Tips for Lose Weight in Hindi: Vajan Ghatane Ke Behtar Upay

Fast food ke sevan aur aniymit dincharya ki wajah se logo ka vajan teji se badh raha hai. Lekin jab vajan ko kam karne ki bat aati hai to log sabse pehle apne khanpan mai kami kar dete hai. Ham aapko batana chahte hai ki khanpan mai kami karne se sharir ko kamjori aur bahut si pareshaniyo ka samna karna padta hai.

Iske alava dieting karne se se kuch dino ke liye to vajan kam ho jata hai lekin baad mai wapis se vajan teji se badhne lagta hai aur sath hi motapa bhi badhta hai. Isliye vajan ko kam karne ke liye hame apne khanpan mai kami karne ki bajay yeh jan lena bahut jaruri hai ki aese koun se upay hai jiski madad se ham apne vajan ko niyantrit kar sakte hai.

To aaiye padhe Tips for Lose Weight in Hindi. Isme ham aapko batayenge ki yoga, vyayam aur aese bahut se tarike hai jinhe apnane se vajan ko aasani se kam kiya ja sakta hai. To yaha padhiye vajan kam karne ke upay.
 

You May Also Like:- Breakfast for Weight Loss in Hindi: Nashte Se Kam Kare Vajan

 

Tips for Lose Weight in Hindi: Inn Tariko Se Kam Kare Apna Vajan

 

 

Vajan Kam Karne ke Liye Tarah Padarth

 
Vajan ko kam karne ke liye hame apne diet plan mai kis tarah ke bhojan, taral padarth aur vyayam ko apnana chahiye janne ke liye sabse pehle aaiye padhe weight loss drinks ke bare mai.

Green Tea

Green tea anti-oxidant tatvo se bharpur hota hai jo ki sharir ke vajan ko ghatane mai madad karta hai. Iske alava isme Polyphones paya jata hai jo ki sharir mai jami hui atirikt charbi ko burn karne ka kam karta hai. Isliye rojana subah green tea ka sevan jarur karna chahiye.

Tarbuj Ka Ras

Tarbuj mai pani ki adhik matra payi jati hai sath hi isme calorie ki bahut kam matra payi jati hai. Iss wajeh se yeh hamare sharir mai jami charbi ko ghatane mai madad karti hai. Sath hi pani ki adhikta hone se yeh sharir ke sabhi vishele padartho ko bhi bahar nikalne mai madad karta hai.

Anannas Ka Ras

Anannas hamare sharir ke metabolism ke liye bahut accha hota hai sath hi yeh pachan tantra ko bhi durast rakhne ka kam karta hai. Iss tarah anannas ka ras bhojan ke pachan mai madad karta hai jo ki vajan ko ghatane mai sahayak hota hai.

Khub Pani Piye

Sharir mai pani ki kami se bahut si bimariya janm le leti hai sath hi motapa aur vajan bhi badhne lagta hai. Isliye rojana kam se kam 8 glass pani jarur piye. Pani hamare sharir ko overeating se bachata hai aur vajan ko kam karne mai bhi madad karta hai.

Nimbu Pani

Rojana subah khali pet nimbu pani pine se vajan kam hone mai madad milti hai. Nimbu mai upastht critic acid sharir ki charbi ko badhne se rokta hai aur motape ko kam karne mai sahayak hota hai.
 

Vajan Kam Karne ke Liye Khaye Yeh Aahar

 
Vajan ko kam karne ke liye khan pan par dhyan dene ki jarurat hoti hai aur jis se aap jald hi apne vajan ko kam kar sakte hai. To aaiye padhe Weight Loss Foods ke bare mai.

Hari Sabjiyo Ka Sevan Kare

Hari sabjiyo mai kai prakar ke vitamins aur khanij tatv paye jate hai jo ki sharir ke liye bahut acche hote hai. Sath hi hari sabjiyo mai upasthit fiber, bhojan ke sahi tarah se pachan mai madad karta hai jo ki vajan ko kam karne mai sahayak hota hai. Isliye palak, bhindi, methi aadi sabjiyo ka sevan jarur kare.

Sabut Anaj

Sabut anaaj mai shamil sabhi prakar ke anaajo mai vitamin A, B, Magnesium, Calcium, Fiber aadi tatvo ki adhik matra payi jati hai. Jo ki vajan ke sath-sath motape ko bhi kam karne mai sahayak hote hai.

Dalhano Ka Sevan Kare

Dalhan yane ki pulses bhi hamare vajan ko kam karne mai sahayak hote hai. Yeh sharir mai metabolism ko behtar banate hai aur motape ko kam karne mai bhi sahayak hota hai. Pulses ka upyog daal banane ke sath-sath salad ke roop mai kar sakte hai.

Brokali

Brokali mai upasthit Phytonutrients namak enzyme sharir ki koshikao mai upasthit vasa ko jalane mai madad karta hai. Sath hi isme calorie ki bahut kam matra payi jati hai. Iss wajeh se iske sevan se vajan kam karne mai madad milti hai. Brokali ka upyog sabji ke sath-sath salad ke rup mai bhi kiya ja sakta hai.
 

