Charm Rog se Bachne ke Liye Aasan Gharelu Upchar

Charm Rog aapko kai tarah ki pareshaniya de sakta hai. Barish aur garmi ke mousam mai iss tarah ki samasya adhik hoti hai. Aise mai twacha ka bachav karna bahut jaruri hota hai nahi to Charm Rog hone ki sambhavna jyada hoti hai. Aaiye jante hai iss samasya se bachne ke liye aasan gharelu upay.

Aapko yeh skin allergy kai karano ke wajah se ho sakti hai. Bhale hi wah suraj, kapde ya phir saabjiyo, kisi dawai, sabun, cosmetic ke istemaal bhi iss tarah ki allergy ho sakti hai. Skin bahut hi sanvedanshil hoti hai isliye uss par inn sab chizo ka asar bahut jaldi padta hai.

Iss rog mai aapki skin par bahut ajib se nishan ubhar jate hai. Aur uski wajah se aap apne aap ko kisi ke samne nahi le jana chahte hai. Inn nishan se chutkara pane ke liye aap try kar sakte hai humare diye gaye kuch aasan tarike aur kijiye inn daag ko apne se dur.

Charm Rog

Charm Rog Dur Kare Yeh Aasan Gharelu Upchar

1) Genda:
  • Genda gehre pile aur narangi rang ka phul hota hai. Yeh Skin ki samasyao ka prabhavshali gharelu upay hai. Yeh chote-mote cut, jalne, macchar ke katne, rukhi twacha aur acne aadi ke liye shaandar gharelu upay hai.
  • Isme anti-bacterial aur anti-viral gun hote hai. Yeh sujan ko kam karne mai bhi madad karta hai. Iske saath hi genda jakhmo ko jaldi bharne mai madad karta hai.
  • Yeh har prakar ki twacha ke liye laabhkari hota hai. Gende ki pattiyo ko pani mai ubalkar usse din mai 2-3 baar chehra done se acne ki samasya dur hoti hai.
2) Chamomile/Babune ka Phul:
  • Chamomile ka phul twacha par lagane se jalan ko shant karta hai aur saath hi agar iska sevan kiya jaye to antrik shanty pradan karta hai. Iske saath hi yeh kendriya tantrika pranali par bhi sakaratmak asar dalta hai.
  • Yeh eczema mai bhi kafi madadgar hota hai. Iske phulo se bani herbal tea ka din mai 3 bara sevan aapko kafi fayda pahuchahta hai.
  • Iske saath hi eczema aur psoriasis jesi bimariyo se ubarne mai bhi yeh phul kafi madad karta hai. Ek saaf kapde ko chamomile tea mai dubakar use twacha ke sankramit hisse par lagane se kafi laabh milta hai. Iss prakriya ko 15-15 minutes ke liye din mai 4 se 6 baar karna chahiye.
  • Iske kai under eye moisturizer mai bhi prayog hota hai. Isse dark circle dur hote hai.

You may also like:- Safed Daag Treatment in Hindi: Rakhe Apne Aap ko Bedaag

3) Comfrey:
  • Iss phul ke paate aur jade sadiyo se twacha sambandhi rogo ko thik karne mai istemaal ki jati rahi hai. Yeh cut, jalna aur anya kai jakhmo mai kafi laabhkari hota hai. Isme moujud tatva twacha dwara kafi tezi se avasoshit kar liya jata hai. Jisse swasth koshika ka nirmann hota hai.
  • Isme twacha ko aaram pahuchahne wale tatva bhi paye jate hai. Agar twacha par kahi jakhm ho jaye to comfrey ki jado ka powder banakar use garam pani mai milakar ek gadha paste bana le. Is ek saaf kapde par faila de.
  • Ab iss kapde ko jakhmo par lagane se chamatkari laabh milta hai. Agar aap ise raat mai bandhkar so jaye. To subah tak aapko kafi aaram mil jata hai. Ise kabhi bhi kahaya nahi jana chahiye, anyatha yeh liver ko nuksaan pahucha sakta hai.
  • Gehre jakhmo par bhi iska istemaal nahi karna chahiye. Isse twacha ki upari parat to thik ho jati hai, lekin bhitari koshikaye puri tarah thik nahi ho pati hai.

Charm Rog Upchar

4) Alsi ke Beej:
  • Alsi ke beej mai omega 3 fatty acid hota hai jo humare immune system ko majboot banane mai madad karta hai.
  • Isme sujan ko kam karne wale tatva moujud hote hai. Yeh skin disorder, jese eczema aur psoriasisb ko bhi thik karne mai madadgar hota hai. Behtar rahega ki iska sevan kisi anya aahar ke saath hi kiya jaye.
5) Nariyal ka Tel:
  • Nariyal ka tel anti-bacterial hone ke karan allergy walai kharab twacha ko saaf karke nikal deta hai. Isiliye allergy hone par nariyal ka tel ka istemal jarur kare aur sone se pehle ise jarur lagaye.
6) Olive Oil:
  • Olive oil mai polyphenols anti-oxidants hote hai jo free radicals ko samapt hone se bachata hai. Skin problem par olive oil lagane se turant aaram milta hai.
  • Khastour par Charm Rog par aur jalan wali jagah mai yeh bahut hi asardar sabit hote hai.

You may also like: Gharelu Nuskhe Chehre ke Daag Dhabbe Hatane ke Liye

7) Nimbu ka Ras:
  • Nimbu mai moujud anti-oxidants twacha ki allergy ko dur karne mai faydemand hota hai. Allergy wali jagah par rui se nimbu ka ras lagaye. Iske alawa aap isko nariyal ke tel ke saath bhi mila kar laga sakte hai.
8) Anya Upay:
  • Haldi, laal chandan, neem ke chhal, chirayata, baheda, amla, hared aur aduse ke patte ko ek saman matra mai lijiye. Inn sabhi samano ko pani mai puri tarah se fulne ke liye bhigo se. Jan yeh sare saman puri tarah se ful jaye to piskar ek paste bana lijiye.
  • Ab iss paste se 4 guna adhik matra mai til ka tel lijiye. Uske baad mishran ko mand aanch par tab tak karm karte rahiye jab tak pani bhap na ban jaye.
  • Iss paste ko pure sharir mai jaha-jaha khujali ho rahi ho waha par ya phir pure sharir mai lagaiye. Iske lagate rehne se aapke twacha se charm rog thik ho jayega.

Eczema, Psoriasis, Massa, Luxoderm, Scabies ya khujali charm rog ke prakar hai. Kisi bhi prakar ka charm rog tab tak thik nahi ho jata hai jab tak wah bahut kasthdayak hota hai. Jiske karan se aadmi mansik roop se bimar ho jata hai.

Charm Rog ki samasya hone par aap chikitsak se salah le sakte hai aur saath hi saath aap inn upay ki madad se apne iss rog ko thik kar sakte hai.

Get more details about Skin Problem from Home Remedies.

Loading...

You may also like...