kamar sidhi karke baithe, dodno kaano ko haato ki tarjani ungaliyo se halke se band kar le. Aankhe band kar le aur labi saans bihtar kare. Yeh jor se kare taki mastishk, chehra aur hontho ki mashpeshiyo mai spadan ho sake. Ek ke baad ek swas lekar lagatar 10 bar ise dohraye. Isse kaan ki naso mai rakt sanchar badhkar aur kaam ka parda lochdar hokar sunane ki kshamta badhti hai.
Upar aapne jane Tinnitus Symptoms, Causes aur Remedies ke bare mai kuch jankari. To agar aap bhi aisi koi pareshani se grasit hai to inn tariko ko apnakar swasth rahiye.
Get more details of Tinnitus from Diet And Fitness.