Pregnancy in Hindi – जानिए गर्भावस्था के 9 महीने की सम्पूर्ण जानकारी माह के अनुसार

Pregnancy Month by Month in Hindi – Maa banna har mahila ka sapna hota hai. Maatritv prapt karna nari ke liye sarvottam uplabdhi hoti hai. Yadi aap bhi nayi mummy banne wali hai to iss samay har koi aapka khayal rakhega lekin uske sath jaruri hai ki aap bhi aapka khayal rakhe. Kyuki aese samay mai bacche aur khud ki dekhbhal karna bahut aavshyak hai isliye follow kare pregnancy in Hindi by hrelate.com.

Maa banna jitna khusi ka mouka hai utni hi jimmedariya bhi sath lekar aata hai. Isliye hi 9 mahine tak garbh ki dekhbhal karni hoti hai. Jise 9 mahine chikitsa kehte hai.

Yadi aap garbhavastha ke dino mai aapka aur hone wale bacche ka aache se khayal nahi rakhte hai, laparvahi barartte hai to yeh aap dono ke liye hanikark sabhit ho sakta hai. Isliye yadi aao chahti hai ki aapka baccha swasth ho to apna khayal rakhe aur iske liye poshan yukt aahar le. Mahila ka aahar aesa hona chahiye ki jo grabhasth shishu ke poshan ko pura kar sake.

1st to 9th-month pregnancy tips – Do’s and Don’ts. Jaan important baate jo aap ko pregnancy ke doran madat karegi aur jisse aap aur aapke pet mai jo baby hai uski health acchi rahegi…

Jaisa ki ham jante hai jaise jaise grabhavati mahila ke garbhavastha ke din badte jate hai unme kai tarah ke parivaratan dekhne ko milte hai. Isliye har mahine ke anusar alag alag savdhaniya aur hidayat grabhavati mahila ko bartna chahiye. Jisse ki baccha hasht pusht paida ho. Aaiye aaj ke lekh mai jante hai Pregnancy Month by Month in Hindi.

Pregnancy Month by Month: 1 se 9 Mahine Ki Salah

Garbhavati Mahila Ka Pratham Mahina (1 Month Pregnancy in Hindi)

Garbhavati mahila ke liye pehla mahina bahut ki khas hota hai. Isliye isme khas savdhani ki bhi jarurat hoti hai. Iss month mai aapko aapke aahar ka pura dhyan rakhna chahiye aapke aahar mai protein, calcium aur iron ki adhik matra shamil karna chahiye.

  • Bacche ke badne mai maa ka khun ka sabse bada yogdan hota hai. Isliye aapke aahar mai iron ki matra acchi hona chahiye. Isliye jyada se jyada palak ka sevan kare.
  • Ande ka sevan kare kyoki isme sabse adhik poshak tatva paye jate hai. Isse aap pure 9 mahine tak kha sakte hai.

Kya Na Kare

  1. Kisi bhi tarah ke vajan ko uthane se bache.
  2. Papita ka sevan na kare isse garbhpaat ho sakta hai.
  3. Yadi pani pite pite ulti aa jaye to ghabraye nahi. Pani pina band naa karde. Matli aana symptoms of pregnancy mai se ek hai.

Garbhavati Mahila Ka Dusra Mahina (2 Month Pregnancy in Hindi)

  • Iss avstha mai bacche ke hriday ka vikas hota hai isliye isme adhik savdhani ki aavshyakta hoti hai.
  • Dusre mahine mai bhrun ke ango ka vikas hota hai. Isliye calcium aur protein se bharpur aahar ka sevan karna chahiye.
  • Ultra sound ke madhyam se bacche ke sar tatha pair ki stithi ka pata lagaya ja sakta hai.
  • Chehre ka aakar banne lagta hai.
  • Iss samay kaha jata hai ki garbhavati mahila jiske bare mai sabse jyada sochti hai baccha wesa hi aakar leta hai. Isliye acchi kitabe, sangeet aur bhojan ko apni dincharya mai shamil karna chahiye.

