Vitamin C Foods in Hindi: Swasth Sharir aur Twacha Ke Liye

Sharir ko swasth aur chust-durust banaye rakhne ke liye vitamins ki paryapt matra milna bahut hi avashyak hai, kyoki inse sharir mai urja aur dimag mai taro-tajgi bani rahti hai. Yeh sharir ko bhitari roop se hi nahi balki bahari roop se bhi fayda pahunchate hai.

Kabhi aapne dhyan diya hai ki jo khana aap kha rahe hai, usme kon-kon se jaruri poshak tatv hai. Kanhi aisa to nahi ki aap jo kha rahe hai, vah keval swad aur pet bharne ke liye hi ho lekin sharir ke liye jaruri vitamins aur minerals aapko nahi mil pa rahe ho.

Agar aap aisa hi kar rahe hai to yeh aapke swasth aur sharir dono ke liye bilkul bhi thik nahi hai. Vitamins ki kami ka natija yah bhi ho sakta hai ki aap umra se pahle bude najar aane lage. Itna hi nahi aankho ke niche kale ghere aur baalo ka jhadna bhi vitamins ki kami ki wajah se hota hai.

Manushya sharir ke samanya kaamkaaj ke liye Vitamin C bahut hi avashyak hai. Aaj hum aapko Vitamin C Foods in Hindi ke bare mai jankari dene wale hai.

 

Vitamin C Foods in Hindi: Janiye Iske Pramukh Strot

 

 

Vitamin C kai prakar se rasayanik kriyao mai sahayak hota hai, jaise tantrikao tak sandeh pahuchana ya koshikao tak urja pravahit karna aadi. Isse yukt padartho ki khas baat yah hoti hai ki yeh aasani se pach jate hai aur agar inki matra sharir mai bad jati hai to urine ke dwara bahar bhi nikal jate hai. Aaiye jante hai Vitamin C Sources

 

Guava – Amrood

Guava Fruit kise accha nahi lagta hai. Har vyakti isse khana bahut hi pasand karta hai. Yeh swad mai mitha aur tasir mai thanda hota hai. Vitamin C ki prachur matra se parirun yah phal anek bimario ko dur rakhta hai. Iske sevan se pitt, kabj, pet ke kide tatha pachan sambandhit samasya ko dur karne mai bahut hi sahayak hota hai.

 

Chili Powder – Mirch Powder

1 chammach chilli powder mai 5.13 mg vitamin c tatha 25 calories ki matra hoti hai. Yah antioxidant aur minerals se bharpur hota hai. Ek shodh ke anusar, mirch ke chote-chote tukde khane ke sath lene se bhook kam lagti hai, jisse motape par kabu paya ja sakta hai. Lal mirch mai capsaicin namak padarth hota hai. Jo lal mirch ko humesha garm rakhta hai. Yah bhook ko kam karti hai aur urja ki khapat ko badane ke liye jimmedar hoti hai.

 

You may also like:- Vitamin E Benefits in Hindi: Swasth Ke Liye Faydemand

 

Yellow Bell Peppers – Shimla Mirch

Bell Peppers alag-alag color ki hoti hai, yah swad mai mithi hoti hai. Jise aap aapne niyamit bhojam mai ya nashte mai aasani se upyog kar sakte hai. Aap chahe to pizza ya pasta dish mai bhi ise istemal kar sakte hai. Jo aapke khane ke swad ko to badayega hi sath hi vitamin C ki matra bhi aapke sharir mai pahunchati rahegi. 1 chammach bell pepper mai 341.31 mg vitamin c tatha 50 calories hoti hai.

 

Cauliflower – Gobhi

Gobhi matra ek sabji nahi hai yeh balki yah humare sharir ke liye bahut hi labhprad sabit hoti hai. Yeh anek rogo se hume bachati hai. Iske sevan se pilia, haddi ka dard, bavasir, peshab mai jalan aadi kai bimara thik hoti hai. Iska istemal sabji ke alawa cauliflower soup, salad aadi alag-alag tarah se kar sakte hai. Jo aapke swad aur swasthya dono ka khayal rakhta hai. 1 cup gobhi mai 46.6 mg vitamin C aur 25 calories hoti hai.

 

Sprouts

Sprouts sabse accha aur sasta aahar hota hai. Jise bahut hi aasani se ghar par hi tyyar kiya ja sakta hai. Isme anti-oxidant poshak tatv hote hai jo sharir ki kriya ko sucharu roop se chalane mai sahayak hote hai. Nuts, beej, anaj aur faliyo ko ankurit karke sprouts banaya jata hai. Ise aap apne anusar alag-alag tarah se bhi bana sakte hai. Ise aap kisi bhi samay chahe naste ya bhojan ke sath bhi kha sakte hai. Baccho ko yah bahut hi pasand aata hai.

 

Parsley – Ajmod

Ajmod ka dana ajwain ki tarah lekin usse bada hota hai. Isme Vitamin A, B aur C, potassium, magnesium, phosphorus, iron, calcium, sodium aur fiber aadi poshak tatv hote hai. Iski tasir garm hoti hai. Yah shwas, sukhi khansi, kidney rog, sharirik kamjori, dard aur sujan aadi vikaro mai faydemand sabit hota hai. 1 chammach ajmod mai 5.12 mg vitamin c aur 1 calorie hoti hai.

