I Pill Side Effects in Hindi – Sharir Ko Karte Hai Prabhavit

Aaj ki yuva pidi sab kuch apne tarike se karna chahti hai. Pahle jaha shadi 1 ya 2 saal ke baad hi ghar mai bacche ki kilkaari sunai dene lagti thi. Kintu aaj kal aisa nahi hai, samay ke sath-sath ab iss prakriya mai bhi parivartan aaya hai. Aaj ka yuva pahle thik se settle hona chahta hai aur baad mai bacche ke bare mai sochta hai.

Aaj ke samay mai shadi ke 2 se 3 saal ke baad tak family planning ki jati hai. Waise dekh jaye to yah ek accha kadam hai lekin iske liye jo birth control methods upyog ki jati hai, wah kabh-kabhi dukh ka karan bhi ban jati hai. Sidhi si baat agar aap shadi ke 2-3 saal tak bacchanahi chahte hai to iske liye aap garbhnirodhak ka istemal to karenge hi, uska tarika kuch bhi ho sakta hai.

Aaj kal bajar mai Anti-baby pill yani garbhnirodhak golia milti haiYah bhi pariwar niyojan ka ek tarika hai. Hum aapko inhi garbhnirodhak golio ke vishay mai mahatvpurn jankari dene wale hai. I-Pill ke bare mai to aapne suna hi hoga. Aaj hum aapko I Pill Side Effects in Hindi aur anya garbhnirodhak golio se hone wale dush-prabhav ke bare mai batane wale hai.

Side Effects of Birth Control Pills: Janiye Inke Dush-Prabhav

Unchahe garbh se bachne ke liye tatha pariwar niyojan ke liye garbhnirodhak golia sabse aasan tarika hai. Yah choti-choti golia baht kaam ki hai, lekin inhe bina doctor ke paramarsh ke nahi lena chahiye kyoki inke adhik istemal se kuch-na-kuch nakaratmak prabhav sharir par jarur padte hai. Aaj hum aapko Side Effects of Birth Control Pills ke bare mai vistar se batane ja rahe hai.

You may also like:- Natural Birth Control Benefits: Prakritik Nirodhak ke Fayde

I Pill Side Effects in Hindi

Waise to bajar mai kai prakar ki garbhnirodhak golia (Contraceptive Pill) mojud hai. Lekin sabse jyada istemal ki jane wali dawa hai I-Pill, kyoki ise savdhani baratne ke baad agar aapko andesha hai ki aap garbhvati ho sakti hai to agle 72 ghanto ke doran ise kabhi bhi liya ja sakta hai ya ton sambandh banae ke baad agar aap maa nahi banana chahti hai tab bhi aap ise istemal kar sakte hai. Aise mai aapko dush-prabhavo ke bare mai janana bhi bahut jaruri hai. To chaliye baat karte hai I pill Side Effects in Hindi ke bare mai-

Asal mai aise kaam karti hai ki yah samay par andkosh se ande nikalne ko rok sakti hai aur aisa mahool tyyar kar deti hai. Jisse andkosh nali mai shukranu ke gaman ko mushkil kar deti hai. Jis wajah se ande aur shukranu ka milan hi nahi ho pata hai. Jiski wajah se garbhdharan ki sambhavna khatm ho jati hai.

Bahut se logo ko yah galat-fehmi hai yah garbhpaat ke liye jabki aisa bilkul nahi hai. Yah keval garbhdharan karne se rokti hai. Lekin agar garbh thahar gaya hai to use badhit nahi karti hai aur na hi thahre huye garbh ko yah nuksaan pahuchati hai. Isliye doctor bhi ise sex ke 72 ghante ke bhitar lene ki salah dete hai.

Kabhi-kabhi I-Pill ke istemal se ulti aana, chakkar aana, sar dard, thakan, stano mai bharipan ya halke dard ki shikayat ho sakti hai. Parantu yah isliye hota hai kyoki isme hormones ki matra anya golio ke mukable adhik hoti hai, jis wajah se yah jaldi asar karti hai. Isliye ise khane ke baad hone wale badlawo se sharir sahaj nahi ho pata hai.

Iss wajah se kuch samanya samasyaye ho jati hai. Jo 1-2 din mai thik bhi ho jati hai. Iska jarurat se adhik sevan aapko pareshani mai daal sakta hai kyoki yah niyamit lene wali dawa nahi hai. Isliye garbhnirodhak golio ke alawa anya upayo jaise condom ka istemal aadi ka bhi istemal karna chahiye.

Garbhnirodhak Golio Ke Nuksaan

Ek addhyan mai yah dawa kiya gaya hai garbhnirodhak golio ke adhik ya niyamit upyog se anek side effects ho sakte hai. Aaiye jante hai inse mahilao mai hone wale nuksaan-

Stan aur Garbhashay Ka Cancer

Australian Rashtriya Vishv Vidhyalay, ANU ki haal hi mai aayi ek vigyapti mai kaha gaya hai, garbhnirodhak golia lene wali mahilao ko stan cancer ka asthai khatra hota hai. Iske alawa injection ke jariye liye jane wale, hormone aadharit garbh nirodhak bhi usi tarah cancer ka khatra badate hai, jaisa khatra garbh nirodhak golio se hota hai.