Kya Na Kare

  1. Yadi aap dhumrapaan karte hai to usse chodne ka samay aa gaya hai.
  2. Caffeine padhartho ka sevan na kare.

Garbhavati Mahila Ka Tisra Mahina (3 Month Pregnancy in Hindi)

  • Iss mahine mai bacche ki haddiya, kaan aur bahari aango ka vikas hota hai. Yahi wo samay hai jab bacche ke sar ka bhag sabse bada hota hai.
  • Iss month mai baccha 3 inch tak ka ho jata hai. Jisse garbh tharne ke lakshan najar aane lagte hai.
  • Bacche ki aankh, hath, ungliya, pair iss mahine mai viksit hone lag jati hai. Aur yadi garbhashya mai dekha jaye to jannag bante huye dekhe ja sate hai.

Kya Nahi Kare

Garbhavastha ke tisre mahine mai tanav sabse jyada rehta hai. Jisse sharir mai kai dikkate aati hai kyoki pet ka nichla hissa bacche ke movement ke anusaar banata hai. Iss mahine mai garbhavati mahila kaam karne se bache. Aur garbhavastha mai acchi dekhbhal kare.

Garbhavati Mahila Ka Choutha Mahina (4 Month Pregnancy in Hindi)

  • Garbhavashta ke iss mahine mai bacche ke hormones ka nirmaan  hota hai aur baache se amniotic liquid nikalta hai.
  • Iss douran baache ki lambai aur vajan mai vradhhi hoti hai. Tatha sar par bhi baal aane lagte hai.
  • Isme maa ka pet bada dikhai dene lagta hai. Jisse aapke garbhashay mai parivartan dikhai dene lagta hai.

Kya Na Kare

Jyada tang kapde jaise jeans wagerah na pehne, halke aur dhile kapde pehne. Kyuki iss samay manspeshiya failna shuru ho jati hai.

You may also like:- Pregnancy Myths in Hindi: Garbhavastha Se Judi Galatfehmiya

Garbhavati Mahila Ka Pachva Mahina (5 Month Pregnancy in Hindi)

  • Isme bacche ke naye ang nahi bante hai balki hatho tatha pairo ki ungliyo ka vikas hota hai.
  • Baccha kuch samay gatisheel aur kuch samay shaant rehta hai.
  • Uski twacha par jhurriya aur rang lal ho jata hai. Tatha twacha mai vasa ki matra jyada ho jati hai.

Kya Na Kare

  1. Pehle ki tulna mai aapko bhukh jyada lagegi to junk food ka sevan karne se bache.
  2. Sharab, coffee jaise hanikark pey padhartho ka sevan na kare isse bacche ko nuksaan pahuchta hai.

Garbhavati mahila ka Chhathvan Mahina (6 Month Pregnancy in Hindi)

  • Iss wakt bacche ke sharir mai brown vasa banna shuru ho jati hai. Jisse bacche ke sharir ka taap niyantrit rehta hai.
  • Aankho ka vikas puri tarah ho jata hai. aur palke khuli aur band ho sakti hai.
  • Bacche ka rona, lat marna aur hichki le sakta hai.
  • Chhate mahine mai aapko heartburn ho sakta hai isliye aese samay mai aapko ek sath jyada na kha kar thoda thoda khana chahiye.
  • Kuch bacche chhathe mahine mai ho jate hai jinhe premature baby kaha jata hai. Isliye 6 Months Pregnant ko apna acche se khayal rakhna chahiye.

Kya Na Kare

Apne man se yoga naa kare. Yadi yoga karna chahti hai to chikitsak aur yog shikshak ki salah le.

Garbhavati Mahila Ka Satva Mahina (7 Month Pregnancy in Hindi)

  • Garbhavastha ke iss douran aapke pet ka vikas jaldi jaldi hota hai. tatha pet ke aakar mai bhi parivatan hota hai.
  • Shishu pet mai anghuthe ko chhusta hai.
  • Iss mahine mai aap bacche ke dwara di gai laat ko bhi mehsus kar sakte hai. aur grabhvati ke pet par kaan rakhne se bacche ki dhadkane bhi sunai deti hai.