 

Mustard Greens – Sarso Ka Saag

Sarso ka saag aur make di roti to sabhi ko bahut pasand hai. Khaskar panjab ke shetro mai to yah sabse jyada khaya jata hai. Yah swasth ke kai faydo se juda huya hai. Isme mojud vitamins, minerals, fibers aur protein ise behad faydemand banate hai. Sarso ke 100gm saag mai 27 calorie, .04 gm fats, 358 mg potassium, 4.7 gm carbohydrate, 3.2 gm fiber, 1.3 gm sugar jaise tatv bharpur matra mai paye jate hai. Iska sevan aap salad ke roop mai bhi kar sakte hai.

 

 

Turnip Greens – Shaljam

Shaljam mai poshak tatvo ka bhandar hai. Shaljam ke mulable iski jad mai kai guna minerals aur vitamins hote hai. Ise anti-oxidant, mineral aur fiber ka bahut accha strot mana jata hai. Iska sevan sharir mai immunity ko badata hai aur hani-karak free-radicals, cancer aur sujan se sharir ki raksha karta hai. Shaljam ki saag bina dar ke kisi bhi rog se pidit vyakti ko khilai ja sakti hai.

 

Pineapples – Ananas

Ananas ka phal behad swadist hota hai. Iske kacche phal ka swad khatta tatha pake phal ka swad mitha hota hai. Iske phal mai thiamin, riboflavin, sucrose, glucose, carbohydrate aur protin jaise poshak tatv shamil hote hai. Yah pachan tantra, khansi, pat ka darad, danto ka dard aadi vikaro mai labhprad sabit hota hai. Aap iske juice ka seva n bhi kar sakte hai. 1 cup ananas juice mai 78.78 mg vitamin aur 83 calories hoti hai.

 

Tomatoes – Tamatar

Baccha ho ya bada tamatar sabhi ko pasand aate hai. Yah bhi vitamin C se parirurn hota hai. Iska sevan aap niyamit rrop se bhojan mai sabji ke sath, salad ke rrop ya kabhi bhi kar sakte hai. 1 meduim tamatar mai 28.78 mg vitamin C aur 28 calories hoti hai.

 

Papaya – Papita

Apne aksar dekha hoga kisi bhi prakar ke rog mai doctor hume papita khane ki salah dete hai, iska reason yah hai ki isme vitamin c ki bharpur matra hoti hai. 1 medium papite mai 187.87 vitaminc aur 119 calories hoti hai. Yah pat ke rogo mai aur immune system ko majbut banana mai yogdan deta hai.

Yah sabhi Vitamin C ke bahut acche strot hai. Inke alawa sabhi prakar ke khatte phal aur sabjiyo ke sevan se humare sahrir mai iski paryapt matra bani rahti hai. Twacha ke liye yah bahut hi khas hota hai, kyoki yah tatv sharir mai kolojan ka nirmaan karte hai jo twacha ko sangathit aur kasav banaye rakhta hai. Jisse twacha par jhurriya nahi padti hai.

 

You may also like:- Healthy Food Benefits in Hindi: Poshtik Aahar Ke Fayde

 

 Vitamin C Benefits: Jane Sharir Ke Liye Kyo Hai Jaruri

Vitamin C sharir ke liye kyo jaruri hai aur iss tatv yukt padartho ka sevan kyo karna chahiye. Aaiye jante hai Vitamin C Benefits

 

Free Radicals    

Vitamin C mai anti-oxidant hota hai, jo sharir ko free radicals se bachata hai. Free radicals ki wajah se sharir par jhurriya jaldi padne lagti hai aur sharir ke ang damage hone lagte hai. Vitamin C yukt phalo aur sabjiyo ke sevan se yah samasya nahi rahti hai.

 

Cancer Se Bachaye

Agar aapke sharir mai Vitamin C ki paryapt matra hai to aap kisi bhi prakar ke cancer se bache rah sakte hai, kyoki yah sharir mai antibody banata hai aur rog ki pratirodhak shamta ko majboot banata hai.

 

Sardi Se Nijaat

Bahut se logo ka yah khana hota hai ki sardi ke mausam mai khatte phal khane se sardi-jukhan ho sakta hai lekin ek shodh mai yah paya gaya hai ki sardi-jukham mai yah bahut hi faydemand hota hai.

 

Sharirik Sanrachna

Vitamin C ke abhav se masudo se khoon aana, dant dard, danto ka dhila hona, tatha twacha dhili pad jati hai. Vitamin C sharir ki koshikao ke nirmaan mai yogdaan deta hai.

 

Ucch-Raktchaap se Rahat Dilaye

Jo vyakti ucch-raktchaap se pareshan rhate hai, unhe Vitamin C se yukt padartho ka niyamit sevan karna chahiye. Yeh naso aur maspeshiyo ko faila deta hai aur hyper-tension se aage koi aur nuksaan hone se bacha deta hai.

Aaj aapne jana Vitamin C Foods in Hindi, agar aap bhi chahte hai sharir mai vitamin ki paryapt matra barkarar rahe to niyamit roop se apne bhojan mai kuch khatte phal ya sabjiyo ka istemal kare. Kuch to samanya khadya padarth hai jinhe aap normally bhi apne bhojan mai upyog karte hai ya aasani se upyog kar sakte hai.

Loading...

This website uses cookies.