Sleeping Pills Side Effects, Neend ki Dawa ke Nuksaan

Vese aaj kal log kai mansik bimariyo se ghire rahte hai. Jiske chalte neend na aane ki pareshani har kisi vyakti ko hoti rahti hai. Tab aise samay mai har insaan ko neend ki goliyo ka sahar lena padhta hai, taki vo aaram se so sake.

Lekin kya aap jante hai ki, yeh goliya aapko neend lane mai to sahayk hoti hai. Par dheere-dheere yeh aapke upar bahut bura asar dalti hai. Par log iss baat se anjaan rahte hai. To chaliye aaj iss article mai hum aapako batate hai, Sleeping Pills Side Effects.

Din bhar ki thakan ke baujud  bistar par neend na aaye to neend ki goliyo ka sahara lena padta hai. Par yahi nahi neend ki goliya hame dheere-dheere mout ki aur le jati hai. Jiska andaja  hum khud hi laga sakte hai. Vese dekha gay hai ki, pichle 5 saalo se neend ki goliyo ki bikri  dugni ho gai hai.

Agar aapko bhi meethi aur sukun bhari neend ke liye sleeping pills lene ki aadat hai, to jara sambhal jaye. Yeh goliya jayad samay tak aur high dose lene par janleva ho sakti hai.

Neend ki goliya ka sevan cigarettes ki tarah hi khatarnak ho sakta hai. Inn goliyo se blood pressure, heart attack, sar dard, cancer aur yaha tak ki mout ka bhi khatara rahta hai. Saath hi bahut se mansik bimariya bhi ho sakti hai.

Side Effects of Sleeping Pills

Sleeping Pills Side Effects, Neend ki Dawa se Hone Vala Bura Prabhav

Weak Memory

Sleeping Pills Side Effects ki baat kare to iska sabse badha nuksaan hai ki, iske sevan se aapki memory kamjor ho jati hai. Lambe samay tak neend ki goliya lene ke karan rakt nalikao mai thaakan ban jati hai. Jisse becheni ki shikayat aam ho jati hai. Neend ki goliyo ka sevan karne se pahle doctor ki salah jarur le.

Garbhavastha mai Shishu Par Bura Aasar

Agar neend ki goliya garbhavastha mai li jaye , to garbha mai shishu par bura aasar padta hai. Saath hi vah bahut si bimariyo ka shikar bhi ho jata hai. Isliye dhyan rahe, jo mahilaye maa banana vali hai, unhe iska sevan nahi karna chahiye. Aise mai accha hoga ki aap dawa ka sevan na karke Tips for good sleep ko apnaiye.

Coma ya Mout ka Khatra

Yadi aap roz ek goli lene ke bajaye use adhik goliyo ka sevan karte hai,to aapke liye khatre ki ghanti baj jati hai. Vah log jo dama ke shikar hai, unhe iska khas khayal rakhan chahiye.

Cancer

Ek study ke mutabik yeh baat samne aai hai ki, jo lig rozana iss goli par nibhar rahte hai, unhe cancer ka bhi khatar hota hai. Inn goliyo mai aise tatva paye jate hai, jinka rozana sevan nahi karna chahiye. Jo aage chal kar ek badi bimari ka karan ban sakta hai.

You may also like:- Janiye Cancer Causing Foods se Jude Kuch Tathaye

 Nerve Fibers

Neend ki goliya Nerve fibers ko major kar deti hai. Isliye agar lambe samay tak inka sevan kiya jaye, to nerve fibers sambhandhit bimariya ka khatar badh jata hai. Iske alawa inme jo tatva hote hai, unke kharab side effect hota hai.

Sleeping Pills Ke Sevan se Aap  Ghir Sakte Hai Kai Bimariyo se

Sleeping Pills Side Effects

Blood Pressure

Inn goliyo mai aise tatva paye jate hai. Jo aapko blood ke flow ko tez kar dete hai. Saath hi agar aap iska rozana sevan karenge to, ek din aisa aayega jab aap high blood pressure ke shikar ho jayenge.

Heart Attract ka Khatra

Sleeping Pills Side Effects mai iska sabse badha khatar heart attract hai . Doctor ke mutabik neend ki adhik goliya ka sevan karne se heart attract ka khatra 50 guna adhik badh jata hai. Science ne neend ki dawao mai moujud tatva  Zolpidem ko dil ki bimariya ki vajah bataya hai.

Depression

Depression Jese kai mansik rogo hone ka khatra inn goliyo ke dwara ho sakta hai. Isliye dhyan rahe ki, rozana in dawa ke sevan se hamesha ke liye dur rahiye.

You may also like:- Home Remedies for Depression: Tanav se Paaye Chutkara

Kuch neend  ki dawa ke naam iss prakaar hai jese Ambien, Lunesta, Sonata, Rozerem, Ativan, Halcion, Restoril, Valium, Xanax, Adapin, Aventyl, Elavil, Pamelor, Sinequan, Trazodone. Vese dawa ka sevan bina doctor ke pramarsh ke nahi karna chahiye.

Dawaye kharab nahi hoti hai. Yadi aap neend ki dawao ka sevan bina doctor ke salah ya fir iska sevan jarurat se jyada kroge. To aapko nishchit roop se nuksaan hoga.  Isliye inn dawa ko sevan karne se pahle ek baar jarur soch lijiye.

Upar aapne jane Sleeping Pills Side Effects. Yadi aap bhi inn dawao ka sevan karte hai, to aaj se band kar dijiye aur natural tarike se sone ki koshish karke hamesha ke liye swasth rahiye.

Loading...

You may also like...