Ashwagandha Benefits in Hindi: Ek Poudha Fayde Anek

Ashwagandha (Withania Somnifera) ek jhhaadidar romyuktt poudha hai jo hazaro varsh se herbal upchar ke roop mai laayi jati hai. Jyadatar iska upchar ayurvedic chikitsa mai kiya jata hai. Ashwagandha ke beej, phal aur chhaal ka vibhinn rogo ke upchar mai prayog kiya jata hai. Ashwagandha Benefits in Hindi bahut hi faydemand hai. Janiye iske anek fayde!!

Iss poudhe mai aise aushdhiya gun hote hai jo vajan ghatane, lakwa aadi se ladne mai aapki madad karta hai. Yeh aapko bukhar, sujan aur sankraman aadi sharirik samasyayo ke liye upyog mai laye jate hai. Isme heart attack ko kam karne ki bhi kshamta hoti hai.

Ashwagandha chai, poudho ki jado aur pattiyo se bani hoti hai jo ki swasth laabh ke upyog mai laayi jati hai. Ashwagandha Benefits mai iski chai ko aasani se ek ghante mai ashwagandha ki sukhi jadi-booti ko ubalne aur fir chhane ke dwara banai ja sakti hai. Poudho ki jad bade paimaane mai kam se kam 3 gm honi chahiye aur yeh matra 3-4 cup chai banane mai kaafi hai.

Ashwagandha Benefits in Hindi: Jaane Iske Anek Fayde

Twacha Rog

Ashwagandha Benefits mai iske poudhe ki pattiya twacha rog, sharir ki sujan aur sharir par pade ghav, jakhm bharne jesi samasya se lekar bahut si bimariyo mai bhi bahut upyogi hai.

Sharir Mai Faydemand

Ashwagandha (Withania Somnifera) ki pattiyo ko pisskar lep banakar lagane se sharir ki sujan, sharir ki vikruit granthi aur kisi bhi tarah ke fhode fhunsi hatane mai madad karti hai. Iske pattiyo ko ghee, shahad, peeple aadi ke saath milakar sevan karne se sharir nirogi rahta hai.

You may also like: Health Benefits of Green Beans: Healthy Potion Tatva

Saans Sambandhi Rog

Saans sambandhi rogo se nijat pane ke liye Ashwagandha ke ras ko ghee aur shahad ke saath milakar sevan karne se bahut laabh milta hai.

Motiyabind

Motiyabind duniya mai andhapan ka ek pramukh karan hai. Ashwagandha jadi booti oxidentive pratikriyao ko rokti hai jo ki motiyabind ki samasya mai sahayak hota hai aur aankhon se sambhadit problem ko dur karta hai.

Charm Rog

Charm Rog mai Ashwagandha bahut laabhkari saabit hua hai. Iska churna banakar tel ke saath lagane se charm rog se nijat paa sakte hai.

Rakhtchaap

Ashwagandha Benefits mai ucch rakhtchaap ki samasya se pidit log yadi ashwagandha ke churna ka doodh ke saath niyamit sevan karenge to nischit tour par aapka rakhtchaap samanya ho jayega.

Madhumeh

Ashwagandha ka sevan karne se rakt mai sharkara ka star kam hota hai. Jisse vyakti ko madhumeh ki bimari hone ki sambhavna kaafi kam ho jati hai. Iske alawa ashwagandha ke churan ka sevan karne se cholesterol bhi kam hota hai aur uccha raktchaap ki samasya nahi aati hai.

Cancer Ki Bimari mai Faydemand

Shodh se pata chala hai ki ashwgandha mai aise tatva hota hai jo cancer koshikao ko badne se rokate hai. Kyoki iske jad mai alcohol ke gun hote hai, jo sharir par koi toxicin nahi chodta hai. Iske alawa isme tumor growth ko rokane ki kshamta hai. Ashwagandha cancer ki bimari se nijat dilane mai bhi sahayak hai.

Anidra Ko Dur Karne mai Prabhavkari

Yadi aapko anidra ki samasya hai to ashwagandha ka sevan karne se  aapko anidra dur bhag jayegi. Jo log bhi iss pareshani se pareshan hai unhe iska sevan jarur karna chahiye. Aap chahe to iska kheer paak banakar sevan kare.

Aankhon Ki Roshani Badane mai Sahayak

Yadi aapki aankhon ki roshni kamjoor ho gai hai to ashwagandha, mulethi aur amla tino ka mishran banakar churan bana le. Tatha 1 chhota chammach niyamit rup se iska sevan kare. Aapki aankhon ki roshani bad jayegi.

Ashwangandha Contain Quantity
Glycowiwithaolide Bioactive 10 %
Sensoril 69.9 %
Cortisol 24.2 %
Protein 11 mg
Zinc 0.25 mg


Ashwagandha Side Effects: Jaane Iss Podho ke Dushparinaam

Janiye iske kuch prabhav jo aapke sharir par kar sakte hai bura asar. To inki jankari bhi avashya le aur phir hi ise sevan kare.

Pet Sambandhi Samasya

Ashwagandha Side Effects mai pet sambandhi samasyaye hone ki ashanka bani rahti hai. Adhik matra mai ashwagandha ki pattiyo ka sevan karne se gas banane lagti hai, saath hi dast or ultiyaa bhi ho jaati hai.

Sharir ke Viprit Reaction

Yadi aap sujan kam karne, gathiya ke rog ko door karne aadi rogo se ladne ke liye ashwagandha ka prayog kar rahe hai to,  aapko asi ssithi mai iska sewan band kar dena chahiye. Ashwagandha ke niyamit sewan se aapki pratirodhak shamta bahut adhik badh jaati hai jisse sharer ke viprit reaction hona shuru hpo jata hai.

You may also like:- Shilajit Benefits in Hindi: Shilajit se Hone Vaale Fayde

Dawaaye Beasar

Ashwagandha Side Effects mai yadi aap kisi gambhir bimari se nijat pane ke liye ashwagandha ka sevan kar rahe hai, to aap par anya dawaye beasar ho sakti hai.

Sharirik Taapmaan

Ashwagandha ka sevan karne se kuch logo ka sharirik taapmaan badh jata hai, natija bukhar tak pahuch sakta hai. Aisi istithi mai aapko iska sevan karna band kar dena chahiye, anyatha aapko iske dushparinaam bhugatne pad sakte hai.

Iske alawa madhumeha rogiyo, pachan sambandhi bimariyo se pareshan vyakti, ulcer pidit vyakti, garbhvati mahilao, aur breastfeeding karane wali mahilao ko ashwagandha ke sevan se bachna chahiye. Aur aapko iske sevan se pehle apne chikitsak se salah avashya lena chahiye.

To Apnaiye humare Ashwagandha Benefits in Hindi tips jo dega aapko swasth sehat aur behtar jivan.

Loading...

This website uses cookies.