Kya Na Kare

  1. Garbhvaastha ke samay bhulkar bhi high heal na pehne isse aapko kamar dard hoga aur aap gir bhi sakti hai jisse aapke bacche ko chout bhi lag sakti hai.
  2. Scuba, footbaal, basketball, water skiing jaise khel ko na khele

You may also like:- Pregnancy Phobia Par Kabu Pane ke Tarike

Garbhavati Mahila Ka Aathva Mahina (8 Month Pregnancy in Hindi)

  • Baccha aankho ko puri tarah khol leta hai. Sath hi jagne sone ki aadat bhi usme pad jati hai.
  • Bacche ka vajan 2 se 3 kg tak hota hai. aur uski lambai 41cm se 45 cm ki hoti hai.
  • Garbhavati maa bacche ki halchal ko aasani se mehsus kar sakti hai.
  • Iss samay aapko thakan tatha rat mai acche se nind nahi aati hai. kyuki karvate badal badal kar nind khrab ho jati hai.
  •  Aap pehle ki tulna mai aur jyada ashaj mehsus karte hai. Isse chhutkara pane ke liye yoga ka sahara le sakte hai.

Kya Na Kare

  1. Aapko jyada der tak khade nahi rehna chahiye kyuki baccha aapke pet mai rehta hai jisse aapke pet par jor padta hai. Ho sakta hai aapki kamar bhi dhukhne lag sakti hai.
  2. Apne sharir ki sune jaise yadi aapko bhukh lagi hai to khana khaye thakan ho rahi hai to aaram kare.

Garbhavati Mahika Ka Nova Mahina (9 Month Pregnancy in Hindi)

  • Yahi wo wakt hai jiska aap itne samay se intzaar kar rahi thi. Iss mahine aap thodi dari hui hai but bahut jyada khush rehti hai kyuki aapke bacche ka bhahar aane ka yane delivery ka samay rehta hai.
  • Bacche ki aankhe kabutar rang ki hoti hai jo uske paida hone ke bad badal jati hai.
  • Bacche ka sar niche aur pair upar ki taraf hote hai. Tatha baccha shant rehta hai.
  • Aapke stan stanpan ke liye taiyar ho jate hai aur inme se risav hone lagta hai. Sath hi Pet kaafi bahar nikal aata hai.

Kya Na Kare

  • Garam pani se steam bath na le kyuki isse sharir ke bhari aur andar ke tapman mai parivartan aa jata hai. Jo ki maa aur bacche dono ke liye accha nahi hai.
  • Satve, aathve, aur nove mahine mai bhari vajan bilkul na uthaye. Shuruvaati dino se hi baat ka dhyan rakhe.

Upar aapne jana ki pehle mahine se lekar nove mahine tak kya karna chahiye aur kya nahi. Aakhri mahine bahut hi satark rahne wala hota hai

Isliye aapko kuch baato ki jankari hona aavshyak hai, aaiye jane wo kya hai:-

  1. Yadi aapka halka halka dard, tej dard mai badal jaye to bina der kiye chikitsak se sampark kare.
  2. Yadi aapko yoni se drvya nikalte huye dikh raha hai to bhi chikitsak se contact jarur kare.
  3. Aapko chikitsak ne jo bhi date di hai, us din chikitsak ke paas jarur jaye chahe aapko us din dard ho ya na ho.
  4. Yadi aapko uccha raktchaap ki samasya hai to bhi aap bina soche samjhe chikitsak se sampark kare.
  5. Jin mahilao ko madhumeh ki samasya hai, to garbhavastha ke douran kisi bhi mahine mai aapke sharir mai sharkara ka star badh jata hai to fouran hi doctor ke paas jaye.
  6. Yadi aap working women hai to maternity leave le le aur office ka sara tension ghar se bahar hi rakhe aur aaram kare, nave mahine mai to garbhavati mahila ko jara sa bhi tension nahi lena chahiye.

Yeh Bhi Janiye Healthy Diet for Pregnant Women


Vitamin A Dudh, Ande, Machli (Santulit Matra mai hi Khaye)
Iron Soy Bean, Sukhe Meve, Kaddhu
Iodine Ande, Dairy Padarth, Namak Ki Thodi Matra
Calcium Dahi, Dudh, Shell Fish
Folate Palak, Matar, Phul Gobhi

Aapne jana Pregnancy Month by Month in Hindi. Yadi aap bhi nayi maa banne wali hai. To upar di gayi baato ko jane samjhe. Kisi bhi tarah ki pareshani ho to turant doctor se sampark kare.

Loading...

This website uses cookies.