Iss shodh ke anusar, kabhi garbhnirodh golio ka upyog na karne wali mahilao ki tulna mai injection ya garbhnirodhak golio ko lene wali mahilao ko stan cancer ka khatra hone ki sambhavna 1.7 guna adhik aur garbhashay cancer ki aashanka 1.4 guna adhik hoti hai.

Vajan Badna

Aksar aapne mahilao ko shadi ke baad mote hote huye dekha hoga. Mahilao mai inn golio ke sevan se vajan badne ki samasya ho jati hai. Garbhnirodhak golio mai mojud progesterone aur estrogen hormones ke side effects se sharir mai pani ki matra bad jati hai, jisse strio ka vajan badne lagta hai.

Sir Dard aur Chakkar Aana

Jab aap garbhnirodhak golia lena shuru karte hai to aise mai sharir mai hormones ki sankhya bad jati hai. Jis wajah se kuch badlab sharir sahan nahi kar pata hai aur sar dard, chakkar ya ulti jaisi samanya pareshani hone lagti hai. Jo kuch dino mai apne-aap thik bhi ho jati hai.

Nind Se Pareshan

Garbhnirodhak golio ke lagatar sevan se adhin nind aane ya nind na aane ki pareshani ho jati hai. Khaskar estrogen wali garbhnirodhak golio ke istemal se yar samasya adhik hoti hai.

 You may also like:- Sleeping Pills Side Effects, Neend ki Dawa ke Nuksaan

Sharirik Kamjori aur Ji Machlana

Birth Control Pills ke sevan se kabhi-kabhi ji machalna ya mood mai badlav jaisi pareshaniya ho jati hai. In garbhnirodhak golio ke sevan se sharirik kamjori bhi mehsus hoti hai. Kai baar mahilaye majburi mai iss prakar ki dawao ka istemal karti hai jis wajah se wo mansik tanav ka shikar bhi ho jati hai.

Khoon Ka Thakka Jamna

Kuch saal pahle Switzerland mai ek mahila ki asamay marityu ne garbhnirodhak goli ke iss khatre ko phir ujagar kiya hai. Uss mahila ki mrityu fefde mai emboli yani khoon ka thakka fas jane se huyi thi. Addhyan ke baad yah kaha gaya ki garbhnirodhak goli ke sevan se hi yah thakka bana tha. Jo mahilaye garbhnirodhak golia leti hai unke sharir mai khoon ka thakak jamne ka khatra anya mahilao ke mukable adhik hota hai. Agar aisa koi thakka fefdo mai jam jata hai, to yah aksar janleva ho sakta hai.

Kamecha Mai Kami Aati Hai

Bahut si mahilao mai yeh pareshani dekhi gayi hai ki yadi ve niyamit ya adhik garbhnirodhak golio ka upyog karti hai to unme sex ke prati aruchi paida hone lagti hai. Agar aap bhi kuch aisi paristhiti se gujar rahi hai to anya brand ki dawa ka prayog kare ya doctor se paramarsh lekar hi inn dawao ka upyog kare.

Masik Dharm Mai Aniyamitta

Garbhnirodhak golio ke sevan se kai baar masik dharm aana band ho jate hai, jisse mahilaye ghabra jati hai lekin aise mai kisi bhi prakar ka tanav lene ke bajar inn dawao ka sevan rok de aur doctor se paramarsha leve.

Yaddasht Kamjor Hoti Hai

Garbh se bachne ke liye dawa lene wali mahilao ko yaddasht ki samasya ka samna karna padta hai. Ek addhyan mai iska khulasa kiya gaya hai. California shodh kartao ne apni shodh mai bataya hai ki hormones sambandhi garbhnirodhak golia yaddasht par bura asar dalti hai.

Aaj humne aapko I Pill Side Effects in Hindi aur anya garbhnirodhak golio se hone wale sharirik nuksaan ke bare mai vistar se batlaya hai. Ab yah aap par nirbhar karta hai ki ab aap kya karna chahte hai. Aap garbhnirodhak golio ka istemal karte bhi hai to pahle doctor se paramarsh le, unse samayavdhi ke bare mai jane ki kistne din ya maah ke antar mai aap iska upyog kar sakte hai tatha sampurn jankari lene ke baad hi inhe istemal kare, kyoki aapki jara si galti aapko kai badi pareshaniyo mai bhi dal sakti hai.

Iske alawa ek baat yah bhi dhyan rakhe ki garbhnirodhak golio ke alawa jo anya tarike hai unka bhi upyog kare jaise condom ka istemal kare. Yah sabse accha tarika hai garbhdhara rokne ka aur isse kisi bhi prakar ka nuksaan bhi nahi hoga. Isliye apne swasth aur sharir ko dhyan mai rakhte huye kadam uthaye.

Loading...

This website uses cookies.