Shankhpushpi in Hindi – Swasthya aur Mansik Vradhi Mai Sahayak

Bharat ek aisa desh hai jaha aushdhi yukt vriksho aur ped-poudho ki bharmar hai. Yaha panapne wala har ped kisi na kisi roop se humare liye labhkari sabit hota hai. Phir wo chahe samanya vriksha ho ya koi aushdhiya ped. Mano sabhi manushya jivan ki raksha ke liye bane hai. Yah vriksha choti bimari se lekar bade-bade rogo tak se mukti dilane mai humari sahayata karte hai.

Iss tarah ayurved aushdhiya ped-poudho ki madad se rogo se ladne ke liye kai prakar ke upchar tyyar karte hai. Jo humare liye faydemand sabit hote hai. Ayurved mai kaha jata hai ki iss dharti par payi jane wali har jad, har patta, har ped ki chaal ka koi na koi aushdhiya gun avashya hota hai. Humne keval kuch hi ka upyog kiya hai.

Aaj hum aapko aise hi ek aushdhiya vriksh ke bare mai batane wale hai. Jiska istemal ayurvedik dawao mai bahut kiya jata hai. Iss poudhe ka naam hai Shankhpushpi Plant. Ayurved ki najar mai yah smaran-shakti ko badakar mansik rogo aur mansik durbalta ko nasht karta hai. Aaiye jante hai Shankhpushpi Benefits in Hindi.

 

Shankhpushpi in Hindi: Janiye Iske Aushdhiya Gun

 

 

Samanya Parichay

Shankhpushpi ek baramasi shakiya poudha hai, jo pure bharat mai aasani se dekha ja sakta hai. Prachin kaal se hi aushdhiya guno ke karan iska prayog kiya ja raha hai. Iski jad ko acchi tarah se dhokar, patte, dhanthal aur phul inn sabhi ko acchi tarah barik piskar, ise pani aur mishri mai milakar pine se dimag mai tajgi aur sfurti bani rahti hai.

Iska poudah lagbhag 1 foot ucha, pattiya 1-4 cm lambi aur 3 shairao wali hoti hai. Iske patto ko masalne par muli ke patto jaisi khushbu aati hai. Iski shakhaye patli aur safed hoti hai. Shankhpushpi ki 3 prajatiya lal, safed aur nile rang ke phulo wali hoti hai, lekin safed phul wali shankhpushpi ki aushdi prayog mai uttam mani jati hai. Isme kaner ke phulo se milti-julti khushbu wale 1-2 safed ya halke gulabi rang ke lagte hai. Iske phal chote, gol, chikne, chamakdar aur bhure rang ke hote hai. Jisme bhure ya kale rang ke beej nikalte hai. Iski jad ungli ki tarah moti, chodi aur lagbhag 1 inch lambi hoti hai. Iske phulo ka aakar shankh ke saman hota hai, isliye hi ise shankhpushpi kaha jata hai aur samanya bolchal ki bhasha mai ise shankhahuli bhi kahte hai.

 

You May Also Like:- Chameli in Hindi: Janiye Jasmine Se Milne Wale Anuthe Fayde

 

Vibhinn Bhashao Mai Iske Naam      

Vegyanik Name – Convolvulus pluricaulis

Sanskrit – Shirpushpi, Kusuma, Shankhpushpi

Hindi – Shankhahuli

Marathi – Shankhavadi

Bangali – Dakuni, Shankhahuli

Gujrati – Shankhavali

Kannad – Shankhpushpi

Latin – Pledera Dekuseta

 

Rasayanik Sangathan

Shankhpushpi se ek sphatik alkalide nikala gaya hai. Jise shankhpushpin naam diya gaya hai. Yahi iss poudhe ka sakriya sanghatak hai. Iss aushdi se ek essential oil bhi nikala gaya hai. Panchang ke kisi vishesh bhaag mai nahi balki sabhi aushdhi mai yah sakriya sanghatak saman roop se vitrit paya jata hai. Isi wajah se shankhapushpi ka panchang hi prayukt hota hai.

 

Shankhpushpi Ke Gun

Desi jadi-butiyo mai shankhpushpi ek atyant gunkari tatha vishesh roop se mashtishk ko bal aur mansik rogo se rahat dilane wali vanaspati hai. Ayurvedik grantho mai iski bahut prashansa ki gayi hai.

Shankhpushpi tikhe ras wali, chikni, mithi, swabhav mai thandi, vaat, pitt aur cough ka nash karne wali hai. Yah chehre ki chamak, budhi, shaktivardhak, yaaddasht badane wali, tatha mashtishk ke dosh ko khatm karne wali hoti hai. Yah nind ki kami, pagalpan, mirgi aur pat ke kide ko khatm karti hai. Shankhpushpi kusht rog, mansik rog, shukrmeh, high blood pressure, bistar par peshab karne ki aadat mai gunkari hai.

Yunani chikitsa padhati mai bhi iska ras bahut upyog hota hai. Yah nadiyo ko takat dene, mashtishk ko kriyashil banane, pagalpan, mirgi, shanka aur nind dur karne ke liye ek acchi aushdhi hai.

 

Shankhpushpi Benefits in Hindi: Jane Iske Swasthya Labh

 

 

Smaran Shakti Badane Mai

Shankhpushpi ka panchang ko milakar 200gm matra mai churn bana le aur itni hi matra mai mishri aur 30 gm kali mirch ka churn milakar piss le. Ab iss mishran ki 1 chammach ko niyamit roop se 1 cup doodh ke sath  subah-shaam lene se smaran shakti arthat dimagi takat badti hai.