You May Also Like:- Fat Loss Tips in Hindi: Jane Charbi Ghatane Ke Aasan Tarike

 

Vajan Kam Karne ke Liye Kare Inn Phalo Ka Sevan

Vajan ko kam karne mai khadya padartho ke sath-sath phal bhi madadgar hote hai. Inke liye aaiye padhe Weight Loss Fruits in Hindi jisme ham janenge ki hame koun se phalo ka sevan karna chahiye.

Seb

Seb mai calorie ki bahut kam matra payi jati hai jisse vajan nahi badhta. Iske alava seb mai vitamins, minerals aur fiber ki adhik matra rehti hai jisse yeh sharir ki rog pratirodhak kshamta ko bhi badhane mai madad karta hai.

Rasbhari

Rasbhari mai sharir ki calorie ko kam karne aur charbi ko ghatane wale hormones paye jate hai. Iske alava yeh dil se sambandhit rogo ko bhi dur karne mai sahayak hota hai. Isliye rojana 100 se 200 miligram rasbhari ka sevan jarur kare.

Papita

Papite mai Vitamin C ki adhik matra payi jati hai jo ki vajan ko kam karne mai madad karti hai. Yeh har mosam mai milne wala phal hai. Iske rojana sevan se pet accha rehta hai, khana thik se pachta hai aur vajan bhi badh nahi pata hai.

Khajur

Khajur mai sulfur aur potassium ki adhik matra payi jati hai jo ki hamare dil ko swasth rakhne ke sath-sath vajan ko bhi teji se kam karne mai sahayak hote hai. Iske alava iske sevan se sharir ka metabolism bhi behtar banta hai.

Nimbu

Nimbu mai vitamin C ki adhik matra payi jati hai jo ki hamari twacha ki dekhbhal mai madad karti hai. Iske alava yeh hamare sharir ke vajan ko kam karne mai bhi mahatvapurna bhumika nibhata hai. Vajan ko kam karne ke liye rojana subah khali pet shahad ke sath nimbu ke ras ko pani mai gholkar jarur piye.
 

Vyayam Bhi Hai Faydemand

 

Cardio Exercise

Jo log apne badhte vajan se bahut pareshan rehte hai unke liye cardio exercise bahut hi faydemand hoti hai. Vajan ghatane ke sath- sath yeh hriday aur dil ke swasth ke liye bhi acchi hoti hai.

Cycling

Vajan kam karne ke liye cycling bhi ek accha tarika hota hai. Aesa karne se sharir mai moujud fat ki matra kam hoti hai ur vajan kam hone lagta hai.

Running

Rojana 1 km per minute ki rafter se dorkar sharir ke vajan ko kam karne mai sahayak hota hai. Iske alava rojana dodne se bhi sharir majbut rehta hai. Isliye apni daily routine mai running ko jarur shamil kare.

Yoga Ko Jarur Apnaye

Yoga hamare sharir aur swasth dono ke liye bahut accha hota hai. Isliye apne dainik jivan mai yogabhyas ko jarur apnana chahiye. Yeh na keval hamare swasth ka khayal rakhta hai balki hamare vajan aur motape ko kam kar hame fit bhi rakhta hai.
 

Tips for Lose Weight in Hindi: Anya Tarike Inhe Bhi Apnaye

 

  1. Apne vajan ko kam karne ke liye adhik calorie yukt bhojan jaise junk food, fast food aur bahar ke khanpan se bachna chahiye.
  2. Iske alava apne khapan ka niyamit samay rakhna chahiye. Aniymit samay par bhojan karne se vajan aur motapa to badhta hi hai sath hi sharir ko anya kai prakar ki pareshaniyo ka bhi samna karna padta hai.
  3. Vajan ko kam karne ke liye hame apna nashta pet bharkar karna chahiye. Isse vajan to kam hoga hi metabolism bhi sahi rahega. Sath hi hame nashte mai protein yukt khadya padarth ka sevan karna chahiye.
  4. Din mai har 2 ghante ke antral mai hame kuch na kuch khate rehna chahiye. Isse ham ek sath overeating se bache rahenge jo ki vajan ko kam karne mai sahayak hoga.
  5. Adhik carbohydrate se yukt bhojan ka sevan se sharir mai vasa jam jata hai. Isliye hame chaval aur chini se dur rehna chahiye.
  6. Rat ka bhojan bahut adhik aur bhari karne se bhojan ke pachan mai sahi samay nahi mil pata hai. Isse vajan badhne lagta hai. Isliye jitna ho sake rat mai ubla bhojan ya fir halka bhojan hi kare.
  7. Adhik namak ke sevan se sharir mai pani ki adhik matra ho jati hai jo ki vajan ko badhane mai madad karti hai. Isliye namak ka sevan kam kare aur ho sake to sendha namak ka sevan kare.
  8. Fiber hamare sharir mai jami atirikt charbi ko ghatane mai madad karti hai. Isliye jitna ho sake apne aahar mai fiber yukt bhojan ko hi shamil kare.

Upar aapne jana Tips for Lose Weight in Hindi. Yadi aap bhi apna vajan jald se jald kam karna chahte hai to upar diye gaye tips ko apne dincharya mai shamil kare aur rahe fit.

Loading...

This website uses cookies.