Iske alawa agar aap dimagi kamjori se pareshan hai to aap iska barik pisa hua churn 1 chammach subah-shaam mithe dudh ya mishri ki chashni ke sath sevan karne se iss rog se chutkara milta hai.

 

You May Also Like:- Thyroid Nodules Symptoms in Hindi: Janiye Iske Lakshan

 

Thyroid Granthi Ke Dushprabhav Mai

Anek vegyaniko ne apne prarambhik addahyano mai paya hai ki shankhpushpi ke sakriya rasayan sidhe thyroid granthi ko koshikao ko prabhavit kar uske strav ko punah niyaman karte hai. Shankhpushpi ke panchang yani jad, tana, phal, phul patte ko saman matra mai milakar churn banakar barabar matra mai mishri ke sath milakar, niyamit 1 chammach subah-shaam sevan karne se dhadkan badne, kampan, ghabrahat, anidra aadi mai labh milta hai.

 

Mirgi Mai Labhkari

 Shankhpushpi ki taja jad, tana, phal, phul patte ko milakar inka ras nikal le aur iss ras ka sevan 4 chammach shahad ke sath subah-shaam karne se mirgi ke rog mai bahut fayda milta hai.

 

Hysteria Rog

100 shankhpushpi mai, 50 gm ki matra mai vach aur brahmi ko milakar barik pis lena hai. Iss mishran ki nitamit 1 chammach shahd ke sath dim mai 3 baar kuch hafto tak lene se hysteria rog mai aaram milta hai.

 

Bistar Mai Peshab Karna

Bistar mai peshab karne ki samasya adhiktar chote baccho ke alawa kai baar bade baccho mai bhi najar aati hai. Iske liye shankhpushpi ka panchang yani jad, phal, phul tana aur patti ko milakar churn bana le aur iss mishram ko aadha chammach shahad ke sath milakar aadhe cup dudh ke sath subah-shaam niyamit lene se 6 se 8 saptah tak baccho ko pilane se baccho ki yah samasya bilkul thik ho jati hai.

 

Shukrameh Mai

Kali mirch ki aadha chammach matra lekar ise shankhpushpi ke panchang ka 1 chammach churn milakar niyamit subah-shaam dudh ke sath lene se kuch saptah ke sevan se hi shukrameh rog thik hone lagta hai.

 

Ucch-Raktchap

 Shankhpushpi ki jad, tana, phal, phul aur patti ko milakar panchang bana le aur inhe milakar kaddha banakar 2-2 chammach ki matra mai niyamit subah-shaam lene se kuch hi dino mai ucch-raktchap mai labh milta hai.

Iske alawa ucch-raktchap anya uttejna ko janm dene wali sthiti mai rokdham ke liye evam upchar ke liye bhi shankhpushpi ka ras din mai 3 baar tatha churn din mai 2 baar dene par baht hi labh milta hai.

 

Tej Bukhar

Adhik bukhar hone par hosh kho baithne par shakti lane tatha nind lane ke liye shankhpushpi ka ras ya iska churn ko mishri sath lene se labh milta hai. Sath hi aap iski thandai bhi prayog ki ja sakti hai. Iske liye aap shankhpushpi ke panchang ka churn banaye aur usme mishri ko milakar pis le. Iss mishran ki 1 chammach matra ko niyamit pani ke sath din mai 2 se 3 baar sevan karne se tej bukhar ke karan bigda mansik santulan thik ho jata hai.

 

Kabj Ke Liye

Niyamit roop se subah-shaam 10 se 20 ml shankhpushpi ke ras ko lene se pat acche se saaf hota hai. Sath hi iski 3 se 5 gm ki matra mai jad ka sevan karne se kabj aur pet ki gas ki samasya se rahat milti hai.

 

Bavasir

Shankhpushpi ke panchak se bana churn 1 chammach niyamit din mai 3 baar pani ke sath kuch din tak sevan karne se bavasik mai hone wale dard se rahat milti hai.

 

Pagalpan

Taja shankhpushpi ke 20 ml panchang ka ras 4 chammacg ki matra mai niyamit roop se sevan karne se pagalpan ki samasya se chutkara milta hai.

 

Anya Upyog

Yah anek prakar se humare sharir ke liye faydemand sabit hota hai. Yah cough, vaat shamak mana jata hai. Bahya upcharo mai charm rogo mai tatha baalo ki vradhi ke liye bhi iska shankhpushpi ka prayog kiya jata hai. Yah khadya padartho ke jariye pet mai gaye vish ko bahar nikalne ke liye bhi prayukt kiya jata hai. Pat mai dard, vayu pradah aadi mai bhi gunkari hai. Chikitsako ke anusar hriday rogo, raktvaman, aadi mai labhkari hai. Khansi mai bhi yah rahat dilate hai. Jin mahilao mai garbhashay ki durbalta ke karan jinhe garbhdharan mai pareshani aarhi hai ya garbh nasht ho jata hai. Iss tarah ki samasyayo mai ise sadiyo se istemal kiya jar aha hai. Yah sabhi shankhpushpi benefits hai. Jo aapke swasthya ka khayal rakhte hai.

Upper aapne jana Shankhpushpi in Hindi, ke bare mai. Yah plant bahut hi labhkari hai humare liye. Iske phal, phul, jad, tana aur patti sabhi kisi na kisi tarah se humare swasthya ke liye faydemand sabit hote hai. Agar aap bhi upper bataye gaye swasthya labh lena chahte hai to ise jarur apnaye.

Loading...

This website uses cookies.